Wednesday, 14 January 2015

Jab gham meri dharkan meri baton se ayyan tha , tu kahan tha

Jab gham meri dharkan meri baaton se ayyan tha , tu kahan tha
Jab charon taraf dard k darya ka sama'n tha , tu kahan tha

Ab aaya hai jab dhal gaye hein sabhi mosam , mere hamdam
Jab tere liye mera har ehsas jawaa'n tha , tu kahan tha

Ab siraf khamoshi hai muqaddar ka sitara , mere yara
Jab lafz pay faqat tera faqat tera biyaan tha , tu kahan tha

Ab aaya hai jab kaam dikha bhi gaya sawan , mere sajan
Jab char soo mere liye khushiyon ka sama'n tha , tu kahan tha



Justice

Yaad hai tum ko............!
Ghar k pichlay lawn mein hum tum
Shab bhar batein kartay hein
Jhagra hota to hum larr kar
Chaand ko munsif kar laitay they
Chaand sada ka paaji hai
Chahay kuch ho
Magar hamesha
Aik he baat kiya karta tha
Teri side liya karta tha

Sulag rahi hein agar batiyan si mujh mein wasi

Sulag rahi hein agar batiyan si mujh mein wasi
Tumhari yaad nay mehka diya , jala b diya

Nostalgia.....

Wo kehti thi..............!
Jayein ja kar shirt utarein
Doosri pehnein
Ye to match nahin karti hai
Jayein ja kar taayi lagayein
Purpal taayi
Shoes to meine raat he polish kar dalay they
Phir ye aap nay kyun pehnay hein
Daikhein socks bhi theik nahin hein
Phir jab mein ye sab kuch kar k chalnay lagta
Os k honton par kiss karta
aur ose bahon mein bharta
Masnooyi ghabrahat orh k sargoshi mein mujh se kehti
Tehrein tehrein
Hoon .....hmm.....Ye khushboo
Thora sa perfume to kar lein
Maana aap buhat saada hein
Lekin jaana!
Office janay se pehlay to
Apnay baal banaya kijiye
aur ab
Meli shirt aur udhra kaaj
Mailay kaalur button khulay hein
Taayi nahin hai shev barhi hai
Baal uljhay hein
Ankhein neend se bojhal hein aur
Jooton par bhi gard jami hai
Es huliye mein ghar se nikla to yaad aaya
Wo kehti thi.......!


Baandh lein hath pay , seene pay saja lein tum ko

Baandh lein hath pay , seenay pay saja lein tum ko
Jee mein aata hai k taweez bana lein tum ko

Phir tumhein roz sanwarein tumhein barhta dekhein
Kyun na aangan mein chanbeli saa laga lein tum ko

Jaisay badlon mein koyi phool chuna karta hai
Ghar k guldaan mein phoolon sa saja lein tum ko

Kya ajab khuwaish uthti hein hamaray dil mein
Kar k mana sa hawao'n mein uchalein tum ko

Es qadar toot k tum pay hamein pyaar aata hai
Apni bahon mein bharein maar he dalein tum ko

Kabhi khuwabon ki tarah aankh k parday mein raho
Kabhi khuwaish ki tarah dil mein bula lein tumko

Hai tumharay liye kuch aisi aqeedat dil mein
Apnay hathon mein duaao'n sa utha lein tum ko

Jaan dainay ki ijaazat bhi nahin daitay ho
Warna mar jayein abhi mar k manaa lein tum koo

Jis tarah raat k seenay mein hai mehtaab ka noor
Apnay tareek makano mein saja lein tum ko

Ab to bas aik he khuwaish hai kisi morr par tum
Hum ko bikhray howe mil jao sanhbalein tumko


Tere Firaq K Lamhay Shumar Kartay Hue

Tere firaq k lamhay shumar kartay howe
Bikhar chalay hein tera intizaar karay howe

To mein b khush hun koyi os se ja k keh daina
Agar wo khush hai mujhe bay qarar kartay howe

Tumhein khabar he nahin hai k koyi toot gaya 
Muhabbaton ko buhat paayedar kartay howe

