Tuesday, 9 December 2014

Sab ka dard december tha

Bus ik meri baat nahi,, sab ka dard december tha

Mazaak

Kisi k sath pyar se mazak zaroor karna
Magar kabhi kisi k sath mazak se pyaar na karna

Khoobi

Sab se yun milna k jaise dil mein koi dukh na ho
Mujh mein ye khoobi b hai sab khamiyoon k bawajood

Ru ba ru

Nazar se door reh kar b kisi k ru ba ru rehna
Kisi k pass rehne ka saleeqa ho to tum sa ho

Saath

Bewafa logon se achay to ye gham aur dukh hotay hein
Jo barbaad to kartay hein magar sath nahi chortay

Shart

Ye tum janti ho mein ziddi buhat hoon

Pyar

Janay kaisay osne dil chura liya apna andaz e wafa se
Hum sochte he reh gaye aur pyar ho gaya

Muhabbat

Aik baat kahun

Aitebaar

Toot sa gaya hai mere aitebaar ka wajood
Ab koi mukhlis b ho to mujh yaqeen nahi aata

Naseeb

Teri tawajo shayad mere naseeb mein likhi he na thi
Chor diya tujhe yaad karna b,,,,,, Khud ko bewafa samaj kar

Tumhein yaad hai janaa

Tumhein yaad hy jaanaa

Aik baar jo guzar gayi to wapis na aa sakay gi tu

Aik baar jo guzar gayi to wapis na aa sakay gi tu
Ay zindagi ab tu he bata tujhe kaisay guzara jaye

Marasam

Ab aur kya kisi se marasam barhayein hum
Ye b buhat hai tujh ko agar bhool jayein hum

Monday, 8 December 2014

Sab badal jatay hein

Na muhabbat na dosti!!! hamein kuch raas nahi
Sab badal jatay hien
Hamaray dil mein jaga bananay k baad

Rooth janay k

Hum puranay ho chukay oski nazar mein dost
Ab wo bahanay dhoondta hai hum se rooth janay k