Saturday, 6 December 2014

Mujhe ab fark nahi parta november beet janay ka

Mujhe ab farq nahi parta november beet janay ka
Udasi meri fitrat hai, isay mosam se kya matlab

Na janay kya kashish hai usko madhosh aankhon mein

Najanay kya kashish hai oski madhosh aankhon mein
Nazar andaz jitna karun nazar os par he parti hai

Muhabbat k baad muhabbat mumkin hai

Muhabbat k baad muhabbat mumkin hai
Magar toot k chahna sirf aik baar hota hai

Kisi k muskuranay se koi umeed mat bandho

Kisi k muskuranay se koi umeed mat bandho
K hans kar daikh lene se koi apna nahi hota

Mein tere hath par rach jaoun rangon ki tarah

Mein tere hath par rach jaoon rangon ki tarah
Tu mera naam hathon par kabhi saja kar to daikh

Kaise andaz mein keh diya tune alvida

Kaise andaz mein tune keh diya alvida
Jaisay sadiyon se tere dil par koi boj they hum

Na waqif thay chahat k asoolon se

Na waqif they chahat k asoolon se
Es liye hum barbaad howe
Na kisi ne apna banaya!!!
Aur na kisi k qabil chora

Jo mera hai

Jo mera hai mein kisi aur ko kyun doon
Mein apni muhabbat mein bachon ki tarah hoon

Uski ki awaaz sun loon to

Uski awaaz sun loon to mil jata hai sakoon dil ko
Daikho to sahi mere dard ka elaj kaisa hai

Muhabbat ko koi samjhay

Muhabbat ko koi samjhay to aakhir kis tarah samjhay
Ye zalim inteha tak, ibtida maloom hoti hai

Tum lout k aanay ka takaluf mat karna

Tum lout k aanay ka takaluf mat karna
Hum dobara muhabbat nahi kartay

Youn banna sanwarna kis liye sahib

Youn banna sanwarna kis liye sahib
Dil hamara!!! to youn b aap k naam hai

Ishq ka sabaq parha hai jab se

Ishq ka sabaq parha hai jab se
Apni to raton ki neend he fana ho gayi hai

Meri deewangi ka kya hoga

Meri deewangi ka kya hoga
Tum to aadi ho bhool janay k

Tujhe bhoolne ko aik pal chahye

Tujhe bhoolne ko aik pal chahye
Wo pal k jisay mout kehte hein log