Saturday, 20 December 2014

qitaah

Apni zaat ki khayi hoti hai aur bas!
Tanhai tanhai hoti hai aur bas!
Oski aankhein daikhi tab ye jaan saka
Jheelon mein gehrayi hoti hai aur bas!

Yahi aik rasta baqi raha hai

Yahi aik rasta baqi raha hai
So meine khud ko tanha kar liya hai

Ye tanhai b kitni naram dil hai
Khulay dil se mujhe apnaa liya hai

kabhi b tum na samjho gy meri baat
So meine khud ko he samjha liya hai

Mere ehsas se tere yaqeen tak
Faqat alfaaz he ka faasla hai

Khushi afsos dono aik se hain
Mera adraak in se barh gaya hai

Gurezaan khuwab se hota nahin mein
Magar tabeer ne larza diya hai

Koi kaali ghata si cha rahi hai

Koi kaali ghata si cha rahi hai
Meri tashweesh barhti ja rahi ahi

Wahin halaat hain, lagta hai tareekh
Phir apne aap ko duhra rahi hai

Bhulaye ja rahay hein apna maazi
Hawa har naqsh ko dhundla rahi hai

Meri ankhon ki dhundli khirkiyon par
Judai ki ghari pathra rahi hai

Ye kya mosam mujhe sonpa hai tum ne
Udasi he udasi cha rahi hai

Nihayat

Hamaray darmiyan rehte howe b
Tujhe ehsas he na ho
So mumkin hai
mere jazbay
Tere mayar ko ab tak na punchay hon
Meri yak tarfa chahat he sahie!
Lekin yahi jazbay meri ab tak nihayat hein 

Andar andar soch raha tha qurbani se pehle

Andar andar soch raha tha qurbani se pehle
Kitni bojhal khamoshi thy tughyani se pehle

Tum ne ja kar dil basti ka rasta khol diya tha
Warna har soo abadi thy verani se pehle

Apni hifazat aise karna, jaise sucha moti
Daikho maand nahi par jana tabani se pehle

Saari batein wesi kyun hon jaisi hum chahein
Mushkil b to aa sakti hai asani se pehle

Es ne mujh se pyar kaha tha, sarshari ka pyar
Mujh mein koi chonk gaya tha hairani se pehle

Tu b pyar kar mujh ko

Yahi nahi hai k tu ghamgusaar kar mujh ko
Ba qadr e zarf e muhabbat shumar kar mujh ko

Mein chahta hun k ik baar kaash aisa ho
K tu junoon ki tarah ikhtiyaar kar mujh ko

Mein toot kar kabhi bikhroon samet ly mujh ko
 Hayat phir se nayi dy sanwaar kar mujh ko

Ye zindagi k musalsal khizaan hai tere bagher
So do qadam he sahie chal bahaar kar mujh ko

Mere junoon ka yaqeen kar mujhe to ye b buhat hai
Ye arzoo he nahi tu b pyar kar muh ko

Andesha

Muhabbat dard hai!!!
Aur dard b aisa jo meri jaan ly ly ga
Tumhein ehsas honay tak
Mein kaisay rok sakta hun
K ye to laa dawa hai... So
Tumhein hogi khabar jab tak, to ye he dukh
Tumhari zeest se jeenay k sab saman ly ly ga
Muhabbat dard hai!!!
Aur dard b aisa jo meri jaan ly ly ga
Tumhein kaisay bataoun kin dukhon se mein guzarta hun
Ana ko maar daina kis qadar dushwaar hota hai
Tumharay waastay
Har roz apna khoon karta hun
Tumhein es dard ka halka sa b ehsas ho jaye
To phir ye dukh!!!
Tumharay surkh honton se har aik muskan ly ly ga
Muhabbat dard hai!!!
Aur dard b aisa jo meri jan ly ly ga
Suno! aisa na ho k tum b mujh se hath dho betho
Suno! aisa na ho k rastay mein khud ko kho betho
Suno! k rastay mein to buhat se log miltay hein
Suno! k un ginnat logon ko khud hum chor daitay hein
Kisi imkaan ki khatir
Mujhe dar hai yaqeen ki "ja" koi imkan ly ly ga
Muhabbat dard hai!!!
Aur dard b aisa jo meri jaan ly ly ga

Muhabbat ki koi manzil nahi hai

Samandar hai magar sahil nahi hai
Muhabbat ki koi manzil nahi hai

Mein andekhay Jazeeron pe nikal kar
Dikha doon ga koi mushkil nahi hai

Nazar aata hai ye kuch tamasha
Ye mehfil to meri mehfil nahi hai

Mein kab se day raha hoon khud ko dhoka
Meri dharkan mein tu shamil nahi hai

Saraabi khuwaeshein ly doobti hein
Tammana ka koi hasil nahi hai

janay aisa kyun hota hai

Janay aisa kyun hota hai
Dard ko sehta rehta hoon mein
Apnay andar raakh ki soorat
Jalta aur sulagta hoon mein
Mubhim se ik khuwab ki manind
Toot'ta aur bikharta hoon mein
Mere hissay ki tareeki
Mere bakht mein shamil ho kar
Har manzar dhundla daiti hai
Soch ki har simt achanak
Ik nuqtay par aajati hai
Aur wo nuqta phel k saari
Umeedon ko kha jata hai
To mein es dam aajiz aa kar
Peshani jhuka daita hoon
Ro daita hun
Mujh mein aas jaganay wala
Es ik pal k khali pan ko
Rafta Rafta bhar daita hai
Apni karamat kar daita hai
Apni sift ki aik tajjali
Mujh par zahir kar daita hai
har gham se mamoor mera dil
Khushyon se mayus mera dil
Roshan Roshan ho jata hai
Phir se zinda ho jata hai
Aksar aisa he hota hai

