Sunday, 21 December 2014

Bojh

Pairon par liye phirta hun mein bojh ye kaisa
Shayad badan rakh k kahin bhool gaya hun

Muhabbat yun b hai shayad

Muhabbat aag hoti ja rahi hai
Koi jugnoo, koi roshan sitara
Mere man mein sulagta ja raha hai
Mein apne aap se bichra to socha
Jo tum ko mujh se kehni thi wahi baat
Buhat baylaag hoti ja rahi hai
Muhabbat aag hoti ja rahi hai

Kahin par roshni ka istiaara
Kahin roshan kahin madham nazara
Kahin par bay karaan sehra pukara
Kahin waazeh, kahin mubhim ishara
Ye kaisi raat hai jis ka nahi ant
Samandar hai nahi jis ka kinara
Ye deepak aag hoti ja rahi hai
Muhabbat aag hoti ja rahi hai

Tanhai

Mein apni zaat ki tanhai se guzar aaya
Pull e siraat tha shayad jo paar kar aaya

jahan sapna nahi hota

Kabhi darya nahi hota
Kabhi piyasa nahi hota

Sadayein lout aati hein
Dareecha wa nahi hota

Ham he katra k guzray hein
Hamein dhoka nahi hota

Muhabbat phel jaye to
Kahin sehra nahi hota

Hai koi aankh aisi b
Jahan sapna nahi hota

Talab ho doob janay ki
Ghara kacha nahi hota

Tumhara naam na aata
ye dil dharka nahi hota

Qitaa

Ye faisla nahi hota rahun khamosh k phir
Mein itni zor se cheekhun sunayi dainay lagun

Mata e zeest mere pas ik khalash he to hai
So umer bhar ki mein kaisay kamayi dainay larun

Wazahat

Haseen larki!
Tumhein ye gham hai
K bayniazi mera chalan hai
Nahi hai aisa to kuch nahi hai
Meri tawajo to but gayi hai
Magar mein tum se alag nahi hun
Mere khayalon mein kal b tum thein
Mere khayalon mein ab b tum ho
Mere khayalon mein tum raho gi
Mein in khayalon ko lafz o mayni k perahan se saja raha hun
Shareer larki!
Ye jan rakho
Mein kitni sadyon se lafz chun kar tumhari khatir
Naye mayni talashta hun, mein apne izhar ka tawasat
Faqat rawaiye ko janta hun.....tmhari khuwaish!!!
Tmhari khuwaish yahi rahi hai
Mein lafz o mayni ka khel chorun
Ajeeb larki!
Zara ye samjho
Ye khel he meri zindagi hai
So meri ye zindagi b janaa
Tumhari apni he zindagi hai
Agar kaho to ye khatam kar dun?

Tum b mun pher lo to jaoun mein

Kab talak khud ko azmaoun mein
Tum b mun pher lo to jaoun mein

Roshni ko diye jalaoun mein
jab b tere qareeb aaoun mein

Zindagi, arzoo, umeed, fareb
Aur kab tak fareb khaoun mein

Mera maazi meri haqeeqat hai
Kaisay maazi ko bhool jaoun mein

Kya haqeeqat hai kya kahani hai
Kon samjhay agar bataoun mein

Sochta hun shakeel aaj k baad
Khud ko dhoondhun k osko paoun mein

Qitaa

Bazahir to har ik manzar bhala hai
Har ik manzar ko pas manzar se samjho
Koi b faisla karnay se pehle
Khud apnay aap ko andar se samjho

Fasal boyi pathar ki

Aitebaar sheeshay ka, imtihan sheeshay ka
Daikho khel mat karna, meri jaan sheeshay ka

En dino jahan hum hein hum ko aisa lagta hai
Hai zameen sheeshay ki, Aasman sheeshay ka

Tootna to hai aakhir, tootnay se kya darna!
Pathron ki basti mein kya dhiyan sheeshay ka

Hun b kitne saada hein dhoop se bachao ko
 Sar pay taan rakha hai saaebaan sheeshay ka

Shehar hai muhabbat ka aur hairti hon mein
Har makeen sheeshay ka, har makan sheeshay ka

Juzz mere batao to aur kon day sakta
Fasal boyi pathar ki aur lagaan sheeshay ka

Mein nahi janta magar shayad

Mein nahi janta magar shayad
Aagehi aap he ujala hai
Aagehi nay mujhe jala bakhshi
Aagehi ne he maar daala hai

Mehdood

Dard k khuwab daikhnay walo
Kon apni hadon se guzra hai?
Aagehi k azab daikhne walo

