Sunday, 28 December 2014

Kabhi aana paharon par

Kabhi aana paharon par
Dhuli barfon k namday daal kar aasan bichaye hein
Paharon ki dhalano par buhat se janglon k khaimay khainchay hein
Tanabein baandh rakhi hein kayi devdar k mazboot pairon se
Palaash aur gul muhar k, hathon se kaarhay hue takiye lagaye hein
Tumharay raston par chaon chirki hai
Mien badal dundta rehta hun
K gehri waadiyan khali nahi hoti
Ye chilman barishon ki b utha dun ga ' jab aao gy


Mujhe tum ne zameen di thy
Tumharay rehne k qaabil yahan ik ghar bana dun mein
Kabhi fursat milay jab baaqi kamon se to aa jana
Kisi weekend par aa jao!!!

Thiek se yaad nahi

Thiek se yaad nahi
France mein 'bordu' k pas kahin
Thori si dair rukay they
Chotay se qasbay mein, aik chota sa lakri ka girja
Samanay "Aaltar k" bench tha
Aik he shayad

Bheer uthaye hue ik eesaa ki chobi moorat!
Logon ki shamon se
paon kuch jhulsay hue
Pighli hui mom mein kuch doobay hue
Jisam par mekhein lagi thi
Aik kandhay par thi , jorr jahan khulnay laga tha
Aik nikli hui pehlu se jisay bheer ki taang mein se thok diya tha
Aik kohni k zara neeche jahan toot gayi thi lakri
Gir k shayad
Ya safai kartay hue!

Duayein phoonktay rahay

Khayal ko wajood dy k , es ko dhoondtay rahay
Wajood jo khayal tha!
Duayein phoonktay rahay, dhuein mein hum
K aag k lipat uthey to tham lein
Osay tumhara naam dain

Paharon ki ghufaon mein 
Kisi nay justaju jala k rakhi thy
Aur intizar k liye
Samay ki intiha hata k rakhi thy
Ibadatein tarashin pathron pay aur ghar bana liye khayal ki panah k liye
bus aik umeed k gunah k liye!

Tamam shab jali hai shama hijar ki
Umeed b bachi hai to bas itni
Jitni aik baanjh ki kokh ko umeed ho!!

jazbaat

Log lehjon mein chupa laitay hein jazbaat apnay

Ankhein parhnay ka hunar seekhna zaroori hai



Jaal

Waqt jaisay khalaa mein tehra tha

Sab he aa aa k es mein phanstay rahay

Jaal goya koi sonehra tha


************************************


Muahabbat

Muahabbat b to ik aatish fishan hai

Ye phat'ta hai to phir es se nikalnay wala laawa

Dilon k beech behta hai

Ye laawa aankh se ho kar guzarta hai

Jahan jata hai ye

Jalnay ki shiddat aur barhti hai

Muhabbat aur barhti hai

Yahi laawa kabhi jab sard parta hai

Zameen dil ki bari zarkhaiz kar daita hai es dam

Magar phir b tapish eski

Hamesha baaqi rehti hai


Mere andar ka insaan dar gaya hai

Marwat mein tere dar par gaya hai
Wagarna kon kis k ghar gaya hai

Hawadas zindagi mein aisay aaye
Mere andar ka insaan dar gaya hai

Ye kya munsif hein? kaisay faislay hein?
Jahan katni thy ungli , sar gaya hai

Ghulami khuwaishon ki kar rahay hein
Zamana kya taraqi kar gaya hai

Intibah

Kaha nahin tha
K meri aankhon ki putliyon mein
Jo khuwab hein aagahi k
Inhein na chero
Wo khuwab daikho bikhar gaye hein
Kaha nahin tha
K maan jao
Ana ka jangal buhat ghana hai
Jo es mein bhatka wo phir na louta
Suno! darinda e tawaqo
Mein apni masoom khuwaishon ko
Khud apnay hathon se maar dun ga
Mein tum se kuch b nahi kahun ga
Kaha nahi tha!
Dabi howi raakh na koredo
K mera maazi jali hui raakh he hai jaana!
Jo ooper se bujh gayi hai
Magar tapish eski ab b aisi k jis ki hiddat
Har aik munjamid ko jala k rakh dy
Kaha nahi tha!
K aarzuein nahi jagao
Yahan pay kya hai, k jis ko keh dein
K es par hamari dastaras hai
Na khuwab he aur na he haqeeqat
Jo khuwab diakhay bikhar gaye hein
Wo khuwab nasoor ban gaye hein
Kaha nahi tha!
K khuwab zindagi hein
To mere khuwabon se tum na khelo
So tum ne ye b kabhi na socha
k Aagahi k azaab b hein
Jo rog hein zindagi k
Wo khuwab he hein
K ab basarat to chin gayi hai
Magar chand khuwba reh gaye hein
So ab mujhe in bay basarat aankhon mein khuwab rakh kar b kya milay ga?

