Wednesday 14 January 2015

tere galay mein jo banhon ko daal rakhtay hein

Tere galay mein jo banhon ko daal rakhtay hein
Tujhe mananay ka kaisa kamaal rakhtay hein

Tujhe khabar hai tujhe sochnay ki khatir hum
Buhat se kaam muqaddar pay taal rakhtay hein

Koyi bhi faisla hum soch kar nahin kartay
Tumharay naam ka sikka uchaal rakhtay hein

Tumharay baad ye aadat si ho gayi apni
Bikhartay sookhtay pattay sanbhal rakhtay hein

Khushi si milti hai khud ko aziyatein day kar
So jaan boojh k dil ko nidhaal rakhtay hein

Kabhi kabhi wo mujhe hans k daikh laitay hein
Kabhi kabhi mera bay had khayal rakhtay hein

Tumharay hijar mein ye haal ho gaya apna
Kisi ka khat ho ose bhi sanbhal rakhtay hein

Khushi milay to tere baad khush nahin hotay
Hum apni aankh mein har dam malal rakhtay hein

Zamanay bhar se bachaa kar wo apnay aanchal mein
Mere wajood k tukray sanbhaal rakhtay hein

Kuch es liye bhi to bay haal ho gaye hum log
Tumhari yaad ka bay had khayal rakhtay hein

Ik aanchal se bandha hai sab kuch

Aik aanchal se bandha hai sab kuch
Aik tasweer
Aur tasweer ye bheegay howe hont
Aik sundal ki anabi pencil
Aik bay rabt saa ukhra hua khat
Aik adad card
Jis ko choonay se teri yaad chali aayi hai
Aur es card mein rakhi howi aqloti palak
Jis se maanoos duaaon ki mehak aati hai
Kisi gumnaam se shayer ka adhura misra'a
Aik paazaib se bichra hua ujla moti
Ik murjayi howi zard chanbeli ki kali
Jis mein ab bhi teri zulfon k bhanwar liptay hein
Aik boseeda Question paper
Jis k konay pay likha naam abhi taaza hai
Sharbati kaanch ki tooti howi naazuk choori
Aik toota hua halka sa gulabi naakhun
Aik gadla sa tissue paper bhi
Jis pay mehkay howe ashkon k nishaa'n zinda hein
yahi dolat hai yahi kuch hai asasa mera
Aik aanchal se bandha hai sab kuch
Hasrato'n , siskiyon , aaho'n mein sameta aanchal
Teri khushboo mere ashkon mein lapeta aanchal
                     Aik aanchal se bandha hai sab kuch
                                            Aik bheegay howe aanchal se bandha hai sab kuch


Janaa ! tum aanay wali ho

Jab se ye pegham mila hai
Janaa ! tum aanay wali ho
Mosam nay saray ghar ki tarteeb badalkar rakh daali hai
chokhat pay ik chand bhi aa kar beth gaya hai
Kayi sitaray laaounj mein kab se paray howe hein
Kehtay hein k
Es rastay se tum guzro gy
Nanhay munnay kayi gulabon ka kehna hai
Jitnay din tum paas raho gy
Ghar k har konay mein aa kar wo mehkein gein
Phoolon nay mil kar sab konay baant liye hein
Jugnoo kab se chat pay  , ghar k
Har goshay mein chamak rahay hein
Sooraj aur baarish bhi kal se saaiyban par tikay howe hein
Dheemay dheemay chehak rahay hein
Shaam to kab se kayi tarah k mosam lay kar
Es kamray mein ruki hui hai jis kamray mein tum thehro gy
Tum aao gy to ye shaam hazaron mosam
Sundar sundar saji howi aankhon ko dy kar
Kho jaye gi
Phir na kabhi wapis aaye gi
Es se pehlay k ye shaam b
Saaray mosam lay kar mujh ko khaali kar k kho jaye
Tum aa jao naa !
Abhi aaa jao............!!!1

Hum se kya poochtay ho hijar mein kya kartay hein

Hum se kya poochtay ho hijar mein kya kartay hein
Tere lout aanay ki din raat dua kartay hein

Ab koyi hont nahin en ko churanay aatay
Meri aankhon mein agar ashk hua kartay hein

