Monday 8 December 2014

Sab badal jatay hein

Na muhabbat na dosti!!! hamein kuch raas nahi
Sab badal jatay hien
Hamaray dil mein jaga bananay k baad

Rooth janay k

Hum puranay ho chukay oski nazar mein dost
Ab wo bahanay dhoondta hai hum se rooth janay k

Shayad hamein he nahi aaata dilon mein ghar karna

Nahi hai shikwa tere tarz e tagaffal se
Shayad hamein he nahi aata dilon mein ghar karna

Khuwab

Bus shukar ye kehna tha es nazar e karam ka pyary
Khuwab mein milay ho aur kya khoob milay ho

Yadein

Apni tamam yadein mere pass chor di tum ne
Tum thiek tarah se mujh ko tanha b na kar sakay

Kyun muskurati ho

Kyun muskurati ho es tarah zalim
Tumhen daikh kar dil tarap sa jata hai

Mera hath jal gaya

Kisay yaqeen ho ga kis se ja k kahun
Ik bujhe chiragh se mera hath jal gaya

Tark e muhabbat

Ye kaheen tak e muhabbat ki ibtida to nahi
Wo mujhe es qadar kabhi yaad to nahi aaya

Mein aayina tha

Mein aayina tha wo mera khayal rakhti thi

Wo raaz duniya apr aayan hua

Ye kaisa zulm o sitam ay janasheen. Hum par giraan hua
Jo na tha hum mein tum mein kabhi wo raaz duniya par aayan hua

Dastak dy ga

Raat phir aaye gi phir zehan k darwazay par
Koi mehangi mein rangay hath se dastak dy ga

Raat hai aur teri yaadon ka tasalsul

Raat hai aur teri yadon ka tasalsul itna
K neend aaye b to bura lagta hai


Niagahein bolti thein

Wo chup rehta tha magar nigahein bolti thien
Kuch log khamosh reh kar b dil jeet jatay

Meri khud dariyan tujhe kho dain gi

Mein janta hun meri khud dariyan tujhe kho dain gi
Magar mein kya karun mujhe mangnay se nafrat hai

Pyar aisa b hota hai

Chupkay se lekar naam tera guzar dain gein zindagi
Bekhabar zamanay ko bata dain gein k pyar aisa b hota hai

Meri muhabbat

Jis din karay ga yaad meri muhabbat ko
Buhat roye ga khud ko bewafa keh kar

Bhool jana mushkil hai

Tujhe zindagi bhar yaad rakhnay ki qasam to nahi li
Par ik pal k liye tujhe bhool jana b mushkil hai