Saturday 3 January 2015

Ilm hasil karnay k liye safar karna

Hazrat qaseer bin qais (Razi ALLAH taala unho) nay farmaya k mein hazrat abu darda 
(Razi ALLAH taala unho) k saath damishq ki masjid mein betha tha to aik aadmi nay aakar
kaha k aye abu darda by shak mein rasoollALLAH (Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam)
k shehar madina taibah se ye sun kar aaya hun k aap k paas koi hadees hai jisay aap rasool
(Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) se riwayat kartay hein aur mein kisi doosray kaam
k liye nahi aaya hun. Hazrat abu darda nay kaha k mein nay rasool e kareem
(Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) ko farmatay howe suna hai jo shakhs ilm (deen)
 hasil karnay k liye safar karta hai to khuda taala isay jannat k raaston mein se aik raastay
par chalata hai aur taalib e ilm ki raza hasil karnay k liye farishtay apnay pardon ko bicha daitay
hein aur har wo cheez jo aasman o zameen mein hai yahan tak k machiliyan pani k andar
aalim k liye dua e astaghfaar karti hein. aur aalim ki fazeelat aaabid par aisi hai jaisi chodween
raat k chaand ki fazeelat sitaron par. aur ulmaa e anbiya e karaam k waaris o janasheen hein
anbiya e karaam ka tarka deenar o dirham nahin hein. unhon ne warasat mein sirf ilm chora hai
to jis nay isay hasil kiya es nay poora hissa paya (Tirmizi , Abu daud , Mishkaat)

Aabid par aalim ki fazeelat

Hazrat abu amama baahli (Razi ALLAH taala unho) se riwayat hai unho nay farmaya k
rasool e kareem (Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) k samanay do aadmiyon ka zikar
kiya gaya. aik in mein se aabid tha aur doosra aalim , to sarkar e aqda 
(Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) nay farmaya k aabid par aalim ki fazeelat aisi hai jaisay
k meri fazeelat tumharay adna aadmi par. phir hazoor (Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam)
 nay farmaya k logon ko bhalayi sikhanay walay par khuda e taala rehmat naazil 
farmata hai aur es k farishtay neez zameen o aasman k rehnay walay yahan tak k
cheeyuntiyan apnay sorakhon mein aur machliyan (pani mein) es k liye dua e khair
karti hein (Tirmizi , Mishkaat)

Ilm kya hai

Hazrat Muhammad bin sereen (Razi ALLAH taala unho) se riwayat hai unho nay farmaya k 
ye ilm (yani quran o hadees ko jaan'na) deen hai lehaza tum daikh lo k apna 
deen kis se hasil kar rahay ho (Muslim , Mishkaat)

Ilm ka hasil karna

Hazrat anas (razi ALLAH taala unho) nay farmaya k rasool e kareem 
(Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) nay farmaya k ilm ka hasil karna har musalman 
mard o aurat par farz hai aur na ehal e ilm ko sikhanay wala aisa hai jaisay
khinzeer yani soor k galay mein jawahiraat ' moti aur sonay ka haar pehna diya ho
(Ibn e maaja , Mishkaat)

Baad hamd e ilahi k behtreen raasta

Hazrat jabir (Razi ALLAH taala unho) nay kaha k sarkar e aqdas 
(Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) nay (ghaliban  aik khutbay mein) farmaya. Baad 
Hamd e ilahi k maloom hona chahye k sab se behtar kalaam kitab ALLAH aur behtreen
raasta Muhammad (Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) ka raasta hai aur bad tareen
cheezon mein wo hai jisay nikaala gaya aur har bid'dat gumrahi hai (Muslim , Mishkaat)

Sunnat agar khatam hogayi ho

Hazrat bilal bin haris mazni (Razi ALLAH taala unho) se riwayat hai k unho ne kaha k
sarkar e aqdas (Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) nay farmaya k jis ne meri kisi aisi
sunnat ko  (logon mein) raaij kiya jis ka chalan khatam ho chuka ho to jitnay log es par
amal karein gein in sab k barabar raaij karnay walay ko sawab milega aur amal karnay
walon k sawab mein kuch kami na hogi . aur jis ne koi aisi nayi baat nikali jo saiyya hai
jisay ALLAH aur rasool (Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) pasanad nahi farmatay
 to jitnay log es par amal karein gein in sab k barabar nikaalnay walay par gunah hoga aur 
amal karnay walon k gunahon mein kuch kami na hogi (Tirmizi , Mishkaat) 

