Friday 6 March 2015

Tum Sang hote ho ..

 Bohat anmol hote hain woh lamhaat ..
Sang hote ho tum jin lamhoon me ..  

zindagi ki khushi ..

Zindagi ki har khushi 
mansoob hai tum se ...

Baat ho tum se tu
Dil ko sakoon rehta hai ..  


Aaas toot jati hai

Khwahishon ka Aadi ..
Dil kaash yeh samajh sackta ..
sans toot jati hai Aaas toot jane se ..

Tera Akks ...

Din raat meri soch par  mussallat hai Tera Akks ..
Tera halka sa tasawar mere chehray ko khila dita hai .. 

Khuda Hafiz ...

Tere Banhon k saharay ki zarorat nahi mujh ko ..
Rooh se Rooh ko Mila warna ... Khuda hafiz ...  

ishq pe parwah ...

Ik husn mehw e intizaar
Ik ishQ pe parwaah ...  


Mohabbat krte krte ...

Ye Jhoot hai k muhabbat kisi ko barbad karti hai
Log khud he barbad ho jatay hein muhabbat karte karte


bewafaai ..

Agar tum zindagi mein ik baar mere ho jate ..
Tu main kitaabon se lafz bewafaai hi mita deta ..



ik Lamha ...


Woh Ik Lamha Jo ... Guzra Tha Teri Qurbat Mein
Uss ik Lamhay Mein Guzrey Hein Mah - o - Saal Mere





sajna sanwrna ..

Sajna sanwrna hi tera sitaam nahi dhata mujh pr
Saadgi bhi teri aksar Qayammat khaiz hoti hai ..


Hukumrani hai ..

Meri Har Soch har Tamanna par ..
Uski Khamosh hukumrani hai ...

Tamannaa

Jeene ki tamanna tu bohat hai mujhe 
Koi Aata hi nahi zindagi me zindagi ban kr 

mere ho k raho ..

Tum Bohat saal reh liye Apne ..
Ab mere , Sirf mere ho k raho ..

meri mohabbat

Tujh pay Aa k ruk jate hain , Sb silsile 
Meri mohabbat , Meri zindagi or main

Friday 20 February 2015

Dhoka deti hain haseen chehron ki chamak aksar

Dhoka deti hain haseen chehron ki chamak aksar
her Kaanch k tukray ko heera nahi kehtay
 

ye meri zindagi ki sab se bari tamanna hai

ye meri zindagi ki sab se bari tamanna hai
tum har pal raho mere paas meri sanson ki tarah

Zamanay se suna tha k muhabbat haar jati hai

Zamanay se suna tha k muhabbat haar jati hai
Jo chahat aik tarfa ho wo chahat haar jati hai
 
Kahin par dua ka ik lafz bhi asar ker jata hai
Kahin barson ki ebadat haar jati hai
 
Muhabbat kab kisi ko dushmani ka dars daiti hai
Muhabbat ki baazi mein adawat haar jati hai
 
hamein kitnay bhi shikway hon teri jafaon k
Par tere samnay har ek shikayat haar jati hai
 
Ek aarzu si hai k tujhe bhool jayein hum
Par teri yaad aatay he ye hasrat haar jati hai

Sirf itna he kaha hai

Sirf itna he kaha hai
pyar hai tum se
jazbaton ki kabhi
numaish nahi ki
pyar ke badlay sirf pyar manga hai
Rishtey ki kabhi guzarish nahi ki
chaho to bhula dena
humein dil se
Sadaa yaad rakhne ki
sifarish nahi ki
Tumse mil kar puri hui
Saari aarzu meri
aur to kisi cheez ki khuwaish nahi ki
 

Wo ziddi thi bohat magar

Wo ziddi thi bohat magar
meri eltijaon pay maan jaati thi
Meri har baat pay wo inkaar karti
magar meri zidd pay wo haar jaati thi

tumhein apni aankhon mein nahi rakha

tumhein apni aankhon mein nahi rakha
Kahin aansu k sath beh na jao
Tumehin apnay dil mein rakha hai
Taa k har dharkan k sath yaad aao


