Sunday 7 December 2014

lout kar kabhi na aaya

Muhabbaton k safar mein kahin door nikal para hoga
Wo shakhs mujh mein phir lout kar kabhi na aaya

Mera dil pathar ka hai

Log kehte hein k mera dil pathar ka hai
Magar kuch log aise they jo ose b tor gaye

December phir lout aaya hai

Sanbhal nahi paya tha abhi dil
K december phir lout aaya hai

Lout aao tum

Es se pehle k mujhe sabar aa jaye
Kitna acha ho k lout aao tum

Nadaan hai wo kitna

Naadan hai wo kitna
     Kuch samajta he nahi
Seene se laga k poochta hai,, dharkan tez kyun hai

Roya nahi karti

Ose kehna k ab sard aur tareek raton mein
Jagti to rehti hien ,, roya nahi karti

Tera gharoor tootay ga

Jab kisi aur k hon gein hum b
Tab tera gharoor tootay ga

Muhabbat kis ko kehte hein

Jab bikhrey ga tere rukhsar pe teri aankh ka pani
Tujhe ehsas tab ho ga muhabbat kis ko kehte hein

Mera na hua

Eski muhabbat b karaye k ghar ki tarah thi
Jitna b sajaya phir b mera na hua

Aisa bichra

Aik he apna milne wala tha
Aisa bichra,, k phir mila he nahi

Thamay deewano ka hath

Bicha gaya har sathi dy kar pal do pal ka sath
Kis ko fursat hai jo thamay deewano ka hath

Hum b muntazir hein

Hum b muntazir hein tumhein apna bananay k liye
Ho sakay to lout aao kabhi na chor k janay k liye

Hijar ki ratein

Kya kahein kaise basar hijar ki ratein ki hein
Umer bhar chand se ik shakhs ki batein ki hein

Apno se chahat ga gila

Mujhe aksar apno se chahat ka gila rehta hai
Apno ne chaha he nahi chahnay walon ki tarah

Tere shehar mein aa betha hai

Ik nazar osne utha di to hila dy ga falak
Wo jo majzoob tere shehar mein aa betha hai

Mat dy hamein khush rehne ki dua faraz

Mat dy hamein khush rehne ki dua faraz
Hum khushyan rakhtay nahi, bant diya kartay hein

Khamosh muhabbat

Mein ne socha tha k thaam lein gein
Magar ye kya kar diya aap nay???????????

Bus ik tere siwa

Zindagi se kuch nahi manga ik tere siwa
Zindagi ne sab kuch diya, bus ik tere siwa

Hansnay walo

Mere saath mil kar hansnay walo
Kahan ho aaj k mujhe rona hai

Hath churaya tha

Tu ne jab hath churaya tha
Wo pal 
Tujhe b yaad to aata hoga?????

Darta hun

Hajoom e yaraan se darta hun
Mujhe tanha he rehne do

Es december mein

Es december mein hum agar tmko
Chor jayein to kya tamasha ho

Buaht khamosh logon se

Buhat khamosh logon se buhat uljha nahi kartay

Ae zindagi

Ay zindagi itni bad salookiyan
Hum kon sa baar baar aayein gein

Palkein neend se bojhal

Palkein neend se bojhal zaroor hein lekin
So gaye hum to tumhein yaad kon karay ga

December ki raat

Chand b tanha raat b tanha aur tanha meri zaat hai
Phir toot k wo yaad aaya ajeeb december ki ye raat hai

Younhi mosam ki ada

Younhi moasam ki ada daikh k yaad aaya hai
Kis qadar jald badal jatay hein insaan

Meri auqaat es qabil to nahi

Meri auqat es qabil to nahi k mein jannat mangun ya RAB
Bus itni si arz hai k mujhe jahanum se bacha lena  (ameen)

Suna tha dard aksar

Suna tha dard aksar bedard log diya kartay hein
Magar hamari zindagi ujari aik masoon chehre ne

Meri dua hai muhabbat mein wo mujhe hasil ho

Meri dua hai muhabbat mien wo mjhe hasil ho
Ose jo khud se nikalun to pass kuch na rahay

Aajata hai tasawar mein milne wo sar e shaam

Aajata hai tasawar mein milne wo sar e sham
Os shakhs ki itni si inayat b buhat hai

pahle likhta hon main

Pahle likhta hon main kaghiz pr masayal apne ..
Or phir sabar k drya me baha dita hun ....

Mujhe khud gharz kehte ho to theik he kehte ho

Mujhe khud gharz kehte ho to thiek kehte ho
K jis ki gharz he tm ho wo khud gharz q na ho

December mien kaha tha na k wapis lout aao gy

December mein kaha tha na k wapis lout aao gy
Abhi tak tum nahi lotay december lout aaya hai