Palat kar b na daikhein gein hum ye by rukhi teri
Bhula dain gein tujhe aisay k tu b yaad rakhay ga
Apni muhabbat pay faqat itna bharosa hai mujhe
Meri wafayen tujhe kisi aur ka honay nahi dain gi
Hum sazaon k haqdaar banay hein kab se
Tum he keh do k jurm hai kya muhabbat karna
December aa k
Dareechon mein tehar jaye
To deewaron pay
calendar badalnay se
Yaadein nahi jatiiii
Majburiyon k naam par daaman bacha gaye wo log
Jis ne pyar mein daava wafa ka kiya tha....!!!
Kisi ki chahat ko itna b zaleel na karo
Maghroor rehne ka andaz hamesha tanha kar daita hai
December ki udaas raat
Lout aayi hai nami ankhon mien liye
Aur keh rahi hai mujhe
K tere wastay ab ki baar b
Mere daman mein sirf tanhai hai
Mein agar chahun b to shayad na likh sakoon un lafzon ko
Jinhein parh kar tum samj sako
K mujhe tum se kitni muhabbat hai!!!!!
Meri jaagi hui raton ko oski talash hai
So raha hai meri ankhon mein jo sapna ban kar
Faqat tum nahi tumhari aadatein b hein aziz
K ab tum bhool b jatay ho to bura nahi lagta
Aisi by rukhi daikhi hy hum nay
Kay log....!
Aap se tum,,,,!
Tum se jaan,,,,!
Jaan se anjaan ho jatay hein
Os se faaslay barh gaye hein
Aur
Kambakhat muhabat b
Aadatein buhat mukhtalif hein hamari duniya walon se
Muhabbat kam kartay hein,,,! lekin lajawab kartay hein
Kabhi in adaaon ka zulam kabhi in nigahon ka zulam
Wafaon ki qasam tere aashiq na hotay to tere qaatil hotay
Aaj b aadaton mein shamil hai
Tere koochay se ho kay ghar jana
Nishaan tak na milein gein meri wafa k osay
K mein ne raah badal di hai azmaa k osay
Os k aanay ki aahat sun k
Har ik mosam bahar hota hai
Hamara to aik pal b jeena mushkil hai tere bin
Janay kaise log tanha saari zindagi guzaar daitay hein
Phool apni aadat se kitne bay bas hein
Tornay walay ko b khusboo he daitay hein
Logon se suna hai muhabbat ankhon se hoti hai
Wo log b to dil ly jatay hein jo palkay b nahi uthatay
Hum tarastay hein har pal eski awaz sun'nay ko......!
Kitni asani se es ne keh diya kabhi waqt mila to baat karein gein
Aah ban k uth raha hai garam coufee se duaan
Dhund ka mosam palat aaya hai....! tum b aao na
Meri dua hai muhabbat mien mujhe wo hasil ho
Ose jo khud se nikalun to paas kuch na rahay
Unhi lafzon k ansu bantay hein
Jo zaban se ada nahi hotay
Rotay hein dil k zakham hansta nahi koi
Itna to faida mujhe tanhaiyon se hai
Guzar to jaye gi zindagi os k bagher b lekin
Tarasta rahay ga dil pyar karnay walon ko daikh kar
Aaas mein bethi shehzadi ki maang mein chandni chamakne lagi
Itni dair se kyun aatay hein aakhir ye shehzaday log
Wo ittefaq se mil jaye rastay mein kahin
Mujhe ye shouq musalsal safar mein rakhta hai
Na meri koi manzil na kinara
Tanahi meri mehfil aur yadein mera sahara
Un se bichar kar kuch yun waqt guzara
Kabhi zindagi ko tarsay kabhi mout ko pukara
Wo december ho ya phir january
Dil ka mosam udaas rehta hai
Jab chalna nahi aata tha to koi girnay nahi daita tha
Jab se sanbhala hai khud ko qadam qadam pe giranay ka sochte hein log
Ishq itne qareeb se guzra mere
Mein samjha ho he gaya.......!!
Aankhon mein samaa jatay ya dil mein utar jatay
Dono ka bhala hota dono he sudhar jatay
Bewafai k sitam tum ko samaj aa jatay
Kaash tum jaisa hota agar tumhara koi....!!