Tuesday 17 February 2015

Tajurba aik he ibrat k liye kaafi tha

Tajurba aik he ibrat k liye kaafi tha
Meine daikha he nahi ishq dobara kar k

Udas udas si raatein hain

Udas udas si raatein hain
Bikhri bikhri teri yaadein hain

Mujhe aaj tum behad Dilkash-o-Masooom lagti ho

Mujhe aaj tum behad Dilkash-o-Masooom lagti ho
Tumhari Saadgi mein ik adaa-e-Qatilana hai

Hazaar jaam-e-lutf hazaar meh'khaney

Hazaar jaam-e-lutf hazaar meh'khaney
Nihaah-e-Yaar ki lazzat sharab kya janay

Matlab parasti thi ya masoomiyat khuda janay

Matlab parasti thi ya masoomiyat khuda janay
Kaha mene muhabbat hai wo boli kya matlab

Kya ghazab hai k oski khamoshi

Kya ghazab hai k oski khamoshi
Mujh se baatein hazaar karti hai

Dil-e-Masoom pay ye tere Qatilana hamley

Dil-e-Masoom pay ye tere Qatilana hamley
Apni adaaon se kaho zara lehaaz karein

Oski masoomiyat mein itna asar tha

Oski masoomiyat mein itna asar tha
Khareed li os ne aik he muskaan mein zindagi hamari

Ishq ne "Ghalib" nikamma kar diya

Ishq ne "Ghalib" nikamma kar diya
Warna ham bhi aadmi they baray kaam kay

Buaht khoobsurat weham hai mera

Buhat khoobsurat weham hai mera
Kahin to koi hai jo hai sirf mera.....!!

Buhat kuch badla hai maine apne aap mein lekin

Buhat kuch badla hai maine apne aap mein lekin
tumhe wo toot ke chahne ki aadat ab tak nahi badli

Tum se ek rishta jorne ki khatir

Tum se ek rishta jorne ki khatir........!!
Maine apne tamam rishte qurbaan kar diye

Friday 13 February 2015

Daikh kar joban tera kis kis ko heraani hui

Daikh kar joban tera kis kis ko heraani hui
Es jawani par jawaani aap deewani hui


Aag se khelna hai shouq apna

Aag se khelna hai shouq apna
Ab tere khat ,, jalaye jayein gein


kabhi aansu , kabhi sajday , kabhi hathon ka uth jaana

Kabhi aansu , kabhi sajday , kabhi haathon ka uth jana
Muhabbatein nakaam ho jayein to rab buhat yaad aata hai


Husan e jana ki tareef kya karein

Husan e jaana ki tareef kya karein
Jaisay phool ho koi gulaab ka



Dil par rakhein qaaboo kis tarah

Dil par rakhein qaboo kis tarah
Q itnay kareeb aa gaye ho tum...??


Suno ... tere husan o ada par he to martay hein jana!

Suno...Tere husan o ada par he to martay hein jana!!
Warna mohabbat to mujhe apni zaat se bhi nahi


Hain aaj agar wo khush kisi aur k sath

Hain aaj agar wo khush kisi aur k sath mujhe tanha chor kar
Es mein uska kya qasoor,
Dua meri he thi k wo hamesha khush rahay

Kaash k wo lout aaye mujh se ye kehne

kaash k wo lout aaye mujh se ye kehne
Tum hotey kon ho mujh se bicharne walay






Hath zakhmi howe kuch apni bhi ghalti thi jana

Hath zakhmi howe kuch apni bhi ghalti thi jana
Lakeeron ko mitaney chaley they kissi ko paaney k liye


Chalo choro ye behas o takraar ki batein

Chalo choro ye behas o takraar ki batein
Ye batao bichar k khush to ho na
Ya meri mout ka bhi intizar hai


Meri zindagi mein faqat do he cheezein na mumkin rahi

Meri zindagi mein faqat do he cheezein na mumkin rahi
Tujhe paa lainay ki tammana , Ya phir tujhe bhool janay ki khuwaish

Alwida kehtey howey jab main ne

Alwida kehtey howey
jab main ne os se mangi koi nishani

Wo muskura k boley
K meri judai he kaafi hai tujhe rulaney k liye

Barbadiyon ka jaiyza lainay k wastay

Barbadiyon ka jaiyza lainay k wastay
Wo mera haal poochtey hein kabhi kabhi