Sunday 18 January 2015

Phir wo campus ki fiza ho , shaam ho (wasi shah)

Phir wo campus ki fiza ho , shaam ho
Hath hathon mein tera ho , shaam ho

Khof aata hai mujhe os waqt se
Raasta na mil raha ho , shaam ho

Kis qadar bay kaif guzray gi wo shaam
Tu mujhe bhoola hua ho shaam ho

Kyun na shiddat se mujhe aaye gaon
Shehar ka banjar pana ho , shaam ho

Ho rahi ho teri tasweeron se baat
Tera khat khola hua ho , shaam ho

Sardiyan , barish , hawa , chay ka cup
Wo mujhe yaad aa raha ho , shaam ho

Dard e gham ki dhund mein lipta hua
qaafla sa chal para ho , shaam ho

Ya ilahi aisay lamhay se bachaa
Wo kabhi mujh se khafa ho , shaam ho

Ik yahi khuwaish na poori ho saki
Tu kalejay sa laga ho , shaam ho

Tumhari yaad se jab bhi wazu nahi karta (wasi shah)

Koyi malal koyi aarzu nahin karta
Tumharay baad ye dil guftagu nahi karta

Koyi na koyi meri cheez toot jati hai
Tumhari yaad se jab bhi wazu nahi karta

Behlawa (wasi shah)

Rishta tor k janay walay
Mujh ko chor k janay walay
Ab ki eid pay
Mujh ko jitnay card milay hein
Un cardon mein 
Sab se piyara
Sab se acha
Pehla card tumhara hai
Mujh ko chor k janay walay
Zara kaho to
Ye kis aur ishara hai........?

Hum ne jo deep jalaye hein , teri galiyon mein (wasi shah)

Hum nay jo deep jalaye hein , teri galiyon mein
Apnay kuch khuwab sajaye hein , teri galiyon mein

Janay ye ishq hai ya koyi karamat apni
Chaand lay kar chalay aaye hein , teri galiyon mein

Tazkira ho teri galiyon ka to darr jata hai
Dil nay wo zakham uthaye hein , teri galiyon mein

Es liye bhi teri galiyon se hamein nafrat hai
Hum nay armaan ganwaye hein , teri galiyon mein

Kyun har ik cheez adhuri si hamein lagti hai
Janay kya chor k aayein hein , teri galiyon mein

Uljhan (wasi shah)

Tera mera rishta kuch aisa uljha hai
Es ko suljhatay suljhatay
Apnay dil ki porein zakhmi kar betha hun
                                       
                                        Rishta shayad sulajh na paaye

Lekin es ko suljhanay ki dhun mein jaana!
Saaray khuwab bhula betha hun

                   Apna aap ganwa betha hun

Sorry (wasi shah)

Ab magar kuch bhi nahin kuch bhi nahin ho sakta
Apnay jazbon se ye rangeen shararat na karo
Kitni masoom ho naazuk ho himaqat na karo
Baar ha tum se kaha tha k muhabbat na karo

Mere mola teri jannat se juda lagti hai (wasi shah)

Mere mola teri jannat se juda lagti hai
Meri dharti mujhe masoom dua lagti hai

Gali mein dard k purzay talash karti thi (wasi shah)

Gali mein dard k purzay talash karti thi
Mere khatoot k tukray talash karti thi

Kahan gayi wo kanwari , Udaas bi aapa
Jo gaon gaon mein rishtay talash karti thi

Bhulaye kon aziyat pasandiyan es ki
Khushi k dher mein sadmay talash karti thi

Ajeeb hijar parasti thi es ki fitrat mein
Shajar k toot'tay pattay talash karti thi

Qayaam karti thi wo mujh mein soofiyon ki tarah
Udaas rooh k goshay talash karti thi

Tamam raat wo parday hata k chaand k saath
Jo kho gaye they wo lamhay talash karti thi

Kuch es liye bhi mere ghar se es ko thi wehshat
Yahan bhi apnay he piyaray talash karti thi

Ghuma phira k judayi ki baat karti thi 
Hamesha hijar k harbay talash karti thi

Tamam raat wo zakhma k apni poron ko 
Mere wajood k rezay talash karti thi

Duayein karti thi ujray howe mazaron par
Baray ajeeb saharay talash karti thi

Mujhe to aaj bataya hai badlon nay wasi
Wo lout aanay k rastay talash karti thi

Maa ! mujhe neend nahi aati (wasi shah)

Maa! mujhe neend nahi aati hai
Aik muddat se mujhe neend nahi aati hai
Maa! mujhe lori sunao na
Sula do na mujhe

                           Maa! mujhe neend nahi aati hai
                           Raat jagay ab to muqaddar hein meri palkon ka
                           Neend aaye to liye aati hai baghdad ki yaad
                          Aankh lagtay he ko bewa utha daiti hai
                         Pait kitna he bharoon bhook nahi mit'ti hai

Jaltay basra ki mujhe piyaas jaga daiti hai
Koyi qandhar ki waadi se bulata hai mujhe
Zikar qandoz ka aaye to mujhe lagta hai
Kaat k sar koyi hansta hai , jalata hai mujhe
Bam ki awazein mujhe kuch nahi kehti hein magar
Zakham in bachon k sonay nahin daitay hein mujhe
Maa meri aankhein to pathar ki howi jati hein
Nojawan laashay ye ronay nahin daitay hein mujhe
Mere seene pay rakho haath
Rula do na mujhe.......!
Maa! mujhe lori sunao na
Sula do na mujhe.......!
Maa! mujhe neend nahin aati hai

                 Aik muddat se mujhe neend nahin aati hai.........!