Tuesday 3 February 2015

Gham ki es sil ko kabhi bhi samaj na paye gi (wasi shah)

Gham ki es sil ko kabhi bhi na samaj paye gi
Tu mere dil ko kabhi bhi na samaj paye gi

Mujh ko tasleem teri saari zahanat lekin
Mujh se jahil ko kabhi bhi na samaj paye gi

Pooch ly mujh se haqeeqat tu wagarna apnay
Aankh k til ko kabhi bhi na samaj paye gi

Bin muhabbat k tu hansti howi in aankhon ki
Bheegi jhilmil ko kabhi bhi na samaj paye gi

Zindagi khud bhi tujhay marna paray ga warna
Mere qatil ko kabhi bhi na samaj paye gi

zakham muskuratay hein ab bhi teri aahat par (wasi shah)

Zakham muskuratay hein , ab bhi teri aahat 
Dard bhool jatay hein, ab bhi teri aahat par

Shabnami sitaron mein phool khilnay lagtay hein
Chaand muskuratay hein , ab bhi teri aahat par

Umer kaat di lekin bachpana nahin jaata
Hum diye jalatay hein , ab bhi teri aahat par

Ghentiyan c bajti hein raqs honay lagta hai
Dard jagmagatay hein , ab bhi teri aahat par

Teri yaad aaye to neend jaati  rehti hai
Khuwab toot jatay hein , ab bhi teri aahat par

Jo sitam karay aa kar sab qabool hai dil ko
Hum khushi manatay hein , ab bhi teri aahat par

Ab bhi teri aahat par chaand muskurata hai
Khuwab gungunatay hein , ab bhi teri aahat par

Tere hijar mein hum par ik azaab taari hai
Chonk chonk jatay hein , ab bhi teri aahat par

Dastakein sajanay k muntazir nahin rehtay
Raat sajatay hein , ab bhi teri aahat par

Ab bhi teri aahat par aas lout aati hai
Hum diye jalatay hein , ab bhi teri aahat par