Welcome to our Poetry Blog !! A place where u can get ur Desired Lines for ur love ... Silsila e ishq .............!! Suggest to friends , Help us to Grow , Please Feed back <3 .. !!
Sunday, 4 January 2015
Fatwa
Hazrat abu hurairah (razi allah taala unho) nay kaha k sarkar e aqdas
(Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) nay farmaya k jisay bagher ilm k koi fatwa diya gaya
to es ka gunah fatwa dainay walay par hoga aur jisnay jaan boojh kar apnay bhai ko ghalat
mashwara diya to es nay es k saath khiyanat ki . (Abu daud , Mishkaat)
Ulmaa e karaam
Hazrat ahos bin hakeem apnay baap se riwayat kartay hein unhon nay kaha k
rasool e kareem (Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) nay farmaya k aagah ho jao k buron mein
sab se bad'tareen ulamay e so hein. aur achon mein se sab se behtar ulmay e haq hein
(Daarmi , Mishkaat)
Ehal e ilm kon logh hein
Hazrat sufiyan (razi allah taala unho) se riwayat hai k hazarat umer bin khatab
(razi allah taala unho) nay hazrat kaa'b (razi allah taala unho) se daryaft farmaya k ehal e ilm
kon log hein ? unhon ne jawb diya k jo apnay ilm k mawafiq amal karein. phir aap nay
poocha k aalimo k dilon se kon se cheez ilm (k anwaar o barkaat) ko nikaal leti hai ?
to unhon ne jawba diya k laaluch (Daarmi , Mishkaat)
Qayamat k din jannat ki khushboo tak mayassar na hogi
Hazrat abu hurairah (razi allah taala unho) nay kaha k sarkar e aqdas
(Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) nay farmaya k jsi nay aisay ilm ko seekha jis k zariye
ALLAH ki khushnudi talab ki jati hai (magar) es ne sirf es liye seekha k es ilm se mataye duniya hasil karay to qayamat k din es ko jannat ki khushboo tak mayassar na hogi (Abu daud , Mishkat)
Har sadi k khatmay par
Hazrat abu hurairah (razi allah taala unho) se riwayat hai k unhon nay kaha k rasool e kareem
(Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) se jo baatein mein ne maloom ki hein in mein se aik ye k
har sadi k khatmay par es ummat k liye ALLAH taala aik aisay shakhs ko bhejta rahega jo es k liye es k deen ko nikharta rahay ga (Abu daud , Mishkaat)
Ilm ki hadd kya hai
Hazrat abu darda (Razi ALLAH taala unho) se riwayat hai k unhon nay kaha k rasool e kareem
(Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) se daryaft kiya gaya k es ilm ki hadd kya hai k jisay aadmi
hasil karay to faqiya aalim e deen ho jaye to sarkar e aqdas (Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam)
nay farmaya k jo shakhs meri ummat tak pouchanay k liye deeni amoor ki hadeesein yaad kar
lay ga to khuda e taala isey qayamat k din aalim e deen ki haisiyat se uthaye ga aur qayamat k din mein es ki shifa'at karun ga aur es k haq mein dua go rahoon ga (Mishkaat)
Aik ghari ilm deen ka parhna
hazrat ibn e abbas (Razi ALLAH taala unho) se riwayat hai k unho ne farmaya k raat mein
aik ghari ilm deen ka parhna parhana raat bhar ki ibadat se behtar hai (Daarmi , Mishkaat)
ALLAH taala jis k sath bhalayi karna chahta hai
Rasool e kareem (Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) nay farmaya k khuda e taala
jis shakhs k sath bhalayi chahta hai to isey deen ki samaj ata farmata hai aur khuda
daita hai aur mein taqseem karta hun (Bukhari , Muslim , Mishkaat)
Subscribe to:
Posts (Atom)