Thursday 11 December 2014

Pehli muhabbat

Tum meri pehli muhabbat to nahi ho lekin
Meine chaha hai tmhein pehli muhabbat ki tarah

Sitam

Kaash wo aik moqa daita Mujhe baat karnay ka
Mein ose b rula daita Os k sitam suna suna kar

Aazmaty hein log sabar mera

Aazmatay hein log sabar mera
Baar baar zikar tmhara kar k

Suna hai raat dair tak jagtay ho

Suna hai raat dair tak jagtay ho
Yadon k maray ho ya meri tarah ishq mein haaray ho

Beshak mujhe sangsaar kar do

Mere aibon ko gin'nay walon
    Beshak mujhe sangsaar kar do
Magar uthaye wo pehla pathar
    Jis ne koi gunah na kiya ho

Chun ly mujhe b apne sajday karnay walon mein ya rab

Chun ly mujhe b apne sajday karne walon mein ya Rab
Kab tak bhagta rahun ga tuj se teri he duniya mein

Faqeer e waqt b tadbeer e rizq karta hai

Faqeer e waqt b tadbeer e rizq karta hai
Duayein baich kar bachon ka pait bharta hai

Kuch nafraton ki nazar hua

Kuch nafraton ki nazar hua mera ye wajood
Baaqi jo buch gaya tha muhabbat mein mar gaya

Mein musafir hun

Mein musafir hun kisi roz to jana hai mujhe
Koi samjhay ose meri tamanna na karay

Gham e aashqui tera shukriya

Kabhi ruk gaye kabhi chal diye

Log kehte hien

Log kehte hein k jisay had se ziyada pyar karo 
      Wo pyar ki qadar nahi karta
Par sach to ye hai pyar ki qadar jo b karta hai
Es se koi pyar nahi karta

Tum badlo to majburiyan

Tum badlo to majburiyan
Hum badlein to bewafa

Maan toot jata hai

Ajab halqa e ahbab hai muqaddar mein mohsin
Qadam qadam par mera maan toot jata hai

Teri yaad aur baraf bari ka mosam

Teri yaad aur baraf bari ka mosam
Sulagta raha dil k andar akele
Irada tha jee lun ga tujh se bichar kar
Guzarta nahi aik december akele

Gharoor

Gharoor to nahi karta lekin itna yaqeen zaroor hai
Agar yaad nahi karo gy to bhula b nahi  pao gy

Agar nibhanay ki chahat ho dono taraf se

Agar nibhanay ki chahat ho dono taraf se
To koi b rishta nakaam nahi hota

Jo wada kiya hai wo nibhana hoga

Jo wada kiya hai wo nibhana hoga
Ik din lout kar tmhein aana hoga
Dil tor kar muskura rahay ho aaj
Daikhna aik din tmhein b puchtana hoga


Suno!!! Hamein likh kar kisi lamhay kahin mehfooz kar lo tum

Suno!! hamein likh kar kisi lamhay kahin mehfooz kar lo tum
Tmhari yaad se daikho , nikaltay ja rahay hein hum

Dard

Aazah aur b hein jisam mein dard ko mehsoos karnay k liye
Kambakht dil he kyun dard ko mehsoos karta hai

Ishq naslein ujaar daita hai

Tum aik dil ko liye phirte ho 
Ishq naslein ujaar daita hai