Wednesday 24 December 2014

Qitaaa

Talluq to kabhi ka mit chuka par
Tera inkaar baaqi reh gaya hai
Kahani khatam hoti ja rahi hai
Bas aik kirdaar baqi reh gaya hai

Mujh sa kaafir b musalman hua jata hai

Khuwaab sa daikh k hairaan hua jata hai
Jo b aata hai pareshaan hua jata hai

Tera es tor se milna wo sar e bazm e tarb
Khud ba khud pyar ka unwaan hua jata hai

Aik he waqt mein milta hai baray chaao k saath
Aik he aaan mein anjan hua jata hai

Ik tajjalli k muhabbat ki asar angayzi!
Mujh sa kaafir b musalmaan hua jata hai

Shehar e dil jo k munawar tha magar aaj k baad
Kaisi wehshat hai k weeran hua jata hai

Apnay honay ka gumaan jaisay yaqeen banta hai
Tere honay ka b imkaan hua jata hai

Bahar b sanata tha

Apnay aap mein itni gum thi' bahar jhank k daikha jab
Andar to tanhayi thi he, Bahar b sanata tha


21 December aik kaifiyat

Saal ka sab sey chota din!
Aam sa din!
Aam say din se bhi badtar
Haan mujh ko sab yaad hai wo
Es raat mein bhi kuch khanki thy
Aur sard hawa ka mosam bhi
Wo lafz tumhari baton k
Kuch jeeton k kuch maaton k
Jo tum nay kahay, wo marham they
Jo hum nay sunay wo nakhun they
Phir zakhan khulay!
Aur nakhun shad aabad howe
Ab phir se aaziyat taari hai
Haan saal ka sab se chota din
Wo aam sa din
Aam say din se b badtar!!!

Mein kanton par b so jata hun

Mein kanton par b so jata hun ban mein
Ajab sa lutf milta hai thakan mein

Koi shiddat kahan takleef deh hai
Khuda rakhay hamein es bholpan mein

Muhabbat aarzi kya mustaqil kya
Bas ik ehsas hai saray badan mein

Kahin jugnoo, kahin roshan sitaray
Yahi kuch daagh paaye baankpan mein

Ajab hai istaa'ara aaghi ka
K jaisay aag si lagti ho tan mein

Mein tum ko yaad aaoun ga

Qasoor mujh se hua ya khata tumhari hai
Dil o dimagh mein yahi kashmakash si jari hai

Hazaar sukh azal se meri talash mein hein
So kyun rawaan meri aankhon se ashkbari hai

Kayi hawalon se mein tum ko yaad aaoun ga
Wo aik aik ghari sath jo guzari hai

Ye intiha hai mere zarf ki k mein chup hun
Tumharay lafzon ka har waar kitna kaari hai

Khuda wo waqt na laaye jo mujh mein "mein" aaye
Mera sha'aar hamesha se inkisaari hai


Ye umer buhat nakafi hai

Kya pyar karein kya kaam karein ye umer buhat nakaafi hai
Aaghaz karein anjaam karein ye umer buhat nakafi hai

Hum dard k maray apnay liye kya kar bethey kya karna tha?
Ab aur kisay badnaam karein ye umer buhat nakafi hai

Haan sab kuch karna aik taraf aur do din ka guzarna aik taraf
Ik subah ko aao shaam karein ye umer buhat nakafi hai

Tum agar saath chaltay

Manzilein mujh se aa aa k milti galay
Tum agar saath chaltay to kya baat thi


Aaj k din hai oski saalgirah

Chaand nay hans k kaha
Jantay ho!
Phool kaliyon se haseen hai wo shakhs
Jis ko mein janta hun
Jis k hansnay se titliyan tehrein
Jis ki baaton mein jugnuon ki chamak
Jis ki awaz saaz ki awaz
Jis ki muskaan zindagi ka payaam
Jis ki khushbu se rooh mehakti hai
Jis ki aankhein chiraagh hein roshan
jo meri zaat ki jahan panah
Haan! mere jaan o jigar jis k liye
Sharf nigaah
Aaj k din hai oski saalgiraah!!!!!

