Saturday 13 December 2014

Muhabbat se behtar hai

Buhat socha , buhat samjha buhat dair tak  parkha
K tanha ho kar jee lena muhabbat se behtar hai

Apni nishani

Kabhi neendein kabhi ankhon mein paani bhej daita hai
Wo khud aata nahin apni nishani bhej daita hai

Mein to duniya ko jeet chuka hun saaghar

Mein to duniya ko jeet chuka hun saaghar
Ye kambakht takdeer muj se harayi nahi jaati

Yun khali palkein jhuka daine se neend nahi aati

Yun khali palkein jhuka dainay se neend nahi aati
Sotay hein wo log jin k liye koi jaag raha ho

Mein dunya bhool jata tha

Nazar jab os se milti thi 

Mein khud ko bhool jata tha
Bus ik dharkan dharakti thi
Mein dil ko bhool jata tha
Ose milne se pehle mein
Buhat sajta sanwarta tha
Magar jab wo sanwarti thi
Mein khud ko bhool jata tha
Mein aksar kitabon par
Osi ka naam likhta tha
Magar kuch wo jo likhti thi
Mein likhna bhool jata tha
Mein aksar he ye kehta tha
Mein tum se pyar karta hun
Magar jab wo ye kehti thi
Mein duniya bhool jata tha

Aah b mein ne apne andar khud ko rotay daikha hai

Aaj b mein ne apne andar khud ko rotay daikha hai

Dua

Ly jala dy tu mere hathon ko aag mein
Mein b to daikhun phir tere liye dua kon mangta hai

Dard

Es waqt tere dil mein buhat dard uthey ga
Jab mujh se bichar kar mere hamnaam milen gein

Ajab ishq hai

Teri baton mein zikar oska meri baton mein zikar tera
Ajab ishq hai mohsin na tu mera na wo tera

Kaash

Kaash koi es tarah b waqif ho meri zindagi se
K mein barish mein b roun to mere ansu parh ly

Mera dil

Os ne tora tha mera dil Os se koi shikayat nahi
Ye osi ki amanat thi ose acha laga so tor diya

Kismat

Tu meri kismat mein nahi ye sun liya logon se!!!!!
Phir sochta  hun kismat khuda likhta hai log nahi

Ana kehti hai

Anaa kehti hai iljita kya karni
Wo muhabbat he kya ho minaton se miley!!!

Dard

Hum mein to himmat hai dard sehne ki saaqi!!
Tum itne dard daitay ho' thak to nahi jatay???


Muhabbat

Asaani se koi mil jaye to wo kismat ka sath hai
Soolli par charh kar b jo na milein muhabbat isay kehte hein

Hasti bikhar jaya karti hai

Wajood sheeshay ka ho to pathron se muhabbat nahi kartay
Ehasas e chahat na milay to hasti bikhar jaya karti hai

Teri soorat

Teri soorat se kisi ki nahi milti soorat
Hum jahan mein teri tasweer liye phirtay hein

Bewafa

Kitab e ishq se es maslay ka hal dhoondho
Kya jayaz hai apne yaar ko bewafa kehna

Zidd

Koi umeed na thi hamein un se muhabbat ki
Sirf aik zidd thi k dil tootay to un k hath se tootay

Pagal

Mujhe pagal jis ne karna ho
Wo batein teri kartay hein

Khanjar toot jata hai

Mere dushman b pareshan hein meri maa ki duaaon se
Wo jab b waar kartay hein khanjar toot jata hai

Dhoond rahay hein wo humko bhool janay ka tareeqa

Dhoond rahay hein wo humko bhool janay ka tareeqa
Sochta hun khafa ho kar mushkil aasan kar doon

Gharoor samaj betha

Wo rooth gaya hum se es liye k nazrein nahi milayi hum ne
Ye hamari haya thi aur wo isay hamara gharoor samaj betha.....!

Mein tujh se sath b to umer bhar ka chahta tha

Mein tujh se sath b to umer bhar ka chahta tha
So ab tujh se gila b umer bhar ka ho gaya hai

Tanhai

Mashghala acha hai ye b sardiyon ki shaam ka
Baith kar tanhai mein yadein purani daikhna

Masoom lehja

Kis qadar masoom sa lehja tha eska dost
Dheere se jaan keh kar by jaan kar gaya

Bewafa

Hamein to kab se pata hai k tu bewafa hai ay dost
Tujhe chaha es liye k shayad teri fitrat badal jaye

Muhabbat

Sakoon girwi hai un k paas
Muhabbat qarz li jin se


Suna hai aaj oski ankhon mein aansu aa gaye

Suna hai aaj oski ankhon mein ansu aa gaye
Wo bachon ko sikha rahi thi muhabbat aisay likhte hein

kabhi kabhi to

Kabhi kabhi to                     

ujray dil par
aur falak par
aik se badal hotay hein
kabhi kabhi to 
dil aur mosam 
dono pagal hotay hein

Dil e nadaan

Es ka deedar es ki fikar esi se pyar ki batein
takaza yahi dil e nadaan ka subah shaam hota hai

Kitna rotay hein

Saaqi un k dilon mein kabhi jhank kar daikho to sahi
Kitna rotay hein tanhai mein auron ko hansanay walay

Teri muskan

Teri muskan tera lehja tere wo mehaktay alfaaz
Kya kahun...! aaj buhat yaad aarahay ho tum

Hamaray lab

Wo pathar dil  sahi lekin hamara b ye dawa hai
Hamaray lab jinhein chu lein wo pathar bol uthtay hein

Shikayat

Ye to aik zid hai k tujh se shikayat na krun
Warna tujh se to wo gilay hein k bus........!

Bichar kar wo roz milta hai khuwab e nagar mein

Bichar kar wo roz milta hai khuwab e nagar mein
Agar ye neend na hoti to hum mar gaye hotay

Tu na ho phir b tu hota hai

Tu na ho phir b tu hota hai
Bara dheet hai qasam se tu

Zindagi

Milay ga kya dilon mein nafratein rakh kar
Bari mukhtasir si zindagi hai muskura k mila karo

Khuloos

Ay waqt k luqman! Hai koi mera ilaaj?
Mujh ko mere khuloos ne kahin baar das liya

Muhabbat

Hum muhabbat mein mubtila ho kar
Khud ko mushkil mein daal bethey hein

Nishaan

Raat darwazay ki dastak par dhiyaan na diya
Subah pairon k nishaan daikhay to buhat roye

Kahani

Mukamal raat itna keh gayi hai
Kahani phir aadhori reh gayi hai

Aansu

Parhne walon ka qehat hai warna
Girtay aansu kitab hotay hein