Thursday 18 December 2014

Zalim ab k b na roye ga

Zabt laazim hai magar dukh hai qayamat ka faraz
Zalim ab k b na roye ga to mar jaye ga

Dil kis baat pe dukhta hai

Wo apne he hotay hein jo lafzon se maar daitay hein
Warna gheron ko kya khabar k dil kis baat pe dukhta hai

Tum bhool bethe ho

Tum bhool bethe ho hamein ye koi bara mojza nahi
Hum to insan hein yahan yaad kisi ko apna khuda nahi

Haseen

Nahi hein hum haseen itna k har kisik k dil mein bas jayein
Par jis k sath chal parein zindagi osi k naam kar daitay hein

Dua

Hum ye nahi kehte k koi tere liye dua na mangy
Hum to ye kehte hein k koi dua mein tujhe na mangy

Muj se ye daikha nahi jata

Mere bas mein hota to rakh leta tujhe apne dil mein chupa kar
K tujhe sab daikhte hein aur mujh se ye daikha nahi jata

Ehsas

Kabhi to hoga ose ehsas
Kisi ne chaha tha ose duniya ko chor kar

Ishq

Ishq hai apne asoolon pe azal se qayam
Imtehan jis ka b leta hai riaayat nahi karta

Tu bewafa kahan tak hai

Mat pooch meri muhabbat ki inteha kahan tak hai
Tu kar lay sitam teri taqat jahan tak hai
Wafa ki umeed jinhien hogi unhein hogi
Daikhun zara to bewafa kahan tak hai

Muhabbat

Muhabbat chor dainay par dilon ko tor dainay par
Ajab dastoor hai sahib koi fatwa nahi lagta

Muahbbat

Muhabbat zindagi k faislon se lar nahi sakti
Kisi ko khona parta hai aur kisi ka hona parta hai

Udaas dil hai

Udaas dil hai magar milti hun har aik se hans kar
Yahi aik fun seekha hai buhat kuch kho janay k baad

Raasta

Mussaraton ne chaha tha dil mein aajayein
Hajoom e gham ne magar unko rasta na diya

Har baar tora hai

Har baar tora hai osne meri umeed ko mere khuloos ko
Hum phir b shikwa nahi kartay k anjanay mein hua ho shayad

Ghar

Ghar bana kar mere dil mein chor gaya 
Na khud rehta hai na kisi aur ko basnay daita hai


Khata aur wafa

Khata aur wafa mein farq sirf itna hai sahib
Khata har kisi se hoti hai aur wafa kisi se nahi

Dard sehne k aadi ban jao

Mere sath chalna hy to dard sehne k aadi ban jao
Mera mashghala hai kanton se khelna aur tum abhi phool jaisi ho

Na chahat k andaz alag

Na chahat k andaaz alag na dil k jazbaat alag
Thi sari baat lakeeron ki tere hath alag mere hath alag

Dard

Mere chehre se mera dard na parh pao gy
Meri aadat hai har baat pay muskura daina

Sanbhal kar chalna

Bewafaon ki ye duniya hai zara sanbhal kar chalna
Ye log barbaad karnay k liye b muhabbaat ka sahara laitay hein

Ik tere bagher

Ik tere bagher he na guzray gi ye zindagi
Saray zamanay ki muhabbat lekar mein kya karoon gi

Dard e yaar

Kabhi dil mein basa raha kabhi aankhon se beh gaya
Ay dard e yaar tere thikanay b ajeeb hein

Koi mera nahi raha

Mein kaise maan lun k koi mera nahi raha
Jab tak khuda ki zaat hai tanha nahi hun mein

Fana

Fana kar day apni sari zindagi khuda ki muhabbat mein
Yahi wo wahid pyar hai jis mein bewafai nahi hoti

Dukh

Kisi ko dukh kabhi daina to itna soch kar daina
Kisi ki aah lagnay mein zara c dair lagti hai

Gila

Gila b un se hota hai shikayat jin se hoti hai
Khafa b un se hotay hein muhabbat jin se hoti hai

Muhabbat

Hum jab nibhatay hein to is tarah nibhatay hein muhabbat
Sans lena chor saktay hein magar daman e yaar nahi

Dard

Shikayat lekar gaye they Os k diye howe dard ki 
Bhool gaye hum apna gham Os ko itna khush daikh kar

Waqt

Kaash k  waqt mere bas mein hota 
To mein guzarnay he na daiti tuj se mulaqaat k lamhay