Sunday, 7 December 2014

Hath churaya tha

Tu ne jab hath churaya tha
Wo pal 
Tujhe b yaad to aata hoga?????

Darta hun

Hajoom e yaraan se darta hun
Mujhe tanha he rehne do

Es december mein

Es december mein hum agar tmko
Chor jayein to kya tamasha ho

Buaht khamosh logon se

Buhat khamosh logon se buhat uljha nahi kartay

Ae zindagi

Ay zindagi itni bad salookiyan
Hum kon sa baar baar aayein gein

Palkein neend se bojhal

Palkein neend se bojhal zaroor hein lekin
So gaye hum to tumhein yaad kon karay ga

December ki raat

Chand b tanha raat b tanha aur tanha meri zaat hai
Phir toot k wo yaad aaya ajeeb december ki ye raat hai

Younhi mosam ki ada

Younhi moasam ki ada daikh k yaad aaya hai
Kis qadar jald badal jatay hein insaan

Meri auqaat es qabil to nahi

Meri auqat es qabil to nahi k mein jannat mangun ya RAB
Bus itni si arz hai k mujhe jahanum se bacha lena  (ameen)

Suna tha dard aksar

Suna tha dard aksar bedard log diya kartay hein
Magar hamari zindagi ujari aik masoon chehre ne

Meri dua hai muhabbat mein wo mujhe hasil ho

Meri dua hai muhabbat mien wo mjhe hasil ho
Ose jo khud se nikalun to pass kuch na rahay

Aajata hai tasawar mein milne wo sar e shaam

Aajata hai tasawar mein milne wo sar e sham
Os shakhs ki itni si inayat b buhat hai

pahle likhta hon main

Pahle likhta hon main kaghiz pr masayal apne ..
Or phir sabar k drya me baha dita hun ....

Mujhe khud gharz kehte ho to theik he kehte ho

Mujhe khud gharz kehte ho to thiek kehte ho
K jis ki gharz he tm ho wo khud gharz q na ho

December mien kaha tha na k wapis lout aao gy

December mein kaha tha na k wapis lout aao gy
Abhi tak tum nahi lotay december lout aaya hai