Bhool jaoun ga agar zinda raha

Jaz tere phir kon tabinda raha
Haan muhabbat ki to mein zinda raha


Aur kya karta bajaz maaafi talab
Apni nadani pay sharminda raha


Jao meine kar liya wada tumhein
Bhool jaoun ga agar zinda raha

Dard

Mein ne kab mehsoos kiya tha itna meetha meetha dard
Dil k andar tuj se pehle dil k andar tere baad
Mujh ko to bynoor lagay hein chahay jitnay roshan hon
Saaray manzar tujh se pehle saaray manzar tere baad

Buaht masoom hein tumhari aankhein

Jahan mein dhoom hein aankhein tumhari
Buhat masoom hein aankhein tumhari

Mein in ko diakh k pathra gaya hun
Bari maghmoom hein aankhein tumhari

Kahan dhoondhun? mein khud ko janta hun
Mujhe maloom hein aankhein tumhari

Ye duniya aik taraf, tum ik taraf
So kab maadoom hein aankhein tumhari

Mein jo kuch sochta hun sab hai in mein
Mera mafhoom hein ankhein tumhari

Qitaa

Meri har baat ki nafi kar k
Faislon mein daraar dali hai
Mujh ko bas rad nahi kiya tum nay
Meri hasti bigaar dali hai



Kya mera haal poochtay ho tum

Kya mera haal poochtay ho tum?

Kya bataoun mein dil ki bat tumhein?

Mustakil aik azaab hai, mein hun

Meri aankhon mein khuwab hai, mein hun

Khuwab ka aik he hawala hai

Jo mere jisam se hai rooh talak

Ab meri rooh mere jisam k sath

Khel karnay pay utar aayi hai

Khuwab

Pathron mein gulab rehta hai
Meri aankhon mein khuwab rehta hai


Kaaran

Sabhi kuch hai yahan par!
Magar ik tum nahi ho
Tumharay aik na honay k kaaran
Yahan kuch b nahin hai

talaash

Neelgun aasman ki wussat hai
Aur apni talaash mein hun mien


bari ulfat se nafrat poochta hai

Bari ulfat se nafrat poochta hai
Wo tanhayi ki babat poochta hai

Nahin kehta hai dil ki baat apni
Meri mujh se nihayat poochta hai

Mein chahun b to es ko kya bataoun
Muhabbat ya marwat poochta hai

Meri aankhon mein parh k azam o himmat
Mere jazbon ki nisbat poochta hai

Kabhi rehta hai mujh se pehron shaaki
Kabhi mujh say shikayat poochta hai

Shakeel es aadmi ko yaad rakhna
K jo waqt e zaroorat poochta hai

Qitaa

Zindagi ki gaari kok khud dhakail sakta hun
Aaayein jitany gham sab he jhail sakta hun
Ye b dhiyan mein rakhna tum agar khilaari ho
Mein b aik khilaari hun mein b khel sakta hun

Khamoshi

Chup k parday mein khari khamoshi
Raat se khoob lari khamoshi

Aag nas nas mein piro day gi ye
Apni zid pe jo arri khamoshi

Chup zehar phel gaya ang ang mein
Dard raton se bari khamoshi

Aag lafzon mein zehar lehjay mein
Kis nay daikhi hai karri khamoshi

Mujh ko lagta hai k ab ro day gi
Aik konay mein pari khamoshi

Samandar jheel kaisay ho

Khalaa nazdeek aa poucha hai ab to
Ye duniya b simat'ti aur sukarti ja rahi hai
Mein hun aik tashna lab sehra
Aur tum aik samandar ho
Bhuja do piyas ko meri!
Kabhi milnay ko aao to!
Tumhara sab namak aur har kasafat jazab kar lun mein
Tumhein wapis na janay dun
Tumhein tabdeel kar dun mein
Samandar jheel kar dun mein
Nahi ho tum to khud socho
Meri takmeel kaisay ho 
Samandar jheel kaisay ho

Mukhtasir nazmein

Roshini ki daleel kya hoti?
Zindagi k liye jo mangi gayi!!!
Aur koi sabeel kya hoti?

********************

Aik safar se aaya hun aur aik safar ko jana hai
Kuch arsa to sath chalo
Phir to sab ko apni apni rah guzar par jana hai

**********************

Dil k andar chor
Mere andar jaag utha hai
tanhayi ka shor


*************************

Tum ho meri jaan

Tum ho meri jaan
Saath tumharay rehna chahun
Aik yahi armaan



kantay aur babol
Tum bin mera jeevan jaisay
Sehraon mein dhool



Chodveen raat ka chand
Jab se tum ko daikha jaana!
Mujh ko laga hai maand!


Jaan tum par nisaar kar dekhein

Hum andheray se pyar kar dekein
Aao phir aitebaar kar dekhein

Zindagi kitni khubsurat hai
Zindagi ko guzar kar dekhein

Tere inkaar par nahi moqoof
Jeet ko aaj haar kar dekhein

Zakham gin'nay se laakh behtar hai
Chahton ka shumar kar dekhein

Es se tum ko yaqeen aajaye
Jaan tum par nisaar kar dekhein

Qitaa

Khayal e yaar meinhum zeest guzaray howe log
Ajeeb zakham banay jaan se pyaray howe log
So es k dar k siwa aur koi dar he nahin!!
Bata k jayein kahan dard k maray howe log