Mein muskurata hun aainay mein ubhrun ga
Wo ro paray gi achanak singhaar kartay howe

Mujhe khabar thi k ab lout kar na aaoun ga
So tujh ko yaad kiya dil pay waar kartay howe

Wo keh rahi thi samandar nahin hein aankhein hein
Mein un mein doob gaya aitebaar kartay howe

Bhanwar jo mujh mein paray hein wo mein he janta hun
Tumharay hijar k darya ko paar kartay howe


Os ki aankhon mein muhabbat ka sitara hoga

Os ki aankhon mein muhabbat ka sitara hoga
Aik din aaye ga wo shakhs hamara hoga

Tum jahan mere liye seepiyan chunti hogi
Wo kisi aur he duniya ka kinara hoga

Zindagi ab k mera naam na shamil karna
Gar ye teh hai k yahi khel dobara hoga

Jis k honay se meri sans chala karti thi
Kis tarah os k bagher apna guzara hoga

Ye achanak jo ujaala sa hua jata hai
Dil nay chupkay se tera naam pukara hoga

Ishq karna hai to din raat ose sochna hai
Aur kuch zehan mein aaya to khasara hoga

Ye jo paani mein chala aaya sunehri sa gharur
Os nay darya mein kahin paaon utara hoga

Kon rota hai yahan raat k sanaton mein
Mere jaisa he koyi hijar ka maara hoga

Mujh ko maloom hai junhe mein qadam rakhun ga
Zindagi tera koyi aur kinara hoga

Jo meri rooh mein badal se garajtay hein wasi
Os nay seene mein koyi dard utaara hoga

Kaam mushkil hai magar jeet he lun ga os ko
Mere mola ka wasi junhe ishaara hoga






Too Late.....

Aadhi raat k sanatay mein
Kis nay phone kiya hai mujh ko?
Janay kis ka phone aaya hai
Phone utha kar yun lagta hai
Os janib koyi gum sum , gum sum ukhra ukhra
Dheere dheere kaanp raha hai
Mehki hui ik khamoshi hai
Ghup khamoshi
Lekin es khamoshi mien b goonj raha hai
Thandi sansein , barish , aansu
Khamoshi se thak kar os ne saans liya to
Choori khanki......
Uff ye khan khan......
Ik lamhay mein saray badan mein phel gayi hai
Tere elawa koyi nahin hai
Lekin itnay barson baad......

Mujhe sundal kar do

Apnay ehsas se chu kar mujhe sundal kar do
Mein k sadiyon se adhura hun mukammal kar do

Na tumhein hosh rahay aur na mujhe hosh rahay
Es qadar toot k chaho , mujhe pagal kar do

Tum hatheli ko mere pyar ki mehandi se rango
Apni aankhon mein mere naam ka kajal kar do

Es k saaye mein mere khuwab dehak uthein gein
Mere chehray pay chamakta hua anchal kar do

Dhoop he dhoop hun mein toot k barso mujh par
Es qadar barso meri rooh mein jal thal kar do

Jaisay sehraon mein har shaam hawa chalti hai
Es tarah mujh mein chalo aur mujhe thal kar do

Tum chupa lo mera dil oat mein apnay dil ki
Aur mujhe meri nigahon se b ojhal kar do

Masla hun to nigahein na churao mujh se
Apni chahat se tawajjo se mujhe hal kar do

Apnay gham se kaho har waqt mere sath rahay
Aik ehsaan karo es ko musalsal kar do

Mujh pay cha jao kisi aag ki soorat janaa!
Aur meri zaat ko sookha hua jangal kar do!!



Tuesday, 13 January 2015

Jab bhi utro gay tum paharon se

Jab bhi utro gay tum paharon se
neechay behtay biyaas k kunday
aik pathar milay ga paani mein
jee karay to utha k rakh laina
toot kar ye mien gira tha choti se!!!

