Darya e biyaas jahan behta hai
es se thori doori par
pandra bees gharon ki aik pahari basti k sirhanay
aalti paalti maray betha
sookha ganja aik pahaar
din mein kitnay saray roop badalta hai!
Subah sath ya aath bajay
sooraj ki aik parchayein , kuch yun parti hein aa kar es k mathay par
jaisay aik tilak dhari saadhu hai jo padam aasan mein , dhiyan lagaye betha hai
neechey ki taraf chitaan ka zakham
thaddi k beecho beech para , haddi ka dabao lagta hai
kabhi kabhi "sailor" lagta hai
badli ka maflar pehne
"daikk" par aa kar ghor se daikh raha hai kitni door ufaq hai
Ooper k dono pathar es dhoop mein "googles" lagtay hein!
Dhoop dhalay phir yun lagta hai
"bull dog" koyi nathno ko phulaye betha hai
chokanna hai
darya nay agar basti ki taraf kuch reengnay ki kosish ki to
ghur'ra kar es par jhaptay ga
pandra bees gharon ki aik pahari basti k sirhanay
Aalti paalti maray betha
sookha ganja aik pahaar
din mein kitnay saray roop badalta hai!!