Friday 19 December 2014

Intisaab

Meri har soch ki ikayi wo
wussatein b wo , ikhtisaar b wo
zameen o asmaan mein jo kuch hai
aur is k darmiyan mein jo kch hai
Es aik zaat ki takhleeq! Es aik zaat ka wasf
Esi k naam har ik intisaab khud ba khud
 koi b naam, koi lafz ya koi rishta
Likhun mein kaisay k jab tak ye mera zehan rasa
teri janaab se hasil na kar sakay ga khayal
ye eski shaan k zahir b aur baatin b
sabhi k beech b rehta hai aur charo taraf
Esi k naam har ik intisaab khud ba khud

Ijazat nahi

Shikwa to buhat hai magar shikayat nahi kar sakta
Mere honton ko ijazat nahi tere khilaf bolnay ki

Tamasha b . tamashayi b

Apne he haal pay hansna kabhi hans k rona
Mein baik waqt tamasha b, tamashayi b

Tere bin aaj ka din

Wo khamosh he raha aur hum muntazir e guftagu rahay
K kabhi to wo b kahay k tere bin aaj ka din buhat udaas raha

Ye tumhari sultanat hai

Suno! ik tum he ko to bakshi hai dil ki hakoomat
Ye tumhari sultanat hai barbad karo ya aabad karo

Mujhe takleef daita hai

Saari duniya k rooth janay se mujhe koi gharz nahin
Bus ik tera khamosh rehna mujhe takleef daita hai

Toot k bikhar jao gy

Muhabbat karni hai to had mein reh kar karna
Agar kisi ko by panah chaho gy to toot k bikhar jao gy

Dil mein utar janay

Mutasir hum b nahi hotay itni jaldi kisi se magar
Kuch logon ko dil mein utar janay ka fan aata hai

Ishq k azabon mein

Tawajoh dy apni taleem par na par ishq k azabon mein
Aksar wo log barbaad hotay hein jo rakhtay hein phool kitabon mein

Wo bayqasoor tha

Es k chehre pay es qadar noor tha
K iski yaad mein rona b manzoor tha
Bewafa b nahi keh saktay es ko
Pyar to hum ne kiya hai wo bay qasoor tha

Hum itne b nahi badlay

Hum itne b nahi badlay k bhool jayein apno ko
Jab koi muntazir he na ho to rabta acha nahi lagta

Ana ka maamla darpesh hai

Ana ka maamla darpesh hai warna haqeeqat mein
Ose mere mujhe oski kami mehsoos hoti hai

Khudhi ki dua karoon ya gham ki

Suna hai wo dukh mein hota hai to mujhe yaad karta hai buhat
Ab mein os k liye khushi ki dua karoon ya gham ki

Mein rahun na rahun

Mein rahun na rahun par ye dua hai meri
Tum khush raho mere sath b mere baad b

Wafa ka bharam


yahi buhat hai k qayam rahay wafa ka bharam
Koi kisi ka hua b hai umer bhar k liye

Dil toot to jata hai


Kab bhoolay jatay hein dost Juda ho kar b
Dil toot to jata hai rehta phir b seene mein hai

Muhabbat bana diya


Mangi thi hum nay khuda se muhabbat ki zindagi
Khuda nay tum se mila k zindagi ko he muhabbat bana diya

Zulm


Kabhi kisi aisay shakhs
Par zulm na karo jis
K pas faryad 
K liye ALLAH
K siwa koi na ho

Mera dil karta hai

Suno mera dil karta hai mein tum ban jaoun
Aur phir mujh ko koi meri tarah chahay

Ghar k sanatay ... !!!

Dara rahey hein mujhey meray ghar key sanatey..
Taras gayi meri tanhai hum safar key liye.!!

Dil se dil tak


Shehar bhar mein jis ne
Ruswa kiya hamein bewafa k naam par
Khud os ka daman
Wafa se khali tha

Ek Baar Or sahie ... !!

Kehti Hai Ye Dunia Bas Ab Haar Maan Jaa
Umeed Pukarti Hai Bas Ek Baar Aur Sahi..!

Tujh ko socha !!

Tujh ko Soocha Toh Bahot, Par Likha Kam Main Ne,

Ke Teri Taareef Ke Qaabil Mere Alfaaz Kahan…?

Nikaah e ishQ

Lo Aaj Hum Tum Se Nikkah-e-ISHQ
Kartay Hain...

Hamain Tum se,
Muhabbat hai...
Muhabbat hai...
Muhabbat hai...

Uff Yeh Mastiyan ...

Uff !! Yeh mastiyan janab ki 
Kahin koi Dekh na laiy  

Mujhe yaqeen tu Nahi ..