Monday 29 December 2014

Megha kalay , kalay megha

Megha kalay , kalay megha
Kahan kahan bhatkay phirtay ho
Kin sotan bharmaye li tum ko?


Dheela dheela khait gorr k
Aur biyaj pay beej utha k
Sonch rahay they sawan mein na aaye to bhaado aao gy
Door ufaq se aatay to daikha tha hum nay
Aur aakash pay chartay b daikha tha , koi laathi aur langot
Pehan k haank raha tha
Beech dagar mein kahan gaye tum , Kalay megha?
Kon they wo jo taaga bandh k nathni mein
Aur kaheen ko 'hainch' k ly gaye!


Jatay jatay , kalay megha , tum ne neeche daikha tha kya?
Mera gaaon wesay he sookha hai ab tak
Nadi to keech ki bheegi pagdandi lagti hai
Nayya kaisay thelein es mein?
Kunwan undelein nadya mein , ya nadya lawein kunwein k mukh tak
Dono piyasay ik doosray ka mun taktay hein!
Kalay megha


Chakki kya peesay , kya bantay
Aaata ly jata hai banya
'Dhanya' ko cho kar milta hai
'Punya' apni naslein ly kar
Khait ki mendh pay beth gayi hai
Bachay to ghar ki kheti hain , bandhwa rakh k
Joh ki tokri mil jati hai!
'Nain' ka chora baap k sang darya bunta hai
'Roopa' jangal mein sookhi lakri chunti hai


Tain nay ye b daikha ho ga
Shehar ko chapay marnay ki aadat hai , megha
Shehar daketi karay to bachay jaib mein bhar k ly jata hai
Bachay bik jatay hein jaisay rerhi par bhuttay biktay hein


Megha tum bin oonchi aatari daikh k ghan barsaty ho ab
Oonchay paharon ki barfon se kyun ja takratay ho ?
Ye barfein kab pighli hein
In k paon talay se paani behta hai jab
Mere gaon talak aatay aatay kuch log kadalon se
Kaat k ly jatay hein paani!
Mere khait ki piyas nahi jati megha
Kab tak aous ki boondon se mein apni piyasi khaiti senchun?
Megha kalay , Kalay megha!

No comments:

Post a Comment