Daikh raha hun samnay bethi larki ko
Soch raha hun aik muhabbat aur sahi
Ye ishq hai ziyada jaga gherta nahi
Thora sa apne dil ko bara kijiye janab
Hum to samjhay they hongay do char aansu
ronay bethay to samandar k samandar niklay
Chalo hum maan lete hein tumhien kho chukay hein lekin
Khatoot kar diye wapis magar meri neendein
Inhein b chor do ik reham ki nagah k baad
Tu chala gaya mujhe chor kar Mein ne phir b tujhe sadayein di
Mere hamsafar tu ruka nahi ye meri sadaa ki shikast hai
Aur jab tum bila waja rooth jatay ho
Yaqeen maano.... Baray zehar lagtay ho
Muhabbat ho b jaye to kabhi izhaar mat karna
Ye duniya sachay jazbon ki bari toheen karti hai
Bus ik meri baat nahi,, sab ka dard december tha
Kisi k sath pyar se mazak zaroor karna
Magar kabhi kisi k sath mazak se pyaar na karna
Sab se yun milna k jaise dil mein koi dukh na ho
Mujh mein ye khoobi b hai sab khamiyoon k bawajood
Nazar se door reh kar b kisi k ru ba ru rehna
Kisi k pass rehne ka saleeqa ho to tum sa ho
Bewafa logon se achay to ye gham aur dukh hotay hein
Jo barbaad to kartay hein magar sath nahi chortay
Ye tum janti ho mein ziddi buhat hoon
Janay kaisay osne dil chura liya apna andaz e wafa se
Hum sochte he reh gaye aur pyar ho gaya
Toot sa gaya hai mere aitebaar ka wajood
Ab koi mukhlis b ho to mujh yaqeen nahi aata
Teri tawajo shayad mere naseeb mein likhi he na thi
Chor diya tujhe yaad karna b,,,,,, Khud ko bewafa samaj kar
Aik baar jo guzar gayi to wapis na aa sakay gi tu
Ay zindagi ab tu he bata tujhe kaisay guzara jaye
Ab aur kya kisi se marasam barhayein hum
Ye b buhat hai tujh ko agar bhool jayein hum