Raat paharon par kuch aur he hoti hai

Raat paharon par kuch aur he hoti hai!
aasman bujhta he nahi
aur darya roshan rehta hai
itna zarri ka kaam nazar aata hai falak pay taaron ka
jaisay raat mein "plane" se... Roshan shehar dikhayi daitay hein!



paas he darya aankh pay kaali patti baandh k
pairron k jhurmat mein...
kora jamal shahi , "aayi jumeraat aayi... peechey daikhay shamat aayi"


kanghi rakh k danton mein
awaz kya karti hai hawa
kuch phati phati... jheeni jheeni
baalagh hotay larkon ki tarah


itna ooncha ooncha boltay hein do jharnay aapas mein
jaisay aik dihaat k dost achanak mil kar waadi mein
gaaon bhar ka poochtay hon
nazam bhi aadhi aankhein khol k soti hai
raat paharon par kuch aur he hoti hai!!!!

Rehtang k neeche

Rehtaang k neechey
kohray mein lipti simti ik waadi ko
saara saal he nazla rehta hai

baraf paray to jam jata hai
dhoop paray to phir se behnay lagta hai
saara saal magar es ko halka sa resha rehta hai


Patt jhar mein bhi cheenkon ki ik jharri lagi he rehti hai
cheentay urtay rehtay hein
surak surak karti rehti hai
saara saal he es waadi ko
nazla rehta hai!!!

Achay lagtay hein ye pahaar mujhe

Achay lagtay hein ye pahaar mujhe
chotiyan badlon mein urti hein
paaon barfab behtay pani mein
koot'tay rehtay hein nadiyan
kitni sanjeedgi se jeete hein
kis qadar mustaqil muzaaj hein ye
achay lagtay hein ye pahaar mujhe!

Monday, 12 January 2015

Darya e biyaas jahan behta hai

Darya e biyaas jahan behta hai
es se thori doori par
pandra bees gharon ki aik pahari basti k sirhanay
aalti paalti maray betha
sookha ganja aik pahaar
din mein kitnay saray roop badalta hai!


Subah sath ya aath bajay
sooraj ki aik parchayein , kuch yun parti hein aa kar es k mathay par
jaisay aik tilak dhari saadhu hai jo padam aasan mein , dhiyan lagaye betha hai
neechey ki taraf chitaan ka zakham
thaddi k beecho beech para , haddi ka dabao lagta hai


kabhi kabhi "sailor" lagta hai
badli ka maflar pehne
"daikk" par aa kar ghor se daikh raha hai kitni door ufaq hai
Ooper k dono pathar es dhoop mein "googles" lagtay hein!


Dhoop dhalay phir yun lagta hai
"bull dog" koyi nathno ko phulaye betha hai 
chokanna hai
darya nay agar basti ki taraf kuch reengnay ki kosish ki to
ghur'ra kar es par jhaptay ga


pandra bees gharon ki aik pahari basti k sirhanay
Aalti paalti maray betha
sookha ganja aik pahaar
din mein kitnay saray roop badalta hai!!

Taasraat

Kabhi kabhi lamp post k neechey koi larka
daba k pencil ko ungliyon mein
muray turay kaghazon ko ghutno pay rakh k
likhta huanazar aata hai kahin , to
khayal hota hai , gorki hai!
pajamay uchkay ye larkay jin k gharon mein bijli nahin lagi hai
jo meonispalty k park mein beth kar parha kartay hein kitabein
dakanz k , aur hardi k
navol se gir paray hein
ya prem chand ki kahaniyon ka warq hai koyi , chipak gaya hai
samay palat'ta nahin wahan se
kahani aagay barhi nahin hai


Ye garmiyan kitni pheeki hoti hein , bay sawadi
hatheli pay lay k din ki phaki
Mein phaank leta hun , aur nigalta hun raat k thanday ghont pee kar
Ye sookha sattu halaq se neechey nahi utarta!
Ye khushk din aik garmiyon ka
habs bhari raat garmiyon ki!


Bari taraqi hui hai k , Khonchay wala ab tape
bhar k din bhar chalata rehta hai betri par
"galay ki goli" mazay ki goli , hakeemi chooran , malatthi chooran ,!

Nasein phala k , ya sans ka poora zor day kar
galay se chilanay ki zaroorat nahin rahi ab!

Jo os pay tha , wo yaqeen magar tape par nahin hai!