Saturday 13 December 2014

Mein dunya bhool jata tha

Nazar jab os se milti thi 

Mein khud ko bhool jata tha
Bus ik dharkan dharakti thi
Mein dil ko bhool jata tha
Ose milne se pehle mein
Buhat sajta sanwarta tha
Magar jab wo sanwarti thi
Mein khud ko bhool jata tha
Mein aksar kitabon par
Osi ka naam likhta tha
Magar kuch wo jo likhti thi
Mein likhna bhool jata tha
Mein aksar he ye kehta tha
Mein tum se pyar karta hun
Magar jab wo ye kehti thi
Mein duniya bhool jata tha

No comments:

Post a Comment