Wednesday, 17 December 2014

Tanhai

Dil to karta hai teri tanhai khareed lun
Par afsos mere pass khud tanhai k siwa kuch nahi

Yaad

Yaho sochte sochte hum aik doosray ko kho dein gein
Wo mujhe yaad nahi karta to, Mien ose kyun yaad karun

Wo shakhs

Abar ki tarah hai wo shakhs choo na sakun lekin
Hath jab b phelaya aa gaya duaaon mein

Zaroorat

Ab to khud apni zaroorat b na rahi hum ko
Wo b kya din they k teri zaroorat sirf hum they


Khayal

Tarah tarah se bhulaya tujhe, magar ye haal hua
Har aik khayal se paida tera khayal hua

Ay veeran december

Na shab firaaq na baraf na barashein
Ay veeran december
Tu b hamari tarah ujar gaya kya


Jin pay hota hai buhat dil ko bharosa
Waqt parnay pay wohi log dagha daitay hein

Aashiq

Bewafai ki thokar aisi lagi k ab jee bhar gaya hai duniya se
Warna hum b they kisi k aashiq abhi kal he ki baat hai

Raaz

Tuj mein chupay hein meri zindagi k hazaron raaz
Tujhe waasta hai zindagi ka zara khud ka khayal rakhna

Ishq

Mat gira apnay jhootay ishq k ansu meri qabar par
Agar tuj mein wafa hoti to aaj hum yun zindagi se khafa na hotay

Gila

Koi gila nahi mujhe tumharay na yaad karnay se
Ujray howe chaman ko to parinday b chor jatay hein

Jhooti muhabbat

Jhooti muhabbat, wafa k waday ,Iqrar ki qasmein
Kitna kuch kartay hein log kisi ko barbaad karnay k liye

Naraaz

Naraaz tum, naraaz hum, kaiay mitein phir ye dooriyan
Hum muntazir, tum bekhabar, dono ki hein majboriyan

Mera hissa kho jata hai

Baat to aam si hai par itni aam b nahi
Sab ko khushyan mil jati hein par mera hissa kho jata hai

Chahat

Ajab duniya hai koi chahat ki baat karta hai koi chahnay ki
Hum to dono azma chukay na chahat mili na chahnay wala

Ilzaam

Tum mere liye koi ilzaam na dhoondho
Chaha tha tumhein yahi ilzaam buhat hai

talaash

Muhabbat karnay walon ki ab talaash karna chor di hum ne
Log to shayad waqt guzaarnay aur dil jalanay k liye miltay hein

Muhabbat

Ehsas e muhabbat mein nazar badnaam ho jati hy
Hum dil mein irada kartay hein duniya ko khabar ho jati hai

Wo hath

Wo hath kisi aur k hathon mein ho to ajeeb lagta hai
Jin hathon ki chooriyan kabhi tooti thi meri hathon mein

December

December ki sard hawaon
Os se milo to kehna
K aaj b kisi ki palkein
Sar e shaam he os k intizaar mein bheeg jati hein
Aaj b koi os k liye udaas rehta hai

Hum tujhe chahtay hein

Duniya mein to koi aur b hoga tere jaisa par
Hum tujhe chahtay hein, tere jaison ko nahi

Mulaqatein

Mulaqatein zaroori hain agar rishta nibhana hai
Laga kar bhool janay se to poday b sookh jatay hein