Wednesday 24 December 2014

Tumhari jeet ka manzar

Tumhari jeet ka manzar!
Tumhari nargasi ankhon mein pehle se haweda tha
Jo meine daikh rakha tha
Mujhe maloom tha yani...... K mujh ko jeetnay k baad
Mujh ko chor do gy tum
Magar mein chup raha phir b
Ajab si mushkilon mein hun
Magar mein sochta hun jo
Wo tum se keh nahi sakta
Wo sab keh kar
Tumharay bakht ko barbad kar k reh nahi sakta
So ab tum khud he batlao
Tumhari kamyabi par mubarakbaad dun tum ko
Hansoon aur muskuraoun mein
Ya apni badnaseebi par (Jo mujh ko tum ne bakhshi hai)
karhoon , Aansu bahaoun , Rooth jaoun mein
Tumhari jeet ka manzar!
Tumhari nargasi ankhon mein pehle se haweda tha
jo meine daikh rakha tha
Magar mein chup raha phir b
Suno! Mein aaj b khamosh hun jaanaa !!!

No comments:

Post a Comment