Thursday, 8 January 2015

Tere utaray hue din

Tere utaray howe din tangay hein lawn mein ab tak
na wo puranay howe hein , na in ka rang utra
kahin se koyi bhi sewen abhi nahi udhri!


Ilaichi k buhat paas rakhay pathar par
zara si jaldi sarak aaya karti hai chaaon
zara sa aur ghana ho gaya hai wo poda
mein thora thora wo gamla hatata rehta hun
fakeera ab bhi wahin meri kofi daita hai!


Gulehriyon ko bula kar khilata hun biscuit
Gulehriyan mujhe shak ki nazar se daikhti hein
Wo tere hathon ka mass janti hon gi!!


Kabhi kabhi jab utarti hai cheel shaam ki chat se
thaki thaki si zara lawn mein ruk kar
safaid aur gulabi "masanday" k podon mein ghulnay lagti hai
K jaisay baraf ka tukra pighalta jaye whisky mein
mein "iskaaf" din ka galay se utaar daita hun
tere utaray hue din pehan k ab bhi mein
teri mehak mein kayi roz kaat daita hun!

Do parinday

Tukra ik dhoop ka jis khirki se aaya tha , esi khirki
se wapis ja kar
kaaanch pay tehar gaya
mur k phir jaaiza kamray ka liya
aur aahista se ja kar
lawn mein sehme hue aik parinday ki tarah beth gaya


Aik jhapattay he mein , Shaam es ko utha kar
Aam k pairr par ja bethi , isay noch diya
baal o par dhoop k es pairr se phir , dair talak girtay rahay!

Chittay doodhiya badlon mein ik bher ka bacha

Chittay doodhiya badlon mein ik bher ka bacha
andha dhund he , plane k peeche bhag raha tha
baayein wing se takraya hai
Zakhmi ho kar lurak gaya hai!
sooraj lot raha tha , es nay ruk kar daikha
aur kuch pal ko tehar gya.....
rooyi k galon se es nay kosish ki hai ponchnay ki
par khoon abhi tak ruka nahin hai
pooray ufaq par phel raha hai!

Dhoop ka purza

Shaam ka sooraj jatay jatay
darwazay k neechey se
dhoop ka ik chota sa purza phenk gaya hy
kal aaoun , nishchat to nahin hai
lekin es mamooray mein
aaj ka din bhi jee paye tum
isi liye
ye parchi rakh jata hun sanad rahay!

Hum nay daikha tha buhat dair talak

Hum nay daikha tha buhat dair talak doobtay sooraj ki taraf
aur jab chaltay howe hath milaya tha , kaha tha es nay
tum nay wada to kiya hai k yahin kal b milo gy
aur mujh se b kaha hai k gawahi daina
mein nahin aaoun ga , kal doosra sooraj ho ga



Hum nay daikha tha buhat door talak doobtay sooraj ki taraf
doosray din bhi magar daikh k hum ko , wo hansa kyun tha?

Matka bhar k sooraj ulta

Matka bhar k sooraj ulta , shaam nay door samandar ki dehleez pay ja kar
raat ka paishmina pehnay tum aayi thien!


Raat tumharay jisam se phisli parti thi
jisam tumhara ik jaltay siyaray saa
doodh aur dhoop se goondhi matti
aik falak bhar khushbu thi awaz tumhari!


Tum bol rahi thiein
hont tumharay chaand ki qashein kaat rahay they!
Mein hairaan!
Hairaan hairaan!
matka bhar k sooraj ka , aik aur sehar nikli paani se
ungli thaam k subah ki tum pani par chaltay chaltay aik aur ufaq ko loot gayi!


Waqt k pur israar kisi "komait" ki tarah
kaiynaat se aayein tum aur kaiynaat mein lot gayi!!

Wo dil lagi ko miltey they

Lay doobi mujhe.......  Ye saadgi meri
Wo dillagi ko miltey they hum muhabbat samaj bethey

Miley jo muhabbat to is ki qadar karna

Suno!
Zindagi apni hans k basar karna
Nafraton k rastay par na safar krna

Suno!
Wafa na ho to muhabbat aadhoori hai
Muhabbat k safar mein wafa ki fikar karna

Suno!
Zamana jitna b ho dumdard tumhara
Zamany ko na sharek e safar karna

Suno!
Muhabbat har kisi ka muqaddar nahi hoti
Miley jo muhabbat to oski qadar karna

Kitni sajji hai bewafai tere masoom chehre par

Kitni sajji hai bewafai tere masoom chehre par
Hum b pagal they k es aada par mar gaye..

Labon pe aa kar

Dam tor jati hai har shikayat
 labon pay aa kar
Jab masoomiyat se tum kehte ho
Mein nay kya kiya hai..?


Usko muhabbat thi

Raat jaagtey guzar jati hai
Esi hisaab mein!!

Usko muhabbat thi..?
Nahi thi..?
Hai..?
Nahi hai..?

Duaaein chal pari hein arsh ki janib

Duaaein chal pari hein arsh ki janib
Bus tu mera honay ki tayyari kar

Apni zaat se nikal kar tujhe tanha chahun

Apni zaat se nikal kar tujhe tanha chahun
Maloom tum ko b na ho tum ko itna chahun

Husn e shakhsiyat ko daikhun

Husn e shakhsiyat ko daikhun
ya libada e husn ko daikhun

Doni!! mein he janab
Bakamaal dikhtey hein

Mujhe zindagi bhar us k saath rehna hai

Koi aayat , koi jaadu , koi taweez la do
Mujhe zindagi bhar os k sath rehna hai

Ab k socha hai k

Ab k socha hai k khamoshi ko bana lein gein andaz e bayan apna
Na lafz dhoondhna parein gein na guzray ga nagwar kisi ko

Bin tere hai aadhuri

Es zindagi ko jeene ki aarzu
Bin tere hai aadhuri
Tera saath jo mil jaye
Meri zindagi ho jaye puri

Kaash hum khilona ban kar bikhtay

Meri zindagi se khelna sab ki aadat ban gayi hai
Kaash hum khilona ban kar biktay to aaj kisi aik k to ho jatey

Sab hadein tor kar aaj

Sab hadein tor kar aaj
Hadd kar di teri yaad nay

Kabhi milnay ki hasrat kabhi daikhnay ki chahat

Mat poocho kaisay guzartay hein ye pal tumharay bina
Kabhi milnay ki hasrat kabhi daikhnay ki chahat

jab teri aankhon mein aansu they

Jab teri aankhon mein aansu they meri khatir
Ek wohi lamha mujhe zindagi se pyara laga

Zindagi thak k girti hai

Zindagi thak k girti hai tou khayal aata hai
Jaan-lewa hai La-hasil ki tammana karna

Yaad karnay ki ham nay hadd kar di

Yaad karnay ki ham nay hadd kar di
Bhool janay mein tum b kamal rakhtay ho


Ek mein he nahi jurm e muhabbat ka khatawaar

Ek mein he nahi jurm e muhabbat ka khatawaar
Halka sa tabas'sum bhi tou shamil tha udhar se