Sunnat aur Bid'dat

Hazrat abu hurairah (Razi ALLAH taala unho) nay kaha k rasool e kareem
(Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) nay farmaya k jo shakhs meri ummat mein
(amli ya aiteqadi) kharabi paida honay k waqt meri sunnat par amal karega
es ko so(100) shaheedon ka sawab milega. ((Mishkaat)
Client ID: ca-pub-4413449750688040

Bad mazhab agar bimaar ho jayein

Hazrat abu hurairah (Razi ALLAH taala unho) nay kaha k sarkar e aqdas 
(Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) nay farmaya k bad mazhab agar bimar parr jayein to 
inki ayadat na karo. agar mar jayein to in k janazay mein shareek na ho' in se mulaqaat ho to inhein salam na karo' in k paas na betho ' in k saath pani na piyo ' in k saath khana na khao ' in
k saath shadi biyah na kro ' in k janaza ki namaz na parho ' aur na in k saath namaz parho (Muslim shareef)

Bad mazhab ka deen se nikal jana

Hazrat huzaifa (Razi ALLAH taala unho) se riwayat hai k unho nay kaha k rasool e kareem
(Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) nay farmaya k khuda e taala kisi bad mazhab ka na 
roza qabool karta hai na namaz na zakaat na hajj na umrah na jihad na nafal na farz. 
Bad mazhab deen se aisay nikal jata hai jaisa k ghoondhey howe aatay se baal nikal
jata hai (Ibn e Maaja)

Bad mazhab dozakh walon ko kehte hein

Hazrat abu amama (Razi ALLAH taala unho) nay kaha k rasool e kareem
(Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) nay farmaya k bad mazhab dozakh walon ko
kehte hein (Daar qatni)

Bad mazhab ko dushman samjho

Hazrat anas (Razi ALLAH taala unho) se riwayat hai k unhon nay kaha k sarkar e aqdas
(Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) nay farmaya k jab tum kisi bad mazhab ko daikho
to es k samnay turush royi se paish aao. es liye k Khuda taala har mazhab ko dushman 
rakhta hai (Ibn e asakar)

Bad Mazhab

Hazrat ibrahim bin maisara (Razi ALLAH taala unho) nay kaha k rasool e kareem 
(Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam)  nay farmaya k jis nay kisi bad mazhab ki 
Taazeem o touqeer ki to es nay islam k dhanay par madad di (Mishkaat)

Gumraah aur firqa

Hazrat abu hurerah (Razi ALLAH taala unho) se riwayat hai k rasool e kareem 
(Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) nay farmaya k Aakhri zamanay mein (aik groh) fareb
 dainay walon aur jhoot bolnay walon ka hoga wo tumharay samnay aisi baaten laayein gein jin ko na tum nay kabhi suna hoga na tumharay baap dada nay. To aisay logon se bacho
aur inhein apne qareeb na aanay do taa k wo tumhein gumraah na karein aur fitnay mein na
Daalein (Muslim , Mishkaat)

Seedh Raasta

Hazrat abdullah bin masood (Razi ALLAH taala unho) nay farmaya k sarkar e aqdas
(Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) nay hamein samjhanay k liye aik seedhi lakeer
khenchi phir farmaya ye ALLAH azawajal raasta hai phir isi seedhay khat k daayen
baayen aur chand lakeerein khench kar farmaya ye bhi raastay hein. in mein se har aik
raastay par shetaan betha hua hai jo apni taraf bulata hai . phir hazoor 
(Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) nay aayat tilawat farmayi (tarjuma) yani ye mera seedha raasta hai to isi par chalo aur doosri rahon par na chalo k wo tumhein es seedhi raah se
juda kar dein gi. (Ahmad , Nasayi , Daarmi , Mishkaat)