Dil shikasta hun bad'dua mat lo

Aankh dil ki giyaan mein hai abhi
Roshni imtihaan mein hai abhi

Aik hon gein kabhi guman o yaqeen
Faasla darmiyan mein hai abhi

Soch lenay ka waqt hai socho
Teer choon k kaman mein hai abhi

Dil shikasta hun Bad' dua mat lo
Kis qadar soz taan mein hai abhi

Mein haqeeqat hun koi khuwab nahi

Justaju ka meri hisaab nahin
Bund hota kabhi ye baab nahi

Raaz mujh par ayyan howe tere
Waaye deewangi jawab nahin

Aaj qissa tamam ho jaye
Mein nahi ya mera azaab nahi

Kyun na khayaf hon mujh se ehal e zar
Juz muhabbat mera nisaab nahin

Mujh ko jhutlao gy bhala kaisay
Mein haqeeqat hun koi khuwab nahin

Muhabbat mein bari taqat hai

Kabhi ter asar kabhi apnay asar mein
Kabhi rehta hun Khuwabon k nagar mein

Muhabbat mom ki gurya nahi hai 
Saja lo tum jisay sheeshay k ghar mein

Wafa tasdeeq hai chaalay kaheen daagh
Kamaya hai ye meine umer bhar mein

Muhabbat mein bari taqat hai pyaray
Agar tum aa gaye Es k asar mein

Tumhari jeet ka manzar

Tumhari jeet ka manzar!
Tumhari nargasi ankhon mein pehle se haweda tha
Jo meine daikh rakha tha
Mujhe maloom tha yani...... K mujh ko jeetnay k baad
Mujh ko chor do gy tum
Magar mein chup raha phir b
Ajab si mushkilon mein hun
Magar mein sochta hun jo
Wo tum se keh nahi sakta
Wo sab keh kar
Tumharay bakht ko barbad kar k reh nahi sakta
So ab tum khud he batlao
Tumhari kamyabi par mubarakbaad dun tum ko
Hansoon aur muskuraoun mein
Ya apni badnaseebi par (Jo mujh ko tum ne bakhshi hai)
karhoon , Aansu bahaoun , Rooth jaoun mein
Tumhari jeet ka manzar!
Tumhari nargasi ankhon mein pehle se haweda tha
jo meine daikh rakha tha
Magar mein chup raha phir b
Suno! Mein aaj b khamosh hun jaanaa !!!

Iqraar b , Inkaar b

Tumhari aankhen tumhari shokhi sharab ye b sharab wo b
Tumhari batein tumhari soorat gulab ye b gulab wo b

Kitab kholi tumhara chehra warq warq samnay tha mere
Mein kitni raghbat se parh raha tha kitab ye b kitab wo b

Hmara maahol kuch juda hai, Hamari taleem mukhtalif hai
Hamein to mushkil hein parhna dono nasaab ye b nasaab wo b

Tumharay milnay ka aik imkaan jo ab nahi hai nayi ruton mein
Bhugat raha tha bhugat raha hun azaab ye b azaab wo b

Tumhe nay iqrar b kiya tha, Tumhe nay inkaar b kiya hai
Mujhe to dono he muatabar hein jawab ye b jawab wo b

Silsila

Ishq se daar ka silsila aik hai
Raah se khaar ka silsila aik hai

Jitnay manzar they roshan howe sab k sab
Aankh se pyar ka silsila aik hai

Phool , khushboo, dhanak , roshni, chandni
Mere dildaar ka silsila aik hai

Dil mein ghar kar gaye, Rooh mein bas gaye
Mere afkaar ka silsila aik hai

Go mein jeeta nahi phir b haara nahi
Jeet se haar ka silsila aik hai

Tere dar pay rakha hai

Tanhai ka  sooraj ghar par rakha hai
Mom badan hai aag ko sar par rakha hai

Aik he rasta daikha hai in aankhon ne
Khud ko teri rahguzar par rakha hai

Raat ki qurbani ky baais Qudrat ne
Har din ka aaghaz sahar par rakha hai

Ghoom chuka dil sari duniya nahi sakoon
Es k baad ye tere dar par rakha hai

Shikwa & Jawab e shikwa

"Shikwa"
December hosh kar pagal ye tujh ko kya hua aakhir
Bina barsay chalay jana teri aadat na thy pehle

"jawab e shikwa"
 December ibn e aadam to nahi jo tewar badlay ga
Zara tootay dilon k aanganon mein jhank kar daikho
December khoob barsa hai
Mulaqatein zaroori hein agar rishta nibhana ho zindagi bhar
Ay dost
Laga kar bhool janay se to poday bhi sookh jaya kartay hein
Khushi se jhoom rahi hain kabah ki dewarein
Lagta hai mere aaqa ki wiladat qareeb hai
Ataa dekhi to sirf  "Rab" ki dekhi
Warna kon daita hai kisi ko mehboob apna
Na shouq e deedar ki talab, na fikr e judai
Ufffff
Kitne skaoon se sotey hon gein wo log jo muhabbat nahi kartay