Thursday, 8 January 2015

Tere utaray hue din

Tere utaray howe din tangay hein lawn mein ab tak
na wo puranay howe hein , na in ka rang utra
kahin se koyi bhi sewen abhi nahi udhri!


Ilaichi k buhat paas rakhay pathar par
zara si jaldi sarak aaya karti hai chaaon
zara sa aur ghana ho gaya hai wo poda
mein thora thora wo gamla hatata rehta hun
fakeera ab bhi wahin meri kofi daita hai!


Gulehriyon ko bula kar khilata hun biscuit
Gulehriyan mujhe shak ki nazar se daikhti hein
Wo tere hathon ka mass janti hon gi!!


Kabhi kabhi jab utarti hai cheel shaam ki chat se
thaki thaki si zara lawn mein ruk kar
safaid aur gulabi "masanday" k podon mein ghulnay lagti hai
K jaisay baraf ka tukra pighalta jaye whisky mein
mein "iskaaf" din ka galay se utaar daita hun
tere utaray hue din pehan k ab bhi mein
teri mehak mein kayi roz kaat daita hun!

No comments:

Post a Comment