Showing posts with label Yaad poetry. Show all posts
Showing posts with label Yaad poetry. Show all posts

Friday, 20 February 2015

Zamanay se suna tha k muhabbat haar jati hai

Zamanay se suna tha k muhabbat haar jati hai
Jo chahat aik tarfa ho wo chahat haar jati hai
 
Kahin par dua ka ik lafz bhi asar ker jata hai
Kahin barson ki ebadat haar jati hai
 
Muhabbat kab kisi ko dushmani ka dars daiti hai
Muhabbat ki baazi mein adawat haar jati hai
 
hamein kitnay bhi shikway hon teri jafaon k
Par tere samnay har ek shikayat haar jati hai
 
Ek aarzu si hai k tujhe bhool jayein hum
Par teri yaad aatay he ye hasrat haar jati hai

Sirf itna he kaha hai

Sirf itna he kaha hai
pyar hai tum se
jazbaton ki kabhi
numaish nahi ki
pyar ke badlay sirf pyar manga hai
Rishtey ki kabhi guzarish nahi ki
chaho to bhula dena
humein dil se
Sadaa yaad rakhne ki
sifarish nahi ki
Tumse mil kar puri hui
Saari aarzu meri
aur to kisi cheez ki khuwaish nahi ki
 

Tuesday, 17 February 2015

Friday, 13 February 2015

Monday, 9 February 2015

Isi rastay emin aakhir wo karri manzil bhi aaye gi

Isi rastay mein aakhir wo karri manzil bhi aaye gi
Jahan dum tor dy gi yad e yaraa'n hum na kehtay they

Friday, 6 February 2015

Ab bhi in yadon ki khushbu

Ab bhi in yadon ki khushbu zehan mein mehfooz hai
baarha hum jin se gulzaron ko mehkanay gaye

Wednesday, 4 February 2015

wo kuch ziyada he yaad aata hai sardiyon mein

Udaas raton mein taiz coffee ki talkhiyon mein
Wo kuch ziyada he yaad aata hai sardiyon mein


Wednesday, 28 January 2015

Kis qadar zulm dhaya kartay ho (wasi shah)

Kis qadar zulm dhaya kartay ho
Ye jo tum bhool jaya kartay ho

Kis ka ab hath rakh k seene par
Dil ki dharkan sunaya kartay ho

Hum jahan chai peenay jatay they
Kya wahan ab bhi aaya kartay ho

Kon hai ab k jis k chehray par
Apni palkon ka saaya kartay ho

Kyun mere dil mein rakh nahin daitay
Kis liye gham uthaya kartay ho

Phone par geet jo sunatay they
Ab wo kis ko sunaya kartay ho

Aakhri khat mein es nay likha tha
Tum mujhe yaad aaya kartay ho

Dil ki chokhat pay (wasi shah)

Dil ki chokhat pay jo ik deep jala rakha hai
Tere lout aanay ka imkaan saja rakha hai

Saans tak bhi nahi lete hein tujhe sochtay waqt
Hum nay es kaam ko bhi kal pay utha rakha hai

Rooth jatay ho to kuch aur haseen lagtay ho
Hum nay ye soch k he tum ko khafa rakha hai

Tum jisay rota hua chor gaye they ik din
Hum nay es shaam ko seenay se laga rakha hai

Chain lene nahi daita ye kisi tour mujhe
Teri yaadon nay jo toofan utha rakha hai

Janay walay nay kaha tha k wo loutay ga zaroor 
Ik isi aas pay darwaza khula rakha hai

Tere janay se jo ik dhool uthi thi gham ki
Hum nay es dhool ko aankhon mein basa rakha hai

Mujh ko kal shaam se wo yaad buhat aanay laga
Dil nay muddat se jo ik shakhs bhula rakha hai

Aakhri baar jo aaya tha mere naam  wasi
Mein nay es khat ko kalejay se laga rakha hai

Apna to chahton mein yahi ik asool hai (wasi shah)

Apna to chahton mein yahi ik asool hai
Tera bhala bura hamein sab kuch qaboo hai

Ye umer bhar ka jaagna bekaar he na jaye
Tu naa mila to saari riyazat fazool hai

Khud he kaha tha tu nay meri jaan chor day
Ab chor di to kyun tera chehra malol hai

Ay maa ye meri shohratein meri izzatein
Kuch b nahin hein bas tere qadmon ki dhool hai

Aayi jo teri yaad to aankhein baras pari
Es waqt tere dard ka dil par nazool hai

Ik doosray k wastay dono banay wasi
Guldan mera dil hai teri yaad phool hai

Wednesday, 21 January 2015

Ye dil bhi rooth gaya (wasi shah)

Ye zabt choot gaya to tumhari yaad aayi 
Mein thak k toot gaya to tumhari yaad aayi
Tumharay baad na tha koyi mera , dil k siwa
Ye dil bhi rooth gaya to tumhari yaad aayi

Ab jo lotay ho itnay salon mein (wasi shah)

Ab jo lotay ho itnay saalon mein
Dhoop utri howi hai baalon mein

Tum meri aankh k samandar mein
Tum meri rooh k ujalon mein

Phool he phool khil uthey mujh mein
Kon aaya mere khayalon mein

Mein nay jee bhar k tujh ko daikh liya
Tujh ko uljha k kuch sawalon mein

Meri khushiyon ki kaiynaat bhi tu
Tu he dukh dard k hawalon mein

Jab tera doston mein zikar aaye
Thaiss uthti hai dil k chalon mein

Tum se aabad hai ye tanhayi
Tum he roshan ho ghar k jalon mien

Saanwli shaam ki tarah hai wo
Wo na goron mein hai , na Kalon mein

Kya osay yaad aa raha hun wasi
Rang ubhray hein os k gaalon mein

Sunday, 18 January 2015

Tumhari yaad se jab bhi wazu nahi karta (wasi shah)

Koyi malal koyi aarzu nahin karta
Tumharay baad ye dil guftagu nahi karta

Koyi na koyi meri cheez toot jati hai
Tumhari yaad se jab bhi wazu nahi karta

Tuesday, 9 December 2014