Teri tu janay , par ay jaan e tammana hum to
Saans k saath tujhe yaad kiya kartay hein

Tu he pehlu mein nahin warna december mein wahin
Dhoop mein beth k akhbaar parha kartay hein

Kabhi yaadon mein tujhe banhon mein bhar laitay hein
Kabhi khuwabon mein tujhe choom liya kartay hein

Teri tasweer laga laitay hein hum seenay se
Phir tere khat se teri baat kiya kartay hein

Gar tujhe chornay ki soch bhi aaye dil mein
Hum to khud ko bhi wahin chor diya kartay hein

Aaj hamein ye baat samaj mein aayi hai

Aaj hamein ye baat samaj mein aayi hai
Tum mosam ho , aur mosam harjayi hai

Tu nay kaisay mor pay chor diya mujh ko
Dil ki baat chupaoun to ruswayi hai

Tere baad bucha he kya hai jeevan mein
Mein hun , bheegi shaam hai , aur tanhayi hai

Aaj meri aankhon mein sawan utray ga
Aaj buhat din baad teri yaad aayi hai

Aaj ki raat buhat bhari hai dono par
Aaj mujhe wo khat loutanay aayi hai

Janay mein kya soch k chup hun gum sum hun
Janay wo kya soch k waapis aayi hai

Ye mehman nawazi hai ya aur hai kuch
Mere liye wo chaay bana kar laayi hai


Jaan se maar dy mujhe lekin

jaan se maar dy mujhe lekin
Chor janay ka mujh par zulm na kar

Tum meri kon ho!!!!

Tum meri kon ho tum se hai tal'luq kaisa?

                           Tum kisi dhund mein lipti howi tanhayi ho
                           Meri shohrat ho dua ho meri ruswayi ho
                           Baat karti ho kabhi chup mein bikhar jati ho
                          Kyun meri roohk goshon pay sitam dhaati ho

Tum meri kon ho tum se hai tal'luq kaisa?

                         Gungunati ho to mehsoos ye hota hai mujhe
                         Jaisay daryao'n k saahil se sadaa aati ho
                         Paas aata hun to khuwabon mein utar jaati ho
                         Door jata hun to daman se lipat jati ho

Tum mere paas hoan door ho mere dil se
Tum mere paas hona door ho mere dil se

Tum meri kon ho tum se hai tal'luq kaisa?

Tumhari yaad se har pal saja hua campus

Tumhari yaad se har pal saja hua campus
Mein kya karun k bhula he nahi saka campus

Udaas nehar mein tum paaon dalay rakhti thein
Tumharay baad udaasi mein dhal gaya campus

Najanay kon yahan os ka kho gaya ho ga
Kisi ki aakhri sanson mein thi dua , campus


Jo main nay hilye ki sarkon pay tum ko yaad kiya
Tumhein khabar hai mere saath ro para campus

Kisi nay tujh mein guzaray hein itnay saal yahan
So mein rahoon na rahoon to sadaa campus

Har ik department se es k qehqahay goonjay
Mein es k baad wasi jab kabhi gaya campus

Dil mein bikhray howe jalon se pareshan na ho

Dil mein bikhray howe jalon se pareshan na ho
Mere guzray howe saalon se pareshan na ho

Meri awaaz ki talkhi ko gawara kar lay
Mere gustaakh sawalon se pareshan na ho

Mein nay maana teri aankhein nahin khulti hein magar
Din nikalnay day , ujalon se pareshan na ho

Apni zulfon mein utarti howi chaandi ko chupa kar
Mere bikhray howe baalon se pareshan na ho

Ay nayi dost mein bhar poor hua hun tera
Mere maazi k hawalon se pareshan na ho

Daikh yoon door na ho mujh ko laga lay dil se
Tu meri rooh k chalon se pareshan na ho

Khud ko veeran na kar mere liye , jaan meri
In pareshaan khayalon se pareshan na ho

Kahin charagh roshan hein , kahin pay madham hein

Kahin charagh roshan hein , kahin pay madham hein
Tumharay aanay k imkaan hein , magar kam hein

