Wednesday, 7 January 2015

Senkron baar ginay they main nay

Senkron baar ginay they main nay

jaib mein no (9) he kanchay they

aik jaib se doosri jaib mein rakhtay rakhtay

ik kancha kho betha hun!

na haara , na gira kahin par 

"ploto" mere asman se ghayab hai!!

Ik naqal tujhe bhi bhejun ga

Ik naqal tujhe bhi bhejun ga
ye soch k he.....
tanhayi k neechey karban paper rakh k mein
oonchi oonchi awaaz mein batein karta hun


Alfaaz utar aatay hein kaghaz par lekin
awaaz ki shakal utarti nahin
raaton ki seyahi dikhti hai!!!

Ik peepal tha

kehtay hein ik peepal tha
ooper wali baraf ki choti se utra tha
kundli maar k dhoop mein ik darya soya tha
es par paaon para aur peepal..... thehar gaya!!
sooraj nay daikha , darya ki aankh mein peepal ki tasweer utar aayi thi
darya din bhar gun gun karta rehta tha
raat ko karwat lay kar , peepal k zaanu par sar rakh kar socha karta tha
kaash khara ho sakta wo b pairon par
aur galay lag sakta uth kar peepal k!
ik sindhoori shaam kamar lehrati hui
dono k beech se ho kar roz nikalti thi!



jab kuch sadiyan beet gayi
aur asman k baal b kanpatiyon k neeche paknay lagay
aik roz es chikni shaam ka hath pakar kar peepal nay roka es ko... sun!
kyun mun kaala karnay jati hai tu roz isi sooraj k
peeche peeche... paar ufaq k!


laali phir gayi shaam k mun par
shaakh se patta tor k
likh kar chitthi es par
haath mein di....ja ' ja kar daina es akaash sawami ko
shaam ka chehra sawah hotay hotay wo bhaagi 
lekin raah mein
chaand nay hath maror k chitthi cheen li es se
raahu , keetu , bhaagay haath churanay es ka
shaam ka kangan sanka haath se , aur shani nay dor k kangan loot liya
barrbola "dumdaar sitara" mehwar mehwar shor machata bhaag gaya
sadiyon tak goonji thi phir wo baat ghamurti kaiynaat mein!


Sadiyon baad ki baat hai shayad
ya phir inhein dino ki hogi
waqt kharaon pehnay jab kuch sayaron par paon rakhta
kaiynaat se guzar raha tha
peepal ka aik patta urrtay urtay
es ki peeth se aa kar chipak gaya 
waqt nay apna rukh badla aur
parbat parbat paon rakhta neeche utra
raatk ki god mein shaam pari thi
darya lipta hua khara tha peepal se
aur pahar k seene par , pehli pehli ghaas ugi thi!!!

Ibtida..... Char

kaal maa choolay par haandhi rakh k , kab se bethi hai
kachay daanay gal jayein aur aik ubaala aa jaye!
ye bay sabra bacha betha.....
ungli rakh k gol katori k andar
gol gol thaali par tez ghumata hai
kaal kod rahay...
girah mandal se phir koi siyara urr kar
choolay mein na aan giray!
uff ye kaali kaiynaat ki haandi kab tak ublay gi!!!

Ibtida....Teen

maan choolay par bethi bail rahi thi kaal
kaal ki roti phoolay jab tak
bay sabra bacha...
thaali oondhi seedhi kar k
raat aur din , aur din aur raat hai , khel raha tha
haath se choo na jaye kaansi ka akaash
gir na jayein thaali se taaron k chawal
kaal maayi nay.... chaand katori rakh di eski thaali mein!!!

Ibtida.....Do

Saara angan duan duan tha
kaal maa choolay par kab se geeli lakri phoonk rahi thi
jab tak ye bay sabra bacha.....
duaein ka anchal khainch k sar par asman ko taan raha tha
zard ufaq ki choti pakray
neel samandar baandh raha tha
aur kaal maayi....
sookhay tinkay tor tor k , baalan ki wathiyon mein rakhti jati thi
choolay mein jab aag ka pair ugay ga , tab roti utray gi!!

Ibtida ..... Aik

La mehdood khla he khla
By ant samay
aur aag he aag...Duaan he duaan
aur gases saari kainaat mein
pal pal Nova phoot rahay they
sooraj aur siyaaray chatak kar
arbon kharbon meelon tak chingariyon jaisay urtay they
nayi nayi dunyaein murattab honay lagi thein


kaal maai nay
kainaat mein door daraz ki aik nawahi galaxy k
neelay rang k , gol se ik siyaaray par
ye keh kar khuda ko chor diya
bay sabra hai ye , jald bara ho jaye ga