Wednesday 7 January 2015

Ik peepal tha

kehtay hein ik peepal tha
ooper wali baraf ki choti se utra tha
kundli maar k dhoop mein ik darya soya tha
es par paaon para aur peepal..... thehar gaya!!
sooraj nay daikha , darya ki aankh mein peepal ki tasweer utar aayi thi
darya din bhar gun gun karta rehta tha
raat ko karwat lay kar , peepal k zaanu par sar rakh kar socha karta tha
kaash khara ho sakta wo b pairon par
aur galay lag sakta uth kar peepal k!
ik sindhoori shaam kamar lehrati hui
dono k beech se ho kar roz nikalti thi!



jab kuch sadiyan beet gayi
aur asman k baal b kanpatiyon k neeche paknay lagay
aik roz es chikni shaam ka hath pakar kar peepal nay roka es ko... sun!
kyun mun kaala karnay jati hai tu roz isi sooraj k
peeche peeche... paar ufaq k!


laali phir gayi shaam k mun par
shaakh se patta tor k
likh kar chitthi es par
haath mein di....ja ' ja kar daina es akaash sawami ko
shaam ka chehra sawah hotay hotay wo bhaagi 
lekin raah mein
chaand nay hath maror k chitthi cheen li es se
raahu , keetu , bhaagay haath churanay es ka
shaam ka kangan sanka haath se , aur shani nay dor k kangan loot liya
barrbola "dumdaar sitara" mehwar mehwar shor machata bhaag gaya
sadiyon tak goonji thi phir wo baat ghamurti kaiynaat mein!


Sadiyon baad ki baat hai shayad
ya phir inhein dino ki hogi
waqt kharaon pehnay jab kuch sayaron par paon rakhta
kaiynaat se guzar raha tha
peepal ka aik patta urrtay urtay
es ki peeth se aa kar chipak gaya 
waqt nay apna rukh badla aur
parbat parbat paon rakhta neeche utra
raatk ki god mein shaam pari thi
darya lipta hua khara tha peepal se
aur pahar k seene par , pehli pehli ghaas ugi thi!!!

No comments:

Post a Comment