Tuesday 13 January 2015

Raat paharon par kuch aur he hoti hai

Raat paharon par kuch aur he hoti hai!
aasman bujhta he nahi
aur darya roshan rehta hai
itna zarri ka kaam nazar aata hai falak pay taaron ka
jaisay raat mein "plane" se... Roshan shehar dikhayi daitay hein!



paas he darya aankh pay kaali patti baandh k
pairron k jhurmat mein...
kora jamal shahi , "aayi jumeraat aayi... peechey daikhay shamat aayi"


kanghi rakh k danton mein
awaz kya karti hai hawa
kuch phati phati... jheeni jheeni
baalagh hotay larkon ki tarah


itna ooncha ooncha boltay hein do jharnay aapas mein
jaisay aik dihaat k dost achanak mil kar waadi mein
gaaon bhar ka poochtay hon
nazam bhi aadhi aankhein khol k soti hai
raat paharon par kuch aur he hoti hai!!!!

No comments:

Post a Comment