Sunday, 11 January 2015

Na shikayatien na sawal hai

Na shikayatien na sawal hai , Koi aasra na malal hai
Teri bay rukhi bhi kamal thi , Mera zabt bhi kamal hai

Sada kenvas par ubhartay hein buhat se manzar

Saada kenvas par ubhartay hein buhat se manzar

aik sun set hai , pakay phal ki tarah
pilpala rista , raseela sooraj
chiskiyan lita hun har sham labon pay rakh kar
tubkay girtay hein mere kapron pay aa kar es k


Aik imli k ghanay pairr k neechay
school se bhaaga hua bor sa bacha
jis ko teacher nahi achay lagtay
ik gulehri ko pakar k
apni taswerein kitabon ki dikha kar khush hai!


Mere kenvas he k ooper se guzarti hai sarak ik
ik pahiya b nazar aata hai tangay ka mujhe
katkatata hua pahiye mein sira chabak ka
ghoray ki naa'lon se urti hui chingariyon se
saada kenvas pay kayi nuqtay bikhartay hein duein k!


korh ki maari hui burhiya hai ik girjay k bahar
bheek ka piyala sajaye hue , galay ki tarah
mangi rehti hai kheraat "khuda naam" pay sab se
jab dua hoti hai girjay mein to bahar aa kar
beth jaata hai khuda galay pay , ye kehtay hue
aaj kal mandah hai , es naam ki bakri kam hai!!


"qaadiyan" qasbay ki pathar se bani galiyon mein
dulhanein "ultay"  lagay paaon se jab
kalay pathar pay qadam rakhti hui chalti hein
har qadam aag k gul bootay se ban jatay hein!
dair tak chokathon par bethey kanwaray larkay
senktay rehtay hein aankhon k papotay in se!


Neem ka pairr hai ik
neem k neechay kunwa'n hai
dol takrata hua uthta hai jab gehre kunwe'n se
to bazurgon ki tarah gehra kuwa'n bolta hai!
om jhapak jhapak ana alhaq!
om jhapak jhapak ana alhaq!

Sun set

Zara si dair pehle he
Jo sooraj  bas gharoob honay chala tha
ik urtay plane k pahiyon k neechey aatay aatay buch gaya tha


Bidak k hat gaya tha wo
buhat phislan thi aur kaayi jami hui thi badlon ki
pakar k aasman , kosish bhi ki es nay sanbhalnay ki!


Sanbhal nahi paaya wo geelay pairon  par
gira aur ghotay khatay khatay pani mein
ufaq k paar dooba , "ghab gharb ghabash"
abhi tak asmaan par kuch ghisti ungliyon k daagh baaqi hein!!!

Pooran sooraj girhen

College k romance mein aisa hota tha
desk k peechay bethey bethey
chupkay se do hath siraktay
dheere dheere paas aaatay
aur phir aik , achanak pura haath pakar leta tha
muthi mein bhar leta tha

sooraj ne yun he pakra hai chaand ka hath falak mein aaj!!!

Traffic signal

Hont hiltay hein bhikaari k , sunayi nahin daita
haah k lafz uchaltay hein , wo kuch bol raha hai
thaptapata hai har ik caar ka sheesha aa kar
aur ujlat mein hai
traffic k signal pay nazar hai



"change" hai to sahie
kon es garmi mein ab car ka sheesha kholay
agaly signal pay sahie
roz kuch daina zaroori hai , khuda raazi rahay!!!!!!!!!

Mein qedi hoon

Kayi pinjron ka qedi hoon
kayi pinjron mein basta hoon
Mujhe bhaata hai qedein kaatna
Aur apni marzi se chunao kartay rehna
Apnay pinjron ka
Miyadein teh nahi karta mein rishton ki
Aseeri dhoondta hun mein
Aseeri achi lagti hai!!!!!!!

Waqt ko jitna goondh sakay hum

Waqt ko jitna goondh sakay hum ' goondh liya!
Aatay ki mikdaar kabhi barh bhi jaati hai
Bhook magar aik hadd se aagay barhti nahin
Pait k maaron ki aisi he aadat hai....
Bhar jaye to dastar khuwan se uth jatay hein!


Aao ' ab uth jayein dono
koyi kacherhi ka khonta do insano ko
dastar khuwan pay kab tak baandh k rakh sakta hai
qanooni mohron se kab ruktay hein , ya kat'tay hein rishtay
Rishtay rashan card nahi hotay!!!!

Mein fiqray kaat'ta pehle hoon

Mein fiqray kaat'ta pehle hun , phir likhta hun khat esko
Mujhe dar hai
Kahin mein b samaj jaoun na matlab apnay fiqron ka
Meri kaifyatein dil ki
Kahin mujh par na khul jaayein......!


Mujhe dar ye nahi k mein bhula paya nahin esko
Mujhe dar ye hai k wo mujh ko hamesha yaad rakhti hai!!!!

Mujhe afsos hai jaana!!

Mujhe afsos hai jaana!
k meri nazam se ho kar guzartay waqt barish mein
Pareshani hui tmko
Baray bay waqt aatay hein yahan sawan
Meri nazmon ko galiyan yun b aksar bheegi rehti hein
Kayi gadhon mein pani jama rehta hai
Agar paaon paray to moch aajanay ka khatra hai


Mujhe afsos hai lekin
Pareshani hui tmko k meri nazam mein kuch roshni kam hai
guzartay waqt dehleezon k pathar b nahi dikhtay
K mere pairon k naakhun kitni baar tootay hein
hui muddat k chorahay pay ab bijli ka khamba bhi nahi jalta
pareshani hui tmko
Mujhe afsos hai such much!!