Kon kehta hai un k dil mein muhabbat nahi
Muhabbat to hy par shayad hum se nahi
Kaash tera dil b aik mulk hota
Kuch din to araam se beth k hakoomat kartay
Muhabbat mein yahi khof musalsal rehta hai
Kaheen mere siwa koi aur to aziz nahi hai ose
Buhat mushkil se seekha hai khush rehna os k bagher
Ab suna hai ye baat b ose pareshan karti hai
Kisi aur tareeqay se b mil jati hai kya muhabbat
Mujhe to duaon se aagay kuch aata he nahi
Sanson k silsalay ko na do zindagi ka naam
Jeenay k bawajood b mar jatay hein kuch log
Lafz ba lafz jab biyan ki osne wo pehli mulaqaat
Hum saari bewafai bhool kar muhabbat mein par gaye
Dukh ye nahi k mein ose apnaa na saka
Dukh to ye hai wo b kisi ka na hua
Chiragh bujhtay chalay ja rahay hein silsila waar
Mein khud ko daikh raha hoon fasana hotay howe
Chand sikkon mein bikta hai yahan insan ka zameer
Kon kehta hai mere mulk mein mehangai hai
Roka tha dil ko yun na aadi bana mujhe
Es bewafa ki bahon ka
Wo to chala gaya ab kya karoon mein
In december ki sard hawaon ka
Kam yaad karo osko agar jeena hai kuch din
Ye alfaz mujhe tabeeb nay hath jor k kahay
Oski aankhon ko kabhi ghor se daikha hai saaqi
Sonay walon ki tarah jaagnay walon jaisi
Tumhein zaroor koi chahton se daikhay ga
Magar wo ankhein hamari kahan se laaye ga
Mujh ko talab thy faqat oski chahat ki
Aur oski to chahat he sara zamana tha
Zara tum chal k aajatay zara hum jhuk k mil lete
Sharakat se chala kartay hein karobaar duniya k
Taqdeer badal jaye gi apne aap he
Bus muskurana seekh ly waja talash na kar
Yun to meri har baat samaj jatay ho tum
Suno!!!! wafa ki shart na rakho
Mujhe tum hartay achay nahi lagtay
Humsafar dhoondho warna rahbar sahara dhoondho
Thokrein khao gy to khud he sanbhal jao gy
Tamam umer ki awargi par bhari hai
Wo aik shab jo teri yaad mein guzari hai
Ehsas e muhabbat k liye bus itna he kafi hai
Tere bagher b tere sath rehta hoon
Kuch aisay haadsay b zindagi mein hotay hein
K insan bach to jata hai magar zinda nahi rehta
Itni khamosh muhabbat kyun kartay ho hum se
Log kehte hein k es badnaseeb ka koi nahi
Apni tammana se kabhi kuch nahi chaha tha hum nay
Bus uski khushi dhoondty dhoondty badnaam ho gaye
Asool e muhabbat mein tum khud bewafa ho
Wo jo bichra to tum mar kyun nahi gaye
Wo kaise log they ya rab jinhon ne paa liya tujko
Hamein to hogaya dushwar ik insan ka milna
Aaj kyun takleef hoti hai tumhein meri berukhi se
Tum he nay to sikhaya hai kaise dil jalatay hein
Agar wo pooch lein hum se tumhein kis baat ka gham hai
To phir kis baat ka gham ho agar wo pooch lein hum se
Yaad e yaar ka mosam aur sard hawa ka aalam
Ay dil tayyar ho ja december aanay wala hai
Mehsoos kar raha hoon mein jeene ki talkhiyan
Shayad mujhe kisi se muhabbat nahi rahi
December tum kyun aaye ho
Bina sawan , bina sajan
December ki ye pehli sham he kitni zalim hai
Aaghaz e sham he say yadon k badal cha gaye
Phir es sard mosam mein zara na chain se soyein gein
December phir se aaya hai, phir se mil k royein gein
Ye barish, ye sard hawa, ye hijar ka aalam
Gumaan hota hai es baar december maar he dalay ga