Saturday, 6 December 2014

Aisi khamoshi ka aalam chaya hai

Aisi khamoshi ka aalam chaya hai tere janay k baad
Ho k udaas parinday b mera shehar chor gaye

Koi to ho jo mujhe is tarah ka pyara ho

Mein apne hissay k sukh jis k naam kar daalun
Koi to ho jo mujhe is tarah ka pyara ho

Ose kehna

Ose kehna !!!   ye tum he they jis se hamein muhabbat ho gayi
Warna hum khud he gulab hein kisi khushnoo ki tamanna nahi kartay

Baksha hai thokron ne sanbhalnay ka hosla


Ajeeb december ki ye raat


Suno zara socho

Suno zara socho 
                    Kya guzray gi dil par tmharay

Raah chalte howe aksar ye guman hota hai

Raah chalte howe aksar ye guman hota hai
Wo nazar chup k mujhe daikh rahi ho jaise

Bewafa waqt tha

Bewafa waqt tha, wo they ya muqadar mera
Baat jo b thy anjaam baharhal judai nikla

Kyun har baat par koste hein log december ko

Q har baat par kostay hein log december ko
Kya december ne kaha k muhabbat karo

Hum b guzray hue kal ki tarah guzar jayein gein

Neend ko aaj b shikwa hai meri aankhon se

Neend ko aaj b shikwa hai meri aankhon se
Mein ne aane na diya kabhi isko teri yaad se pehle


Aaj buhat dukh ho raha hai haal e zindagi par

Aaj buhat dukh ho raha hai haaal e zindagi par
Kaash hum ne had mein reh kar muhabbat ki hoti

Door tak kuch nazar nahi aata

Door tak kuch nazar nahi aata 
Dair tak tum nazar mein rehte ho

Sab ko serab e wafa karna

Sab ko serab e wafa karna !! khud ko pyasa rakhna
Mujh ko le doobe ga ae dil tera darya hona

Ay hamnasheen kabhi lag ja galay

Ay hamnasheen kabhi lag ja galay
K hum b muhabbat ka maza lein

Tere sang jeene ka ehad kiya hai

Tere sang jeene ka ehad kiya hai
Tere sang he marne ki dua kartay hein

Wo jo aajaye to phir lout k jati nahi

Wo jo aajaye to phir lout k jati nahi
Tum mujh se lipat jao kisi musibat ki tarah

Nigahein bolti hein be tahasha

Nigahein bolti hein be tahasha
Muhabbat paglon ki guftagu hai

Suno un k chehray ki baat ho jaye

Suno un k chehray ki baat ho jaye
Aaj zikar e gulaab rehne do

Taras aata hai mujhe apni masoom se palkon par

Taras aata hai mujhe apni masoon se palkon par
Jab bheeg k kehti hien ab aur roya nahi jata

Mujhe ab fark nahi parta november beet janay ka

Mujhe ab farq nahi parta november beet janay ka
Udasi meri fitrat hai, isay mosam se kya matlab

Na janay kya kashish hai usko madhosh aankhon mein

Najanay kya kashish hai oski madhosh aankhon mein
Nazar andaz jitna karun nazar os par he parti hai

Muhabbat k baad muhabbat mumkin hai

Muhabbat k baad muhabbat mumkin hai
Magar toot k chahna sirf aik baar hota hai

Kisi k muskuranay se koi umeed mat bandho

Kisi k muskuranay se koi umeed mat bandho
K hans kar daikh lene se koi apna nahi hota

Mein tere hath par rach jaoun rangon ki tarah

Mein tere hath par rach jaoon rangon ki tarah
Tu mera naam hathon par kabhi saja kar to daikh

Kaise andaz mein keh diya tune alvida

Kaise andaz mein tune keh diya alvida
Jaisay sadiyon se tere dil par koi boj they hum

Na waqif thay chahat k asoolon se

Na waqif they chahat k asoolon se
Es liye hum barbaad howe
Na kisi ne apna banaya!!!
Aur na kisi k qabil chora

Jo mera hai

Jo mera hai mein kisi aur ko kyun doon
Mein apni muhabbat mein bachon ki tarah hoon

Uski ki awaaz sun loon to

Uski awaaz sun loon to mil jata hai sakoon dil ko
Daikho to sahi mere dard ka elaj kaisa hai

Muhabbat ko koi samjhay

Muhabbat ko koi samjhay to aakhir kis tarah samjhay
Ye zalim inteha tak, ibtida maloom hoti hai

Tum lout k aanay ka takaluf mat karna

Tum lout k aanay ka takaluf mat karna
Hum dobara muhabbat nahi kartay

Youn banna sanwarna kis liye sahib

Youn banna sanwarna kis liye sahib
Dil hamara!!! to youn b aap k naam hai

Ishq ka sabaq parha hai jab se

Ishq ka sabaq parha hai jab se
Apni to raton ki neend he fana ho gayi hai

Meri deewangi ka kya hoga

Meri deewangi ka kya hoga
Tum to aadi ho bhool janay k

Tujhe bhoolne ko aik pal chahye

Tujhe bhoolne ko aik pal chahye
Wo pal k jisay mout kehte hein log