Gali mein dard k purzay talash karti thi
Mere khatoot k tukray talash karti thi
Kahan gayi wo kanwari , Udaas bi aapa
Jo gaon gaon mein rishtay talash karti thi
Bhulaye kon aziyat pasandiyan es ki
Khushi k dher mein sadmay talash karti thi
Ajeeb hijar parasti thi es ki fitrat mein
Shajar k toot'tay pattay talash karti thi
Qayaam karti thi wo mujh mein soofiyon ki tarah
Udaas rooh k goshay talash karti thi
Tamam raat wo parday hata k chaand k saath
Jo kho gaye they wo lamhay talash karti thi
Kuch es liye bhi mere ghar se es ko thi wehshat
Yahan bhi apnay he piyaray talash karti thi
Ghuma phira k judayi ki baat karti thi
Hamesha hijar k harbay talash karti thi
Tamam raat wo zakhma k apni poron ko
Mere wajood k rezay talash karti thi
Duayein karti thi ujray howe mazaron par
Baray ajeeb saharay talash karti thi
Mujhe to aaj bataya hai badlon nay wasi
Wo lout aanay k rastay talash karti thi
No comments:
Post a Comment