Kuch b nahi

Koi jawab na koi sawal kuch b nahi
So mere zakhan ka ab andy e maal kuch b nahi
Tumharay baad mere pass kya bacha tha bhala
Na aaina na mere khadokhaal kuch b nahi

Mein aur kuch b nahi 2

Meri yaadasht se kharedari ki khushi mein waqiya waqti tor par mehw ho gaya tha lekin raat sonay se pehle walid ne mujh se kaha... Beta .. Jantay ho asal mein bara aadmi kon hota hai miene nafi mein sir hila diya to unhon ne kaha haqeeqi bara aadmi wo hota hai log jiski izzat es ki dolat ya ikhtiyaraat ki waja se nahi kartay balkeh wo logon k dilon mein rehta hai.....Es ka hukam logon k dilon par chalta hai mujhe inki baat samaj to nahi aayi magar pata nahi kyun , Achi zaroor lagi
                         Phi aahista aahista mujhe es baat ki samaj aanay lagi. Han agar aap logon k dil mein jaga bana sakein to apki ehmiyat hai warna nahin. Tab meine daikha k ziyada tar log likhne parhne walon ko pasand nahi kartay hein, So meine b parhna shorou kar diya. Qudrat ki meharbani se mujhe kuch is tarah k logon ka sath b naseeb ho gaya k jo danishwar to nahi lekin es qabeelay se talluq rakhtay they, In mein sab se pehle mere walid jo mere buhat achay dost b hein Phir adnan tabish jo ab kisi akhbar se wabasta hein pehle sher kehtay they magar phir najanay kyun sher goi tarak kar di.Jameel haider zaidi Jin ko mein kabhi faramosh nahi kar sakta unhon ne mujhe hamesha aik baray bhai aur mukhlis dost ki haisyat semeri har maamlay mein rehnumayi ki, Khud b baray achay sher kehte hein, Meri bunyadi Insiration inhe se hai, Phir Zia Khan Zia maroof shayer jin se hamesha nayaz mandi rahi in ki b muhabbat aur khuloos ne mujhe na sirf hamesha qeemti mashwaron se nawaza balkein hata ul imkan madad b ki, Inhi k tawasut se kehna shayer muhtaram rafi ud din raaz se mulaqatein howi. rafi ud din raaz se kabhi kabhi islaah aur pazerayi milti rahi . Yun mera shouq apni irtaqayi manazil teh karta raha aur aaj mein ALLAH ki meharbani aur deegar doston ki hosla afzayi ki waja se es kitab ko mukammal karnay mein kamyaad ho saka hun (Shakeel Ahmad)

Mein aur kuch b nahi

Ye in dino ki baat hai jab abhi mujhe likhna b nahi aata tha, Meri dadi jab b mujhe likhte parhte daikhtiein to wo aksar kaha karti k mera beta "Bara aadmi banay ga" wo parhi likhi nahi thein. magar  najanay kyun in k shaoor la shaoor mein ye baat thy k inhein apnay potay ko bara aadmi banana hai. aksar ye jumla in k mun se sun kar mein ne aik din in se poocha tha k bara aadmi kaisa hota hai.Inkay khayal k mutabiq bara aadmi wo hota hai jis k aagay peeche buhat se log hotay hein jo es ka hukam mantay hein aur wo buhat  paisay aur ikhtiyaraat wala hota hai.
         Mere zehan mein baray aadmi ki aik ajeeb c tasweer ubharnay lagi. Phir aik roz yun hua k mein apnay walid k sath eid ki kharedari karnay bazaar gaya wahan meine daikha k aik police ahalkaar safaid coton  mein malboos saada libaas mein, hath mein baid liye rerri walon par hukam chala raha hy,  kisi ko aagay aur kisi ko peeche rehne k liye keh raha hai, aur kuch log tamasha daikhne ki gharz se es k ird gird kharay ho gaye hein, mein b isay tiktaki bandhe daikhne laga.mere tasawur k mutabiq baray aadmi se es ahalkaar ki shabeeh match kar rahi thi shayad es liye mien esay daikhnay mein aisa meh huw k walid sahib kisi aur taraf chalay gaye aur mein whain khara raha kafi dair k baad wo mujhe talssh kartay hue aaye to mein es waqt b es ahalkaar ko he daikh raha tha, mujhe nahi maloom wo mujhs e kab se mukhatib thay jab unhon ne mujhe bazoo se pakar kar jhanjhora to jaise mein hosh mein aaya. unhon ne hairat aur qadray ghussay se mujh se poocha..... Kya baat hai kahan kho gaye ho shayad kafi dair guzar chuki thi. mere walid sahib ne mere andaz ko bari ahmiyat di aur mujhe aik hotal ki taraf le gaye.kyun k ab roza khulnay ka waqt ho chuka tha unhon ne chand khajoorein aur pakoray liye aur mere  paas foothpath par he baith gaye aur poochnay lagay k mein kya daikh raha tha to meine baray aadmi wali baat inhein batayi, mujhe yaad hy wo dair tak hanstay rahay magar unhon ne kuch kaha nahi phir hum shopping mukammal kar k ghar aaa gaye.(Shakeel Ahmad)