Monday 22 December 2014

Tum sahir ho, Tum jadugar

Tum sahir ho , tum jadugar
Jab chaho tab phool khila do
Jab chaho tab khoon rula do
Jab chaho tab khuwab jaga do
Jab chaho tab neend ura do
Jab chaho tab piyaas barha do
Jab chaho tab piyaas bujha do
Jab chaho tab khushiyan bikhero
Kabhi to mere din b phero
Tum sahir ho , tum jadugar

Qitaa

Ab koi aur silsila kijiye
Faida kya hia kyun gila kijiye?
Aap se aik he guzarish hai
bus hamein pyar se mila kijiye

Mein chal raha hun musalsal

Kabhi safar kabhi zaad e safar nahi milta
Mein chal raha hun musalsal par ghar nahi milta

Khala mein gum hai abhi tak mera hayat kada
Jisay misaal kahein wo nagar nahi milta

Mein khud ko khojta phirta hun aik muddat se
Daroon e zaat ka mehwar magar nahi milta

Mein kyun hun, kya hun, faqat sochta ye rehta hun
Koi jawab mujhe sar ba sar nahi milta

ye kaisi jaa hai jahan dhoop he nahi dhalti
Kahan pay beth k dum lun, shajar nahi milta

Roz aik saaniha dikhata hai

Kijiye ahtisaab ki soorat
Hai yahi inqilaab ki soorat

Jis ki tafheen mujh se ho na saki
Aap hein es kitaab ki soorat

Roz o shab talkhiy e hayat ko mein
Pee raha hun sharab ki soorat

Hum to khud he gurez kartay hein
Warna niklay jawb ki soorat

Roz aik saaniha dikhaat hai
Aaina hum ko khuwab ki soorat

Raasta badalnay se manzilein nahi milti

Shouq bus nahi kaafi kamyabi panay ko
Hoslay b rakhna tum kashtiyan jalanay ko

Raasta badalnay se manzilein nahi milti
Aik rasta rakhna manzilon tak aanay ko

Ik jawaz to dy do mujh ko chornay ka tum
Log mujh se puchein gein kya kahun zamany ko

Khud parast they dono warna yun nahi hota
Rok tum b saktay they mein agar tha janay ko

Doston ko thukrana ye nahi mera sheva
Shart mukhlisi hogi aao azmanay ko

Bara gumaan tha mujh ko wafaon pay apni

Khushi kabhi b hamesha kisi k paas nahi rehti
Meri hansi se na samjho k mein udaas nahi

Bara guman tha mujh ko wafaon pay apni
Tumharay shehar mein koi wafa shanas nahi

Ye rang o noor ye mehfil ye doston ka hajoon
Tere bagher koi cheez mujh ko raas nahi

Ajeeb dor se guzra hoon mein tumhein kho kar
K zindagi ki mujhe aur koi aas nahi

Munafqat ka libada pehan k tum khush ho
Khayal khaam hai ye to koi libaas nahi

Aik sher

Ab aa gaya hun isi raah par k jis pay kabhi
Faseel khulti na thi, janay kaisay dar aaya

Jo baat hamesha rehti hai

Chubti hai jo baat hamesha rehti hai
Es uljhan mein zaat hamesha rehti hai

Tu jo mere sath hamesha rehti hai
Rangon ki barsaat hamesha rehti hai

Aankhon mein sapnay rehtay hein dil mein dard
Khuwabon ki soghaat hamesha rehti hai

Go tanha he rehta hun mein mehfil mein
yaadon ki baraat hamesha rehti hai

Sab kuch theek ho phir b dharka rehta hai
Jeet b ho to maat hamesha rehti hai

Din mein sooraj nikla b to nikla ho
Mere dil mein raat hamesha rehti hai

Jab tum jatay ho to phir mien sochta hun
Kehnay wali baat hamesha rehti hai

Kisi ko jeet bari hai

Go ehmiyat ki nahi baat, par hai baat bari
Kisi ko jeet bari hai kisi ko maat bari

Abhi kuch b nahi bigra

Abhi to phool khiltay hein
Abhi khushboo mehakti hai
Parinday aashiyano ko
Abhi pehchan saktay hein
Urano se thakein b to!
Kahin ruk kar!!!
Naye phir ik safar ki thaan saktay hein
Meri maano!
parindo ki tarah tehro
Naye phir ik safar pay tum ko jana hai
So! jana to tumhe ko hai
Phir es se kya gharz hai ab k mosam mein
Kahan jao?
Jahan b jao gy kuch mushkilein darpesh aayein gi
Kabhi sehra kabhi darya
Yahi qanoon e qudrat hai
Abhi kuch nahi bigra !

Hum ko jeene ka sahara kuch to ho

Zindagi ka istiaara kuch to ho
Hum ko jeene ka sahara kuch to ho

Aapko darya mubarak aur mujhe
Aik chota sa kinara kuch to ho

Ishq wehshat aur junoon sab mujh mein hein
Aap ko lekin gawara kuch to ho

Ik meri faryad se ho ga b kya?
Aap ne dil se pukara kuch , to ho

Kaash chashm e lamhaye mojood mein
Khuwab ho saray ka sara, kuch to ho

Tujhe badanam karnay aa gaya hun

Muhabbat aam karnay aa gaya hun
Ye dil neelaam karnay aa gaya hun

Mein apni zaat k saray hawalay
Kisi k naam karnay aa gaya hun

Shikasta hun magar aik aur koshish
Dil e nakam karnay aa gaya hun

Muqabil aa gaya hun Khud he apnay
Tujhe badnaam karnay aa gaya hun

Hum mein koi b bawafa hota

Saari duniya se yun nahi milta
Es se mera junoon nahi milta

Ro chukay hein k ab to ronay ko
Aik qatra b khoon nahi milta

Jab talak tum ko daikh lun na mein
Mere dil ko sakoon nahi milta

Tum nay manga nahin kabhi mujh ko
Mein tumhara tha kyun nahi milta?

Saari duniya ki baat choro tum
Tum se kaise kahun nahi pata

Hum mein koi b bawafa hota
Masla joon ka toon nahi milta

Junoon

Sarab khuwab ki barhti howi lagan k liye
junoon ki aag lapaknay lagi badan k liye