Aisa ik dildaar hona chahye

jeet aisi haar hona chahye
Tum se ye takrar hona chahye

Soch lena maslay ka hal nahi
Jurat e izhar hona chahye

Sehal ho jaye to by maqsad hayat
Zindagi dushwaar hona chahye

Senkron ayyar hein duniya mein, hon
Aap ko hoshiyaar hona chahye

Azmatein marhoon hein kirdar ki
Aap ka kirdar hona chahye

Kefiyat dil ki samaj ly jo shakeel
Aisa ik dildar hona chahye

Aik tum he to ho

Aik tum he to ho
Meine jis k liye
Khuwab sapnay sajaye
Saray jag se siwaa
Geet ulfat k gaaye
Jis ko socha buhat
Soch ki akhri had talak
Jis ko daikha basarat ki had se paray
Wo tasawur tha ya khuwab tha kya pata?
Es qadar naqsh hai  zehan mein
Tumhara aks haseen
Koi khalwat k jalwat
Kahan tum nahin
Shaam k surmayi badlon ki tarah
Tum nay lamha ba lamha safar yun kiya
Meri ankhon se dil
Mere dil mein rahay
Dil se nas nas mein tum
Khoon ban kar bahay
Jis jaga tak meri soch ja na saki
Tum wahan tak gaye
Aur kis ko diya
Mein nay ye ikhtiyaar
Es qadar kis e pyar?
Aik tum he to ho 

Najanay kyun

Muhabbat jeet sakti hai
Magar phir b najanay kyun?
Muhabbat haar jati hai

Aik sher

Tum ko maine daikha jab kya ajeeb lamha tha
Chamki aik khuwaish si char soo andhere mein

To phir kya chor dain jeena

waraye aagahi koi agar tayyar ho jaye
Jo hona hai meri qismat mein aik baar ho jaye

Muhabbat dard ki had se guzar jaye to mumkin hai
Dikhayi dy sar e manzar koi shahkaar ho jaye

Tawalat wo safar mein ho, koi manzil na mil paaye
Jahan se rasta niklay, wahin deewar ho jaye

Ajab dastoor e duniya hai ajab iska tamasha hai
Mera asbaat mumkin hai mera inkaar ho jaye

Kathan hai zindagi aur rastay b khaar se pur hein
To phir kya chor dein jeena agar dushwar ho jaye

Mere khuwaish guzeeda tan samaj lay baat itni si
Kabhi khud say b to jo bar sar e paikaar ho jaye

Dama dam mast k naaray suanyi dein har ik janib se
Elahi hum ghareebon ka b baira paar ho jaye

Tasawur mein mujhe tum ne bulaya hai to mein aaya

Tasawur mein mujhe tum ne bulaya hai to mein aaya
Ye rasta b mujhe tum  ne dikhaya hai to mein aaya

Buhat muddat hui mein mar chuka tha ak tmharay bin
So ab tum ne mujhe phir se jalaya hai to mein aaya

Tumharay khuwab such karna yahi meri tamanna hai
Kabhi tum ne koi sapna sajaya hai to mein aaya

Tumhein takleef mein daikhun kahan itni sakkat mujh mein
Tumhara dil kisi ne jab dukhaya hai to mein aaya

Tumhari aankh se behtay hue aansu sitaray hein
Kabhi tum ne koi aansu bahaya hai to mein aaya

Tazabzab

Tum khuwaish ho 
Tum aik aisi khuwaish ho jo
Kabhi na poori ho paye gi
Janta hai dil
Manta hun mein
"Lekin" Es se kya hota hai?
"Shayad" Meri khuwaish b hai
"Lekin" aur "Shayad" nay mujh ko
bay waja uljha rakha hai

Mere sath ye dewana jaye

Mein jahan jaoun mere sath ye dewana jaye
Meri pehchan mere dard ka afsana jaye

Wo nazar oski hai jadu wo talisim oski ada
Jis taraf daikh ly saqi, wahin paymana jaye

Mujh ko sehra ki zaroorat nahi mein qais nahi
Mein to jis shehar b jaoun wahin verana jaye

Lutf peene ka b aaye ga esi bin mein mujhe
Raqs karta hua khud he wahan mehkhana jaye

Mujh se nazrein to milao mujhe daikho to sahie
Ab nahin meri tamanna mujhe pehchana jaye

Kon kisay samjha sakta hai

Sooraj to jhulsa sakta hai
Diya b aag laga sakta hai

Mein he kyun awaz esay dun
Wo khud b to asakta hai

Sab ko dhoka dainay wala
Khud b dhoka kha sakta hai

Wo chahay to tanhai ko
Mujh se door bhaga sakta hai

Aik he baat samaj mein aayi
Kon kisay samjha sakta hai

Rawaiye

Rawaiye aainay hotay hein jazbon k
Kabhi maa apne bachon se nahi kehti 
Wo in se pyar karti hai
Na behnein bhaiyon ko ye btati hein
Wo inko kitna chahti hein
Na bhai apni behno se kabhi izhar kartay hein
Wo in se pyar kartay hein!!!
Magar han ye rawaiye he batatay hein
Kisay kis ki zaroorat hai
Kisay kis se muhabbat hai