Friday, 12 December 2014

Ilzaam

Ab b hai ilzam muhabbat hamaray sar par
Ab to banti b nahi yaaar hamari oski

Andaz

Ajab andaz k kuch log bastay hein khayalon mein
Tujhe hansnay nahi daitay mujhe ronay nahi daitay

Nafrat

Wo ro ro kar kehti rahi mujhe nafrat hai tum se
Mein ye he poochta raha k itni nafrat hai to roti kyun ho

Muhabbat

Jab nigah badal jaye
To muhabbat bojh lagti hai

Tere bin

Ho jo mumkin to mje apna bana lo tum
Meri tanhai gawah hai mera dil nahi lagta tmharay bin

Mera bachpan

Kon kehta hai waqt duhrata hai apne aap ko
Gar ye such hai ' to mera bachpan to lotaye koi????

Quran seeno mein

Na ho mumtaz kyun islam duniya bhar k deeno mein
Wahan mazhab kitabon mein yahan quran seeno mein

Saazeshein

Saazeshein zamanay ki kaam kar gayi aakhir
Aap hein udhar tanha' hum idhar akele hein

Afsana

Kya dhoond rahay ho tum ab es dil ki raakh mein faraz
Unwan jis ka tum thay wo afsana he jal  gaya

Qaid

Qaid kar diya saanpon ko ye keh kar saperon ne
Ab insan ko dasne k lliye insan he kafi hai

Sawal

Aaj bht soch kar khud se sawal kiya meine
Aisa kya hai mujh mein jo log mujh se wafa nahi kartay

Muhabbat

Kitabon se dalaail dun ya khud ko samnay rakh dun
Wo muj se pooch betha hai muhabbat kis ko kehte hein

Mosam

Mosam badal raha hai apna khayal rakhna ay dost
Kyun k badaltay mosam aur badaltay log bht takleef daitay hein

Ghalti

Ghalti unki nahi qasoor waar meri ghareebi thi
Hum apni oqaat bhool kar baray logon se dil laga bethay

Hawas

Jisam kitni bari haqeeqat ho!!!!
Dil ki taskeen magar hawas mein nahi

Muahabbat ab nahi hogi

Muhabbat rog hai jaana ' Muahbbat ab nahi hogi
Muhabbat aik tamasha hai shikayat ab nahi hogi

December

Mein kaise sard hathon se tmharay gaal choota tha
December mein tmhein meri shararat yaad aaye gi

Muhabbat

Muhabbat baqi rehne par yaqeen kitna tha dono ka
Yahan har cheez fani hai ' Na tum samjhay na dil samjha

Chaand kehta he raha

Tujh ko daikha phir es ko na daikha
Chaand kehta he raha mein chaand hun mein chaand hun

Taras gayi hein meri ankhein tujhe daikhne ko

Taras gayi hein meri ankhein tujhe daikhne ko
Kabhi khuwab ban kar meri ankhon mein aajao

Aur koi khuwaish nahi es deewanay ki

Hasrat hai sirf tumhein panay ki
Aur koi khuwaish nahi es deewanay ki
Shikwa mujhe bananay walay se hai
Kya zaroorat thi tumhein itna khubsoorat banay ki

Meri ankhon se log jaltay hein

Jab se rakha hai tujh ko ankhon mein
Meri ankhon se log jaltay hein

Osay muhabbat kahan thi bus dil lagi thi wasi

Osay muhabbat kahan thi bus dil lagi thi wasi
Warna mera pal bhar ka bicharna os k liye azaab hota

Teri aaghosh mein sar ho

Neend to dard k bistar par b aa sakti hai
Teri aaghosh mein sar ho ye zaroori to nahi

Apna bana kar to daikho

Wafaon ki hum se tawaqoh nahi hai
            Magar aik baar azma kar to daikho
Zamany ko apna bana kar to daikha
           Hamein b to apna bana kar to daikho

Tum bin jee nahi saktay

Agar tum jo ijazat do ' to do lafzon mein keh dalein
K tum bin mar to saktay hein ' tum bin jee nahi saktay

Yun barsay aaj tujh par lutf o karam ki barish

Yun barsay aaj tujh par lutf o karam ki barish
K bargah e ilahi se teri koi dua rad na ho (ameen)