Sunday 11 January 2015

Sada kenvas par ubhartay hein buhat se manzar

Saada kenvas par ubhartay hein buhat se manzar

aik sun set hai , pakay phal ki tarah
pilpala rista , raseela sooraj
chiskiyan lita hun har sham labon pay rakh kar
tubkay girtay hein mere kapron pay aa kar es k


Aik imli k ghanay pairr k neechay
school se bhaaga hua bor sa bacha
jis ko teacher nahi achay lagtay
ik gulehri ko pakar k
apni taswerein kitabon ki dikha kar khush hai!


Mere kenvas he k ooper se guzarti hai sarak ik
ik pahiya b nazar aata hai tangay ka mujhe
katkatata hua pahiye mein sira chabak ka
ghoray ki naa'lon se urti hui chingariyon se
saada kenvas pay kayi nuqtay bikhartay hein duein k!


korh ki maari hui burhiya hai ik girjay k bahar
bheek ka piyala sajaye hue , galay ki tarah
mangi rehti hai kheraat "khuda naam" pay sab se
jab dua hoti hai girjay mein to bahar aa kar
beth jaata hai khuda galay pay , ye kehtay hue
aaj kal mandah hai , es naam ki bakri kam hai!!


"qaadiyan" qasbay ki pathar se bani galiyon mein
dulhanein "ultay"  lagay paaon se jab
kalay pathar pay qadam rakhti hui chalti hein
har qadam aag k gul bootay se ban jatay hein!
dair tak chokathon par bethey kanwaray larkay
senktay rehtay hein aankhon k papotay in se!


Neem ka pairr hai ik
neem k neechay kunwa'n hai
dol takrata hua uthta hai jab gehre kunwe'n se
to bazurgon ki tarah gehra kuwa'n bolta hai!
om jhapak jhapak ana alhaq!
om jhapak jhapak ana alhaq!

No comments:

Post a Comment