Zakham muskuratay hein , ab bhi teri aahat
Dard bhool jatay hein, ab bhi teri aahat par
Shabnami sitaron mein phool khilnay lagtay hein
Chaand muskuratay hein , ab bhi teri aahat par
Umer kaat di lekin bachpana nahin jaata
Hum diye jalatay hein , ab bhi teri aahat par
Ghentiyan c bajti hein raqs honay lagta hai
Dard jagmagatay hein , ab bhi teri aahat par
Teri yaad aaye to neend jaati rehti hai
Khuwab toot jatay hein , ab bhi teri aahat par
Jo sitam karay aa kar sab qabool hai dil ko
Hum khushi manatay hein , ab bhi teri aahat par
Ab bhi teri aahat par chaand muskurata hai
Khuwab gungunatay hein , ab bhi teri aahat par
Tere hijar mein hum par ik azaab taari hai
Chonk chonk jatay hein , ab bhi teri aahat par
Dastakein sajanay k muntazir nahin rehtay
Raat sajatay hein , ab bhi teri aahat par
Ab bhi teri aahat par aas lout aati hai
Hum diye jalatay hein , ab bhi teri aahat par
No comments:
Post a Comment