Tuesday, 6 January 2015

2085 Nuclear bam k baad

Sab se khubru tha wo seeyara neelay rang ka
kehkashaan ki aankh tha!


kehkashaan mein urta urtay
ik bari energy ne
chot ik energi se kaha     "kuch es tarah hua"


kuch nahi tha pehle es zameen par , aasman b nahin
paani tha , shifaaf tha
paaniyon pay chalti rehti thi hawa
gaisoon ka duaan tha aur kuch nahin......
raat b hua karti thi magar
andhera chikna lagta tha , chamakta tha
pani mein b kehkashaan ka aks daikh saktay they
apni kehkashaan mein to....
sab se khubru tha wo seeyara neelay rang ka
choti os energi nay
mur k daikha ik jala hua zameen ka tukra ghoomta hua
girnay wala tha , kisi b waqt aaftaab mein 
aik baar timtima k phir kaha energi nay
aur phir zameen ko......
janay kaisay lag gayi thi zindagi
dheere dheere.....
es zameen ko kha gayi ..... Zindagi!!

Ab khanam ki fikar na karna abu tum

Ab khanam ki fikar na karna abu tum
neend ki goliyan band kar di hein
talakh dawaiyan khatam howein


Wo jo raat ko darti thi na
Asman par urtay tamboo diakhti thi
deewar pakar k kehti thi wo
'roko' 'roko' ghar chalta hai
houl nahi partay ab osko
aik tank achanak ghar mein ghus aaya tha
jumeraat k din , thori se , jo b mili , dafna aaye hum


Ab khamam ki fikar na karna abu tum!!

Do so fut se b oonchi aik duaein ki khumbi

Do so fut se b oonchi aik duaein ki khumbi
paich daar , bal khati hui
aur ooper ik chatri kalay garhey duaein ki khilti gayi
chotay se ik bum k pait se nikli aur
pooray qandhar pay phel gayi
din dopherey , andhera andhera , har soo phel gaya
jaisay jaisay kalay duaein ki raakh zameen par girti thi
chaltay phirtay log sabhi mar jatay they


Aanay wali naslon mein jab
phi rkoi naani aaj ki baat sunaye gi to
bachay wo b aik kahani samaj k ankhein band kar lein gein... so jayein gein!

sooraj ki es back light mein

Sooraj ki es back light mein
ghar k khandar
aur deewaron par bethey afghani bachay
america k "Art general" k cover page par
ab b zinda lgtay hein
halka halka duaan nikalta rehta hai!

Baghdad

Jang ka koora aik jaga par jama hua hai
pehli baar hai
itnay saray baazu , tangein , haath aur sar aur paaon
aisay alag alag bikhray daikhay hein 
bachay khuchay purzay lagtay hein 
"spare paarts" hein


Baazu aik julahay ka , hilta hai ab tak
kaanp raha hai ya shayad kuch kaat raha hai
taang hai aik khilari ki , run out hua hai
ghar tak dortay dortay raah mein maara gaya hai


sar hai aik , jo lurak raha hai
tootay phootay sher abhi tak sar mein khar khar bajtay hein
nazmon k chandh toot gaye hein
ungliyan reeng rahi hein kuch
matti mein taareekh darj karnay ki kosish lagti hai

purza purza khol k aik mechinec nay
in k murammat chahi thi
bura laga tha es ko ye purzay awazein kartay hein!

pankhay se urti hai to balab pay ja bethti hai

pankhay se urti hai to balab pay ja bethti hai
aaina daikhti hai do tarfa jhatak kar gardan
itni si chirya hai , kul aik chatanki bhar ki
jab chehakti hai to sar he pay utha leti hai saara kamra
khabrein b thiek se sunnay nahi daiti mujh ko


kitnay masoomon k ghar dangon mein jal kar
malbay k dhair howe jatay hein gujraat mein
aur ye hai
aik tootay howe rozan mein isay
tinkay sajanay ki parri hai!

Baarish aanay se pehle he

Baarish k aanay se pehle he
baarish se bachnay ki tayyari jari hai
saari dararein band kar li hein
aur leep k chat , ab chatri b murhwali hai
khirki jo khulti hai bahar
es k ooper b aik chajja kainch diya hai
main sarak se , gali mein ho kar , darwazay tak aata rasta
bajri matti mein daal k es ko koot rahay hein!
yahin kahin kuch khadon mein
barish aati hai to pani bhar jata hai
jootay , paaon , paainchay , sab sun jatay hein


Galay na par jaye sat rangi
bheeg na jayein badal se
sawan se buch kar jeetay hein
baarish aanay se pehle
baarish se bachnay ki tayyari jari hai!

Moon soon ki samfani

Car ka engine band kar k
aur sheeshay charha k barish mein
ghanay ghanay pairon se dhaki saint paal road par
aankhein meech k bethey raho aur car ki chat par
 taal suno tab barish ki


Geelay badan kuch hawa k jhonkay
pairon ki shakhon par chaltay dikhtey hein
sheeshay par phisaltay pani ki tehreer mein ungliyan chalti hein
kuch khat , kuch satrein yaad aati hein
moon soon ki samfani mein