Mein lout'tay howe chupkays se chorr aaya tha
Tumharay takiye pay mere hazaar mosam hein

Tumharay paaon ko choo kar zamana jeet liya 
Tumharay paaon nahin hein , aik aalam hein

Muhabbatein howi taqseem to ye bhaid khula
Hamaray hissay mein khushiyan nahin hein, matam hein

Kuch isi liye bhi hamein dukh se dar nahin lagta
Hamari dhaal tere dard hein , tere gham hein

Abhi kaho , to abhi , ye bhi tum ko day dein gein
Hamaray paas jo ginti k aik do dam hein

Abhi khulein gein bhala kaisay kaiynaat k raaz
Teri kamar mein kayi morr hein , kayi kham hein 




Jab gham meri dharkan meri baton se ayyan tha , tu kahan tha

Jab gham meri dharkan meri baaton se ayyan tha , tu kahan tha
Jab charon taraf dard k darya ka sama'n tha , tu kahan tha

Ab aaya hai jab dhal gaye hein sabhi mosam , mere hamdam
Jab tere liye mera har ehsas jawaa'n tha , tu kahan tha

Ab siraf khamoshi hai muqaddar ka sitara , mere yara
Jab lafz pay faqat tera faqat tera biyaan tha , tu kahan tha

Ab aaya hai jab kaam dikha bhi gaya sawan , mere sajan
Jab char soo mere liye khushiyon ka sama'n tha , tu kahan tha



Justice

Yaad hai tum ko............!
Ghar k pichlay lawn mein hum tum
Shab bhar batein kartay hein
Jhagra hota to hum larr kar
Chaand ko munsif kar laitay they
Chaand sada ka paaji hai
Chahay kuch ho
Magar hamesha
Aik he baat kiya karta tha
Teri side liya karta tha

Sulag rahi hein agar batiyan si mujh mein wasi

Sulag rahi hein agar batiyan si mujh mein wasi
Tumhari yaad nay mehka diya , jala b diya

Nostalgia.....

Wo kehti thi..............!
Jayein ja kar shirt utarein
Doosri pehnein
Ye to match nahin karti hai
Jayein ja kar taayi lagayein
Purpal taayi
Shoes to meine raat he polish kar dalay they
Phir ye aap nay kyun pehnay hein
Daikhein socks bhi theik nahin hein
Phir jab mein ye sab kuch kar k chalnay lagta
Os k honton par kiss karta
aur ose bahon mein bharta
Masnooyi ghabrahat orh k sargoshi mein mujh se kehti
Tehrein tehrein
Hoon .....hmm.....Ye khushboo
Thora sa perfume to kar lein
Maana aap buhat saada hein
Lekin jaana!
Office janay se pehlay to
Apnay baal banaya kijiye
aur ab
Meli shirt aur udhra kaaj
Mailay kaalur button khulay hein
Taayi nahin hai shev barhi hai
Baal uljhay hein
Ankhein neend se bojhal hein aur
Jooton par bhi gard jami hai
Es huliye mein ghar se nikla to yaad aaya
Wo kehti thi.......!


Baandh lein hath pay , seene pay saja lein tum ko

Baandh lein hath pay , seenay pay saja lein tum ko
Jee mein aata hai k taweez bana lein tum ko

Phir tumhein roz sanwarein tumhein barhta dekhein
Kyun na aangan mein chanbeli saa laga lein tum ko

Jaisay badlon mein koyi phool chuna karta hai
Ghar k guldaan mein phoolon sa saja lein tum ko

Kya ajab khuwaish uthti hein hamaray dil mein
Kar k mana sa hawao'n mein uchalein tum ko

Es qadar toot k tum pay hamein pyaar aata hai
Apni bahon mein bharein maar he dalein tum ko

Kabhi khuwabon ki tarah aankh k parday mein raho
Kabhi khuwaish ki tarah dil mein bula lein tumko

Hai tumharay liye kuch aisi aqeedat dil mein
Apnay hathon mein duaao'n sa utha lein tum ko

Jaan dainay ki ijaazat bhi nahin daitay ho
Warna mar jayein abhi mar k manaa lein tum koo

Jis tarah raat k seenay mein hai mehtaab ka noor
Apnay tareek makano mein saja lein tum ko

