Kaha nahin tha
K meri aankhon ki putliyon mein
Jo khuwab hein aagahi k
Inhein na chero
Wo khuwab daikho bikhar gaye hein
Kaha nahin tha
K maan jao
Ana ka jangal buhat ghana hai
Jo es mein bhatka wo phir na louta
Suno! darinda e tawaqo
Mein apni masoom khuwaishon ko
Khud apnay hathon se maar dun ga
Mein tum se kuch b nahi kahun ga
Kaha nahi tha!
Dabi howi raakh na koredo
K mera maazi jali hui raakh he hai jaana!
Jo ooper se bujh gayi hai
Magar tapish eski ab b aisi k jis ki hiddat
Har aik munjamid ko jala k rakh dy
Kaha nahi tha!
K aarzuein nahi jagao
Yahan pay kya hai, k jis ko keh dein
K es par hamari dastaras hai
Na khuwab he aur na he haqeeqat
Jo khuwab diakhay bikhar gaye hein
Wo khuwab nasoor ban gaye hein
Kaha nahi tha!
K khuwab zindagi hein
To mere khuwabon se tum na khelo
So tum ne ye b kabhi na socha
k Aagahi k azaab b hein
Jo rog hein zindagi k
Wo khuwab he hein
K ab basarat to chin gayi hai
Magar chand khuwba reh gaye hein
So ab mujhe in bay basarat aankhon mein khuwab rakh kar b kya milay ga?
No comments:
Post a Comment