Thursday, 8 January 2015

Matka bhar k sooraj ulta

Matka bhar k sooraj ulta , shaam nay door samandar ki dehleez pay ja kar
raat ka paishmina pehnay tum aayi thien!


Raat tumharay jisam se phisli parti thi
jisam tumhara ik jaltay siyaray saa
doodh aur dhoop se goondhi matti
aik falak bhar khushbu thi awaz tumhari!


Tum bol rahi thiein
hont tumharay chaand ki qashein kaat rahay they!
Mein hairaan!
Hairaan hairaan!
matka bhar k sooraj ka , aik aur sehar nikli paani se
ungli thaam k subah ki tum pani par chaltay chaltay aik aur ufaq ko loot gayi!


Waqt k pur israar kisi "komait" ki tarah
kaiynaat se aayein tum aur kaiynaat mein lot gayi!!

No comments:

Post a Comment