Saturday, 20 December 2014

janay aisa kyun hota hai

Janay aisa kyun hota hai
Dard ko sehta rehta hoon mein
Apnay andar raakh ki soorat
Jalta aur sulagta hoon mein
Mubhim se ik khuwab ki manind
Toot'ta aur bikharta hoon mein
Mere hissay ki tareeki
Mere bakht mein shamil ho kar
Har manzar dhundla daiti hai
Soch ki har simt achanak
Ik nuqtay par aajati hai
Aur wo nuqta phel k saari
Umeedon ko kha jata hai
To mein es dam aajiz aa kar
Peshani jhuka daita hoon
Ro daita hun
Mujh mein aas jaganay wala
Es ik pal k khali pan ko
Rafta Rafta bhar daita hai
Apni karamat kar daita hai
Apni sift ki aik tajjali
Mujh par zahir kar daita hai
har gham se mamoor mera dil
Khushyon se mayus mera dil
Roshan Roshan ho jata hai
Phir se zinda ho jata hai
Aksar aisa he hota hai

No comments:

Post a Comment