Monday, 29 December 2014

Ikhtitam e December

Aao lipat jao  mere seene se k Ikhtitam e december hai

Kaheen ye sard hawa tumhein bemaar na kar day




Megha kalay , kalay megha

Megha kalay , kalay megha
Kahan kahan bhatkay phirtay ho
Kin sotan bharmaye li tum ko?


Dheela dheela khait gorr k
Aur biyaj pay beej utha k
Sonch rahay they sawan mein na aaye to bhaado aao gy
Door ufaq se aatay to daikha tha hum nay
Aur aakash pay chartay b daikha tha , koi laathi aur langot
Pehan k haank raha tha
Beech dagar mein kahan gaye tum , Kalay megha?
Kon they wo jo taaga bandh k nathni mein
Aur kaheen ko 'hainch' k ly gaye!


Jatay jatay , kalay megha , tum ne neeche daikha tha kya?
Mera gaaon wesay he sookha hai ab tak
Nadi to keech ki bheegi pagdandi lagti hai
Nayya kaisay thelein es mein?
Kunwan undelein nadya mein , ya nadya lawein kunwein k mukh tak
Dono piyasay ik doosray ka mun taktay hein!
Kalay megha


Chakki kya peesay , kya bantay
Aaata ly jata hai banya
'Dhanya' ko cho kar milta hai
'Punya' apni naslein ly kar
Khait ki mendh pay beth gayi hai
Bachay to ghar ki kheti hain , bandhwa rakh k
Joh ki tokri mil jati hai!
'Nain' ka chora baap k sang darya bunta hai
'Roopa' jangal mein sookhi lakri chunti hai


Tain nay ye b daikha ho ga
Shehar ko chapay marnay ki aadat hai , megha
Shehar daketi karay to bachay jaib mein bhar k ly jata hai
Bachay bik jatay hein jaisay rerhi par bhuttay biktay hein


Megha tum bin oonchi aatari daikh k ghan barsaty ho ab
Oonchay paharon ki barfon se kyun ja takratay ho ?
Ye barfein kab pighli hein
In k paon talay se paani behta hai jab
Mere gaon talak aatay aatay kuch log kadalon se
Kaat k ly jatay hein paani!
Mere khait ki piyas nahi jati megha
Kab tak aous ki boondon se mein apni piyasi khaiti senchun?
Megha kalay , Kalay megha!

Barish aati hai to

Baarish aati hai to mere shehar ko kuch ho jata hai

Teen ki chat , tharpal ka chajha , peepal , pattay , parnala

Sab bajnay lagtay hein


Tang gali mein jatay jatay

Cycle ka pahiya pani ki kuliyan karta hai

Baarish mein kuch lambay jo jatay hein qad b logon k

Jitnay ooper hein , Itnay he pairon k neeche pani mein 

Ooper wala tairta hai to neeche wala doob k chalta hai



Khushk tha to rastay mein tak tak chatri tek k chaltay they

Baarish mein aakash pay chatri tek k tip tip chaltay hein!

Barish hoti hai jab

Barish hoti hai jab

To in garay pathar ki deewaron par

Bheegay bheegay naqshay ban'ny lagtay hein

Hichki hichki barish tab pehchani si aik likhayi lagti hai

Barish kuch keh jati hai



Aisa he ashkon se bheega

Ik khat shayad , tum ne pehle daikha ho!

Sardi thy aur kohra tha

Sardi thy aur kohra tha aur

subah ki bas aadhi ankh khuli thi , aadhi neend mein thy

Shimla se jab neeche aatay

Aik pahari k konay mein

Bastay jitni basti thi aik

Batway jitna mandar tha

Sath lagi ik masjid , Wo b locket jitni

Neend bhari do banhon jaisay masjid k meenar

Galay mein mandar k

Do masoom khuda soye they

Aik boorhe jharnay k neeche!

Dono ik sarak k aar paar chal rahay hein hum

   Dono ik sarak k aar paar chal rahay hei hum!

Os taraf se osne kuch kaha jo mujh tak aatay aatay

Raastay k shor o ghul mein kho gaya

Mein ne kuch isharay se kaha magar

Chaltay chaltay dono ki nazar na mil saki



Ose mughaalta hai mein

Oski justaju mein hun

Mujhe ye shak hai ' wo kahin

Wo na ho' Jo mujh se chupta phirta hai!