Tere galay mein jo banhon ko daal rakhtay hein
Tujhe mananay ka kaisa kamaal rakhtay hein
Tujhe khabar hai tujhe sochnay ki khatir hum
Buhat se kaam muqaddar pay taal rakhtay hein
Koyi bhi faisla hum soch kar nahin kartay
Tumharay naam ka sikka uchaal rakhtay hein
Tumharay baad ye aadat si ho gayi apni
Bikhartay sookhtay pattay sanbhal rakhtay hein
Khushi si milti hai khud ko aziyatein day kar
So jaan boojh k dil ko nidhaal rakhtay hein
Kabhi kabhi wo mujhe hans k daikh laitay hein
Kabhi kabhi mera bay had khayal rakhtay hein
Tumharay hijar mein ye haal ho gaya apna
Kisi ka khat ho ose bhi sanbhal rakhtay hein
Khushi milay to tere baad khush nahin hotay
Hum apni aankh mein har dam malal rakhtay hein
Zamanay bhar se bachaa kar wo apnay aanchal mein
Mere wajood k tukray sanbhaal rakhtay hein
Kuch es liye bhi to bay haal ho gaye hum log
Tumhari yaad ka bay had khayal rakhtay hein
No comments:
Post a Comment