Thursday, 25 December 2014

Mere sath mein jab tu chalnay lagta hai

Mere sath mein jab tu chalnay lagta hai
Aik rawaiya roop badalnay lagta hai

Meri baat pay hanstay ho tum aas diya
Man mandar mein kuhd he jalnay lagta hai

Khuwabon mein deewar dikhayi daiti hai
Tabeeron ka sooraj dhalnay lagta hai

Roshan aankhein bujhnay lagti hein jis dam
Ho kar bay bas hath wo malnay lagta hai

Hum they azaad par muhabbat nay

Aur kuch din isay tu jhail miyan
Zindagi hai nahi hai khel miyan

Aur daikhein kahan pay ly jaye
Itni paisay ki rail pail miyan

Koi umeed hum se mat rakhna
En talon mein nahi hai tail miyan

Hum they azaad par muhabbat nay
Naak mein daal di hai naakel miyan

Kisi din

Meri aankhon mein bas jao kisi din khuwab ki soorat
Buhat din ho gaye hein jagtay! Mein so nahi paaya
Udasi k bhanwar mein raasta b ho nahi paaya
Sulagti dhoop mein tabeer ka saaya nahi daikha
Buaht din ho gaye hein chandni mein ro nahi paaya
Mere dil mein b utro tum shab e mehtaab ki soorat
Meri aankhon mein bas jao kisi din khuwab ki soorat
Meri es bay yaqeeni ko koi b naam tum day do
Gumaan , andesha ya phir koi b ilzaam tum day do
Ik aisi shaam jis k baad tum meri raho ban kar
Agar kuch day sako to mujh ko aisi shaam tum day do
meri nas nas mein ghul jao kabhi seemaab ki soorat
Meri aankhon mein bas jao kisi din khuwab ki soorat


Kon tera hai kon mera hai?

Chaar soo wehshaton ka dera hai
Kaisay mosam nay aan ghera hai

Aap miltay rahein to behtar
Chaar din ka yahan basera hai

Apni apni lagan mein sab gum hein
Kon tera hai kon mera hai?

Teri yadon  k jugnuon ki qasam
Zindagi mein buhat andhera hai

Raah rokay howe hai Khud dari
Mere har rastay mein pehra hai

Ye aankhein jheel kar do

Mujhe habeel kar do
Koi taweel kar do

Adhoora hun mein tum bin
Meri takmeel kar do

Badal do khud ko warna
Mujhe tabdeel kar do

Muhabbat reh andheri
Wafa qandeel kar do

Mein dooba chahta hun
Ye ankhein jeel kar do

Mehboob se shikwa

Kabhi taqdeer ka matam kabhi mehboob se shikwa
Ay manzil e muhabbat tere har mor pay rona aaya

Dard

Kon kehta hai nafraton mein dard hai mohsin
Kuch muhabbatein b bari aziyat naak hoti hein

Muhabbat kis ko kehtay hein

Jab bikhray ga tere rukhsar pay teri aankh ka pani
Tujhe ehsas tab hoga muhabbat kis ko kehtay hein

Umeedein

Wabasta ho gayi thein kuch umeedein aap se
Umeedon ka chiraagh bujhanay ka shukriya

hairan

Mein khud hairan hun apne sabar ki intiha daikh kar
Tum nay yaad karna chor diya mein ne intizar karna nahi

koocha e ishq

Ilm o hikmat ka jinhein ho shouq aaye na idhar
Koocha e ishq mein kuch b nahi hairat k siwa

Mosam

Osi jaga par khara hun jahan wo bichara tha
Suna hai jab se k mosam palat k aatay hein

Hamein tum se muhabbat hai

Jo baat hum keh nahi saktay ose hum farz kartay hein
Chalo hum farz kartay hein hamein tum se muhabbat hai

Teri bazam se

Uth kar to aa gaye hein teri bazam se magar !
Kuch dil he janta hai k kis dil se aaye hein

Muhabbat he to ki hai

Ibn e adam hun khataon se mubbara to nahin hoon
Hangama sa kyun barpa hai muhabbat he to ki hai

Aansu

Ik aansu keh gaya sab haal  dil ka
Mein smajhi thi ye zalim bay zuban hai

Fana

Mein fana ho gaya wo badla phir b nahi 
Meri chahat se b suchi thi nafrat oski

Haar jeet

Sikka bana kar jab b uchala gaya mujhe
Mein teri haar jeet mein taqseem ho gaya

Qaatil mera

Sab k honton par tabassum tha mere qatal k baad
Janay kya soch kar rota raha qatil mera

Jazbat machal jatay hein

Kalaii na pakra karo , , ,  Na he pass aaya karo
Baat chooriyon ki nahi , , Jazbat machal jatay hein

Neem hijabi

Khul k aa samnay , ya saaf gira dy chilman
Qatal karti hai teri neem hijabi mujh ko

Mout

Tujhe bhoolnay ko ik pal chahye
Wo pal k jisay mout kehte hein log

Ishq

Ab wahan yaadon ka bikhra hua malba he to hai
Jis jaga ishq nay bunyad e makan rakhi thi

Muhabbat kis ko kehtay hein

Kitabon se dalayal doon ya khud ko samnay rakh doon
Wo muh se puch betha hai muhabbat kis ko kehtay hein

Deewanay

Hamsafar b bichar gaye raastay b kho gaye
Aaye phir na lout kar jo deewanay ho gaye

Oqaat

Baith jata hun khaak par aksar!!
Apni oqaat achi lagti hai,,,,,,,!

Raasta

Tumhari aankhs se dil tak safar karna hai bas hum ko
Ye kitni khoobsurat manzilon ka raasta ho ga

Badnaam

Mout to naam se badnaam hui warna
Takleef to zindagi b diya karti hai