Ab to bas aik he khuwaish hai kisi morr par tum
Hum ko bikhray howe mil jao sanhbalein tumko


Tere Firaq K Lamhay Shumar Kartay Hue

Tere firaq k lamhay shumar kartay howe
Bikhar chalay hein tera intizaar karay howe

To mein b khush hun koyi os se ja k keh daina
Agar wo khush hai mujhe bay qarar kartay howe

Tumhein khabar he nahin hai k koyi toot gaya 
Muhabbaton ko buhat paayedar kartay howe

Mein muskurata hun aainay mein ubhrun ga
Wo ro paray gi achanak singhaar kartay howe

Mujhe khabar thi k ab lout kar na aaoun ga
So tujh ko yaad kiya dil pay waar kartay howe

Wo keh rahi thi samandar nahin hein aankhein hein
Mein un mein doob gaya aitebaar kartay howe

Bhanwar jo mujh mein paray hein wo mein he janta hun
Tumharay hijar k darya ko paar kartay howe


Os ki aankhon mein muhabbat ka sitara hoga

Os ki aankhon mein muhabbat ka sitara hoga
Aik din aaye ga wo shakhs hamara hoga

Tum jahan mere liye seepiyan chunti hogi
Wo kisi aur he duniya ka kinara hoga

Zindagi ab k mera naam na shamil karna
Gar ye teh hai k yahi khel dobara hoga

Jis k honay se meri sans chala karti thi
Kis tarah os k bagher apna guzara hoga

Ye achanak jo ujaala sa hua jata hai
Dil nay chupkay se tera naam pukara hoga

Ishq karna hai to din raat ose sochna hai
Aur kuch zehan mein aaya to khasara hoga

Ye jo paani mein chala aaya sunehri sa gharur
Os nay darya mein kahin paaon utara hoga

Kon rota hai yahan raat k sanaton mein
Mere jaisa he koyi hijar ka maara hoga

Mujh ko maloom hai junhe mein qadam rakhun ga
Zindagi tera koyi aur kinara hoga

Jo meri rooh mein badal se garajtay hein wasi
Os nay seene mein koyi dard utaara hoga

Kaam mushkil hai magar jeet he lun ga os ko
Mere mola ka wasi junhe ishaara hoga






Too Late.....

Aadhi raat k sanatay mein
Kis nay phone kiya hai mujh ko?
Janay kis ka phone aaya hai
Phone utha kar yun lagta hai
Os janib koyi gum sum , gum sum ukhra ukhra
Dheere dheere kaanp raha hai
Mehki hui ik khamoshi hai
Ghup khamoshi
Lekin es khamoshi mien b goonj raha hai
Thandi sansein , barish , aansu
Khamoshi se thak kar os ne saans liya to
Choori khanki......
Uff ye khan khan......
Ik lamhay mein saray badan mein phel gayi hai
Tere elawa koyi nahin hai
Lekin itnay barson baad......

Mujhe sundal kar do

Apnay ehsas se chu kar mujhe sundal kar do
Mein k sadiyon se adhura hun mukammal kar do

Na tumhein hosh rahay aur na mujhe hosh rahay
Es qadar toot k chaho , mujhe pagal kar do

Tum hatheli ko mere pyar ki mehandi se rango
Apni aankhon mein mere naam ka kajal kar do

Es k saaye mein mere khuwab dehak uthein gein
Mere chehray pay chamakta hua anchal kar do

Dhoop he dhoop hun mein toot k barso mujh par
Es qadar barso meri rooh mein jal thal kar do

Jaisay sehraon mein har shaam hawa chalti hai
Es tarah mujh mein chalo aur mujhe thal kar do

Tum chupa lo mera dil oat mein apnay dil ki
Aur mujhe meri nigahon se b ojhal kar do

Masla hun to nigahein na churao mujh se
Apni chahat se tawajjo se mujhe hal kar do

Apnay gham se kaho har waqt mere sath rahay
Aik ehsaan karo es ko musalsal kar do

Mujh pay cha jao kisi aag ki soorat janaa!
Aur meri zaat ko sookha hua jangal kar do!!