Tuesday 13 January 2015

Jab bhi utro gay tum paharon se

Jab bhi utro gay tum paharon se
neechay behtay biyaas k kunday
aik pathar milay ga paani mein
jee karay to utha k rakh laina
toot kar ye mien gira tha choti se!!!

Raat paharon par kuch aur he hoti hai

Raat paharon par kuch aur he hoti hai!
aasman bujhta he nahi
aur darya roshan rehta hai
itna zarri ka kaam nazar aata hai falak pay taaron ka
jaisay raat mein "plane" se... Roshan shehar dikhayi daitay hein!



paas he darya aankh pay kaali patti baandh k
pairron k jhurmat mein...
kora jamal shahi , "aayi jumeraat aayi... peechey daikhay shamat aayi"


kanghi rakh k danton mein
awaz kya karti hai hawa
kuch phati phati... jheeni jheeni
baalagh hotay larkon ki tarah


itna ooncha ooncha boltay hein do jharnay aapas mein
jaisay aik dihaat k dost achanak mil kar waadi mein
gaaon bhar ka poochtay hon
nazam bhi aadhi aankhein khol k soti hai
raat paharon par kuch aur he hoti hai!!!!

Rehtang k neeche

Rehtaang k neechey
kohray mein lipti simti ik waadi ko
saara saal he nazla rehta hai

baraf paray to jam jata hai
dhoop paray to phir se behnay lagta hai
saara saal magar es ko halka sa resha rehta hai


Patt jhar mein bhi cheenkon ki ik jharri lagi he rehti hai
cheentay urtay rehtay hein
surak surak karti rehti hai
saara saal he es waadi ko
nazla rehta hai!!!

Achay lagtay hein ye pahaar mujhe

Achay lagtay hein ye pahaar mujhe
chotiyan badlon mein urti hein
paaon barfab behtay pani mein
koot'tay rehtay hein nadiyan
kitni sanjeedgi se jeete hein
kis qadar mustaqil muzaaj hein ye
achay lagtay hein ye pahaar mujhe!