Friday, 2 January 2015

Jannati o Jahanami firqa

Hazrat ibn e umer (Razi ALLAH taala unho) se riwayat hai k rasool e kareem
(Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) nay farmaya k meri ummat par aik zamana
Zaroor aisa aaye ga jaisa k bani israeel par aaya tha. Bilkul hu bahu aik doosray k mutabiq
 yahan tak k bani israeel mein se agar kisi nay apni maa se elaaniya bad faili ki hogi to 
meri ummat mein zaroor koi hoga jo aisa karega. Aur bani israeel bahattar (72)
mazhabon mein but gaye they aur meri ummat tehattar (73) mazhabon mein but jaye gi.
In mien se aik mazhab walon k siwa baaqi taman mazhab walay naari jahanami hon gein.
Sahaba e karaam (Razi ALLAH taala unho) nay arz kiya ya rasoollah
(Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) Wo aik mazhab walay kon hein? ( yani inki pehchan kya hai) Hazoor (Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) nay farmaya wo log isi mazhab o millat par 
qayam rahein gein jis par mein hun aur mere Sahaba  hein.(Tirmizi , Mishkaat)

Kaamil momin nahi ho sakta es waqt tak

Hazrat anas (Razi ALLAH taala unho)  nay kaha k sarkar e aqdas 
(Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) nay farmaya k koi shakhs es waqt tak
momin nahi ho sakta jab tak k mein es k maa baap betay aur taman logon
se ziyada mehboob na ho jaoun. (Bukhari. Muslim Shareef)

Kitab ul Emaan 2

Hazrat ibada bin saamat (Razi ALLAH taala unho) nay kaha k mein rasool kareem
(Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) ko farmatay hue suna k jo shakhs es baat ki 
gawahi day k siwaye Khuda e taala k koi maabood nahi aur Muhammd
(Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam)  khuda e taala k rasool hein.To ALLAh taala 
es par dozakh ki aag haraam farma daita hai. (Muslim Shareef)

Kitab ul Emaan

Hazrat umer (razi ALLAH tala unho) nay farmaya k aik roz hum rasool e khuda
(Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) ki khidmat mein haazar they k achanak
aik shakhs hazar hua jis k kapray buhat safaid they aur baal nihayat siyah they
na es shakhs par safar ka koi nishan tha aur na hum mein se koi esey pehchanta tha
Yahan tak k wo hazoor (Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) k samnay beth gaya
 aur do zaanu ho kar apnay ghutnay hazoor (Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam)
 k ghutnay se mila diye aur apnay dono hath apni raano par rakh liye aur arz kiya
Ay Muhammad (Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) Mujh ko islam ki haqeeqat k
baray mein aagah farmaiye hazoor (Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) ne farmaya 
islam ye hai k tu gawahi dy es amar ki k khuda e taala k siwa koi mabood nahi aur
Muhammad (Sallallahu alaihe wa aalihi wasalam) khuda e taala k rasool hein aur
tu namaz ada karay, zakat dy, ramzan k rozay rakhay aur khana kaba ka hajj karay 
agar tu eski istita'at rakhta ho. Es shakhs nay ye sun kar arz kiya Aap nay such farmaya
(raawi kehte hein) k hum logon ko taajub hua k ye shakhs daryaft b karta hai aur khud he
tasdeeq b karta hai phir es ne poocha emaan ki haqeeqat biyan farmaiye. Aap nay farmaya
(Emaan ye hai) k khuda taala aur es k farishton neez es ki kitaabon aur es k rasoolon aur qayamat
 k din par yaqeen rakhay aur taqdeer ki bhalayi ko dil se maanay.(Muslim Shareef)